13. Roza Jism Ke Zakat Hy

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“ROZA JISM KI ZAKAT HY”
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Har cheeze ki zakat hy or aadmi k jism ki zakat roza hy”
Haqeeqat mein tou tamam ibadatein aik lehaz sy zakat he ki tareef mein aati hein lakin bator e istalah sirf maal ki zakat ko zakat sy tabeer kiya gya hy.
zakat asal mein yeh hy k Allah ka diya hua jo kuch aap k pass hy ous par Allah ka haq tasleem krain or pus mein sy OS ki rah mein kharch krain. chunachy roza aadmi k jism ki zakat hy or is zakat ki adaaigi ki sorat yeh hy k aap roza is ehsas k sarh rakhein k mery Rab ny mujh par jo beshumar ehsanaat kiye hein or mujhy jism jaisa azeem khadim ata frmaya hy yeh roza main ous k shukrany k tor par rakh raha hon.
Agar kisi shakhs ny mehz apni sehat darust krny k leay roza rakha tou wo jism ki zakat nai wo jism ki zakat ous waqt shumar ho ga jab k wo Allah ki khushnoodi or raza k leay jism mein ous ka haq maan kr rakha jaye.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *