Topic # 2: Nafs Ki Iqsaam (Day : 2 )

“Nafs ki Iqsaam” 

Suraah Qiyamat mein ALLAH❤ farmaata hai k nafs apni jablat k mutaabiq “Ammaara bis’w” ya’ni burai ki jaanib raaghib krnay wala hota hai.. magar jab insaan ALLAH❤ k ehkaam maan’nay ki koshish krta hai to nafs mein behtari aati hai aur wo “Nafs e Lawaama” ban jaata hai.
Jis ki wajah se insaan ALLAH❤ k ehkaam per amal bhi karta hai aur ghaltian bhi karta hai…Magar jab gunnah kar bethay to nafs malamat karta hai aur insan taubah karta hai. Ye “Nafs e Lawama” kehlata hai..
Iskay sath sath ye Nafs e Lawama insan ko ALLAH❤ k qurb mein janay k liay zyada koshish naa krnay per bhi malamat karta aur uksaata hai…
ALLAH❤ ki maddad aur karam se jab insaan gunnah se bachnay , Amal e Saaleh aur ibadaat ko ALLAH❤ ka qurb haasil karnay k liay apni aadat bana leta hai to wo “Nafs e Mutma’ina” ban jaata hai..Nafs e Mutma’ina ALLAH❤ ki razaa per raazi rehta hai. Nafs e Mutna’ina wo nafs hai jis ki taskeen sirf ALLAH❤ k zikar se hoti hai.. isi ki wajah se dil ko itminaan hota.. Rooh naiki karnay mein itminaan paanay lagti hai, yahan tak k banda ALLAH❤ k hukam per raazi ho jata hai…
Aur yahan se aagay maqaam e Razaa shuru ho jaata hai jahaan banda apnay RAB ki razaa ka taalib ho jata hai.. Aur isi mein ALLAH❤ ki razaa per apnay sab ikhtiyaar qurbaan krtaa chala jaata hai…
?”حق بات”
شاه جى❤


 

Exercise

Blanks / 3 marks

1. Surah e qiyamat mein Allah farmata hai kay nafs apni jablat kay mutabik ______ ki janib raghib karta hai.

2. Jab insaan Allah kay ehkam man’nay ki koshish karta hai tou nafs mein ______ aati hai.

3. jab insan gunah karta hai tou nafs _____ karta hai aur insan tauba karta hai.

Question

1. Nafs ki kitni iqsaam hain? Un iqsaam ki tareef bayan krein.


Answer key

 Blanks

1. Burayi
2. Behtari
3. Malamat

Question:

Ye sabka apna jawab hoga.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *