32. Golden Chance

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Golden Chance”
Ramzan ul Mubarik Emaan Walon k leay Bahar ka Maheena Hota hy… Jis trah bahar k maheenay mein har traf Khushboo hoa krti hy, Darakht haray bharay hotay hein, Phool khilay hoay hotay hein, Baghon mein jaen tou fiza mehki mehki hoti hy kion? … Har banda kahay ga jee Bahar ka maheena hy. Har traf sabza dikhai dy ga, Har traf khushbo’ain hon ge, Fiza khushbo’on sy bhari hoi or Ladi hoi ho gi.. Is leay k wo Bahar ka Maheena hota hy.
Isi trah Ramzan ul Mubarik ki Rehmat ka maheena hy. Is ki Subh mein Rehmat, Is ki Shaam mein Rehmat, Is k Tahajud k oqaat mein Rehmat…
Jo Insan apnay Gunahon ko bakhshwana chahay or Allah ko Razi krna chahay is k leay ye Sunehri Moqa hy. Shayad Golden Chance ya Sunehri Moqa ka lafz isi maqsad k leay banaya gaya ho kion k ye lafz is moqa per bilkul fit aata hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *