12. Pooray Saal Ka Qalb

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Puray Saal ka Qalb”
Hadees Pak mein hy k Ramzan puray Saal ka Qalb hy. Agar Ye Darust raha tou pura Saal darust raha.
Imaam Rabani Majdud Alf Sani (r.a) ny Ajeeb baat likhi hy …
Wo farmatay hein k
“ye Maheena, aanay walay puray saal ka mukadma hy.
Misal k tor per ye aik Banda Takbeer e Olaa ki pabandi chahta hy magar hasil nai hoti tou agar wo Ramzan ul Mubarik mein Takbeer e Olaa ki pabandi kray ga..Tou wo apni aankhon sy mushahida kray ga k aanay Walay Saal mein Allah Ta’ala is k leay Takbeer e Olaa ki pabandi aasan farma dy Ga.
Aik banda Tahajud ki pabandi krna chahta hy lakin Tahajud ki pabandi is k Naseeb nahi hoti… Agar Ramzan ul Mubarik mein Wo pabandi k Sath Tahajud perh ly tou Puray Saal mein Allah Ta’ala is ko Tahajud ki Pabandi ki Tofeeq atta farmaen Gy.
Aik banda Sach nahi bol pata tou Ramzan ul Mubarik mein Sach ki pabandi kr ly, koi nojawan apni…

….Aankhon py qabu nahi paa sakta tou Wo Ramzan ul Mubarik mein Pabandi kr ly tou Baqi saal Allah Aasani farma dain gy.
English mein aik lafz hota hy “Specimen” jis ka matlab hy namona… Ye Maheena Aanay Walay Saal ka Specimen hy jis trah ham Ramzan ul Mubarik ka namuna guzarain gy…
Aanay Wala hamara Saal isi pattern per guzray ga.
Ham ny is ka kai saal mushahida keya. Baaz doston ko ham ny btaya or unhon ny is ko Aazma k bhi daikha.
Jitnay Ahtamam k sath banda Ramzan ul Mubarik ka maheena guzar laita hy aanay Walay Saal mein Allah Ta’ala ki taraf sy tofeeq is k shamil e haal ho jati hy. Is leay is maheenay ko bohat ziada Ibadat mein guzarnay sy Aainda pura Saal Ibadat ki tofeeq Naseeb ho jati hy.
Pura Ramzan Baqaidgi sy Tilawat krain, Allah Aanay Walay Saal mein Ba’qaidgi sy Tilawat krnay ki Tofeeq Atta Farma dain Gy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *