Topic # 3 : Shar k Hathkanday (Day : 3 )

“Shar k hathkanday”

Nafs ki jang se muraad khair o shar ki jang hai.. Jis waqt khair ki raah per chalnay lagen ge to shar zaroor apnay tamaam hathkanday istemaal kartay huay roknay ki koshish karta hai..
Amooman hmaray andar khair ki quwat itni zyada nahin hoti k wo shar per , shaitaan per, hmaray andar naf k hamlay aur bahar dunia ki soorat honay walay hamlay per ghaalib rahay.. Kyun k hmaray andar emaan ki quwat aur taaqat aam taur per itni zyaada nahin hoti k wo har waqt shar per ghaalib reh sakay. Isi wajah se humein jang karna parrti hai, larrna parrtaa hai..
Jab larr kar khud per control kar letay hain, shar per ghalba haasil kar letay hain to phir kis qadar iskay sath jido jehad kartay hain utni humein power mil jaati hai aur agli baar hum zyada power se shar se larrtay hain..Har baar jab andar ki jang hoti hai to jang jeetnay k liay jitni hum ne jido jehad ki hoti hai utni hi humein power mil jaati hai.. Aur ye power humari rooh ko milti hai.
Har baar jang jeetnay per humari rooh power mein aa jati hai aur is tarah hum ahista ahista nafs ki jang mein nafs per ghaalib aanay lagtay hain..
?”حق بات”
شاہ جی❤


 

Exercise

True / False (3 marks)

1. Nafs ki jang se murad khair o sharr ki jang hai.

2. Eman ki quwat aur taqat ko sharr pe ghalib lanaay k liye hamain nafs se jang nai karni parrti.

3.  Harr baar nafs se jang jeetny par hamare jism ko power milti hai.

Question.

1.  Aj ki routine sy koi ek point share krein.. jiss mein,kher ki raah per chaltay shar ny apnay hathkanday istemal krty hue roknaa chahaa..
Jawaab mein wazeehh btaana hai kayy…

?? short sa mamlaa
??shar ny kaisa hathkandaa istemal kia?
?? aur Ap kaa iss kay muqabil kyaa amal raha (bacha khud ko yaa zad mein agaye ) ?


 

Answer key

 True/False

1. True
2. False
3. False

Question:

Ye sabka apna jawab hoga


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *