Tooic 36 : Bad diyanati

“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
* Bad Dianti *
Allah ke har naimat chahey wo maal o doalat ho ya ehal o ayyal, zindgi ho ya sehat o tandrusti, ilm ho ya koe mansab… ye sabb hamaray pass Allah ke amanat hein…
Or inko Allah k ihkaam k tabay rehtay hoay Allah ke pasand or raza k moutabiq he istamal karna hota hy or in sy mustafeed hona hota hy.
Agar ham aisa nahi kartay yani in sabb ko apni mann marzi k moutabiq istamal kartay tou ye bad dianti kehlaye ge.
Allah hamein bad dianyi sy bachaye.ameen.
Dil sy Dua :)
1


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
* Bad Dianti*
Diyanat ka ulat bad diyanti hy.
Jab ham kisi moamlay mein haq sy hat kr kuch keh ya kar rahey hotay hein tou ham bad dianti kar rahy hotay hein.
Munafiq ke 4 nishanion mein sy aik nishani oske bad diyanti hy.
Jab koe apni koe cheez maal ya kisi bhe or shay ke soorat mein hamarey pas amanat rakhwaey or ham in ko khud istamal kren ya deny sy inkar kar den tou wo bad dianti hoti hy.
Allah amanat ke behtareen hifazat ke taofeeq dey. ameeen
Dil sy Dua :)
2


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Bad Dianti*
Jab koi hamein apna moamla batata hy or hm sy acha mashwara chah raha hota hy…. magar ham us ko us k leay jo mashwra behtr ho…
jan boojh kar nahi daitay tou ye bhi bad dianti hy .
Apnay dil men jhankein k….! ham kia krty hen.. ?
Dil sy Dua :)
3


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
*Bad Dianti*
Waldain par lazim hy k wo oulad ke tarbiat ka fareeza behtreen tara sy sar anjam dainay ke koshish karen. Agar wo aisa nahi kartay yani apnay fraz sy kotahi kartay hein tou wo bad dianti kar rahay hotay hein.
Isi tara sy agar koe kisi k sath apni baat ya moamla biyan karay tou oske ijazat k bina oske bataye hoe baat ka aagay kisi k sath ziker karna bhe bad dianti hy.
Kisi k apnay pass rakhwaye hoay maal ya kisi or shay ke adaigi sy inkar karna ya oske hizafat na krna or ossay bina ijazat istamal kr laina bhe bad dianti hy.
Allah ny apnay diye hoay rizq mein sy kharach karnay ka hukam dia hy. Agar ham osko halal tareeqay sy jaiz kaamon par istamal nai kartay tou ye bhe bad dianti hy.
Hamein dia hoa Ilam ya koe salahiyat jissay ham apnay ya doosray k bhalay k istamal nai kartay ya doosron tak ossay nai ponhchatay tou ye bhe bad dianti hy.
Ham jab apni paisha waraana zimay darian ada krtay hoay agar kisi bhe tara k wasayel ko apnay zati faiday k leay istamal karen or apni zimay darion mein bhe kotahi barten tou ye bad dianti hoge.
Ghor karen…!
Kia ham bhe bad dianti tou nahi kartay…?
Dil sy Dua:)
4


“Ihsas ke Kiran”
Asalam o alikoum
* Bad Dianti*
Aik Hadees E Mubarika mein aata hy k…
Oska eman nahi jis mein amanat dari nahi. Abb Allah ny jis jis tara sy hamein jo kuch ata keya hoa hy oske hifazat or osko Allah ke raza k moutabiq he istamal karnay ke behtareen koshish hamein bad dianti sy bachati hy.
Allah karay k ham bhe apnay apnay diara e kaar mein rehtay hoay bad dianti sy bachtay hoay behtareen tareeqay sy Allah ke raza ko paa saken. Ameeen
Dil sy Dua :)
5

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *