Step 2 – Arkan e Islam (Day 10)

Mustahibaat E Namaz

Namaz mein mandarja zail af’aal e mustahib hein…

1. Halat e Qayaam mein sajda ki jagha per nazar karna.

2. Rakou mein qadam ki pusht per daikhna.

3. Sajda mein naak per nazar rakhna.

4. Qa’adaa mein seenay per nazar jamana.

5. Pehlay salaam mein daaein shanay ko daikhna.

6. Dosray salaam mein baaein shanay per nazar krna.

7. Jamaai aaey tou munh band keay rehna or is sy jamaai na rukay tou hont dant k neechay dabaey or is sy bhi na rukay tou qayaam ki halat mein daaein hath ki pusht sy munh dhaank ly or qayaam k elawa dosri halaton mein baaein hath ki pusht sy.
Jamaai roknay ka mujrib tareeqa yeh hy k…
Dil mein ye khayal kray k Anbiyaa a.s ko jamaai nai aati thi. Dil mein ye khayal aatay he jamaai ka aana band ho jaey ga.

8. Mard k leay taqbeer e tehreema k waqt hath kapray sy bahir nikalna.

9. Aorat k leay kapray k andar behtar hy.

10. Jahan tak mumkin ho khansi ko dafa krna.

11. Jab mukabar “Haiya Allal Falah ” kahay tou Imam o muqtadi sab ka khara ho jana.

12. Jab mukabar “Qadqamat Us salat” kahay tou namaz shuru kr dakta hy… magar behtar ye hy k aqaamat puri ho janay per namaz shuru kray.

13. Dono panjon k darmiyaan 4 ungal ka fasla hona.

14. Muqtadi ko imaam k sath shuru krna.

15. Sajda zameen per bila kuch bichaey hoay krna.


 

Namaz Tournay k Jaa’iz Suratein

Namaz ki bila uzar or bagair kisi majbouri k torna haraam hy lakin baaz suratein aisi hein jin mein namaz taorna jaa’iz hein…
Or namaz tornay walay per koi gunah nahi…

●… Kisi Ki Jaan Bachanay k Leay Namaz Torna…
Namazi k qareeb agar koi shakhs zindagi or maot ki kashmakash mein mubtala ho yani koi shakhs pani mein doub raha ho ya jal raha hy ya kisi hadsay mein mubtala ho gaya hy or us ki jaan khatray mein hy ya kisi per kisi darinday ny hamla kr deya ho tou is surat mein namaz tor kr us ki jaan bachana farz hy. Agar aisi surat mein koi namaz parhta rahay or marnay walay ki madad na kray tou gunahgaar or mujrim hoga.

●…Apni Jaan Bachanay K Leay Namaz Torna…
Agar namazi ki apni jaan kisi wajha sy khatray mein par jaey maslan… Chatt girnay k faoran aasaar paida ho jaein ya darinda hamla kr dy, Namaz parhtay hoay saanp aa jaey, Namaz parhnay wali jagha per yakdam sailaab aa jaey ya faoran aisi surat e haal paida ho jaey k jis sy maot ka khatra paida ho jaey tou is surat mein namaz torna farz hy.

…Namaz Tornay ki Wajib Surat…

Namaz tornay ki wajib surat ye hy k…
Namaz parhnay walay k waalidain kisi museebat mein hon ya sakht beemar hon ya wo achanak gir jaein or wo bulaaein tou namaz tour kr un ki madad krna waajib hy. Lakin agar koi dosra un ki madad krnay wala mojoud ho tou namaz tourna mamnoo hy.
Namaz tournay ki waajib surat ye bhi hy k…
Agar kisi ko bijli ka current lag jaey or namazi ko us ki pukaar ya ronay cheekhnay ki aawaz par jaey tou namaz tour kr us ki surat e haal per madad krna waajib hy.
Agar namazi k qareeb aag lag jaey jis sy apni ya kisi dosray ki jaan ka khatra paida ho jaey tou us surat mein bhi namaz tourna wajib hy.

… Namaz Tournay ki Mustahib Surat…

Paishaab paakhana kaabu sy bahir maloom hoa.
Yaa apnay kapray per itni kam najasat daikhi, jitni najasat k hotay hoay namaz ho sakti hy ya namazi ko kisi ajnabi aorat ny chuu deya tou in teeno suraton mein namaz tour daina mustahib hy.

… Namaz Tournay ki Mubaah Suratein…

In suraton mein farz namaz tour daina mubaah hy…
Railway station k plate form per namaz parhtay waqt rail gaari chal pari or gaari mein apna asbaab ya ehl o ayaal hein tou namaz tour kr gaari mein baithna jaa’iz hy… Yaa Jooti darwazay per outaari thi or jooti chor ny jooti outha le hy…
Yaa raat ko murghi khuli reh gae thi. Bili ous ki traf jhapti hy…
Yaa namaz ki halat mein dodh josh kha kr pateeli sy bahir nikalnay lagay…
Yaa haandi ubalnay lagi tou aik darham (sarhay 3 masha chandi)tak k nuqsaan sy bachnay k leay namaz ko tour kr us ko darust kr daina jaa’iz hy.
Isi trah agar sawaari ka janwar bhaag jaey.
Yaa nafal parhtay waqt janaza aa gaya. Or namazi ko khadsha hy k namaz nafal puray krnay mein namaz e janazah an milay ga tou nafal ko tour kr namaz e janazah mein shareek ho jaey or nafal ko qaza kr ly …
Or agar farz namaz parhtay waqt janaza aa gaya or khaof hy k namaz e farz sy faraghat panay sy pehlay namaz e janazah faot ho chukay ge tou farz ko Qataa na kray kion k wo namaz e janazah sy qavii tar hy.

… Jammat mein Shamil Honay k leay Namaz Tourna…

Agar koi shakhs akaila farz namaz parhna shuru kr dy lakin usi daoran jammat kharri ho jaey tou usay daaein traf salaam phair kr jammat mein shamil ho jana chahiye. Ba’shartikah lehli raq’at ka sajda abhi an keya ho…
Or agar namaz e fajar ya maghrib meun pehli rak’at ka sajda kr chuka tou bhi namaz tour kr imaam ki iqtadaa kray. Or agar zohar ya asar ya ishaa ki namaz hy tou wajouban aik rak’at or mila kr touray or iqtadaa kray taa k 2 rak’atein nafal ho jaein. Or jammat bhi hath sy na jaey…
Or agar namaz e fajar o maghrib mein dosri rak’at ka sajda kr chuka hy tou ab isi ko pura kray or iqtada na kray.



Exercise Questions /30

MCQ’s /5

1. Halat e qiyaam mae kis jagah par nazar rakhne chahiye?
a) Sajdah ke jagah
b) Rakooh ke jagah
c) Ird gird ke jagah

2. Seenae par kab nazar rakhne chahiye?
a) Rakooh mae
b) Qadaa mae
c) Sajdah mae

3. Mard ko namaz mae kab haath kaprae sy bahir nikalnae chahiye?
a) Rakooh mae
b) Takbeer e Tehreema parhtae waqt
c) Salaam phaertae waqt

4. Donon panjon ky darmeyan kitne ungelyoon ka fasla hona chahiye?
a) 3
b) 7
c) 4

5. Muqtadi ko kab namaz shuru karne chahiye?
a) Imam sy pehlae
b) Imam ky saath
c) Imam ky baad

Fill in the blanks /5

1. Rakooh mae _____ par daikhna chahiye.
2. Jahan tak mumkin ho _____ ko dafa karnaa chahiye.
3. Namaz ke billa uzar aur baghair kisi majboori ky torna _____ hy.
4. Jab mukabar _____ kahae tau namaz shuru kar saktae hain.
5. Pehlae namaz mae _____ shanae ko daikhna chahiye.

True/False /5

1. Kisi ke jaan bachanae ky liye namaz torna farz hy.
2. Namaz ky doran jamae rokna zaroori nhe hy.
3. Peshaab, pakhana qabo sy bahir maloom ho tau namaz torna mustahib hy.
4. Sajdah zameen par bina kuch bechae hue karna jaiz nhe.
5. Apne jaan bachanae ky liye namaz nhe torne chahiye.

Short Answer Questions /15

1. Namaz mae jamae aae tau kya karna chahiye? Wazeyah karaein.
2. Namaz torne kis sourat mae wajib hy ?
3. Namaz tornae ke mubaah surataein beyaan karaein.
4. Jamat mae shamil honae ky liye namaz tornae ke kya sharait aur tareeqa hy?
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

 Answer Sheet

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (b)
4. (c)
5. (b)

Fill in the Blanks

1. Qadam ke pusht
2. Khansi
3. Haraam
4. Qadqamat Us salat
5. Daein

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✖

Short Answer Questions

1. Jamae aae tau moonh band kiye rehna chahiye aur agar is sy na rukae tau hont dant ky neechae dabaey or is sy bhi na rukae tau qiyaam ke halat mae daein hath ky back sy moonh dhanp laein. Is ky ilawa yeh ihsaas keh Anbiyaa a.s ko jamai nai aati the. Dil mae yeh khayal aatay he jamaii ka aana band ho jata hy.

2. Waldaeib kisi museebat mae hon.
Kaheen qareeb kisi ko current lag jae.
Namazi ky qareeb aag lag jae.

3. koi sy 2 situations likhe ja sakte hain…
Rail gari chal parae aur us mae samaan ya ihl o ayaal hon.
Joote darwazay sy joote chor utha lae.
billi murghi ke taraf jhaptae.
Doodh pateely sy bahir Josh kha kar girnae lagae.
sawari ka janwar bhag jae.

4. Agar pehle rakat ka sajdah abhi na keya ho tau…
daein taraf salaam phaer kar jamaat mae shamil ho saktae hain.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *