33. Roza or Roohani Taraqi

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Roza or Rohani Taraqi”
Rozay ka asal bara faida ye hy k Insan ko Rohani Taraqi Naseeb hoti hy.
Insan dar’asal 2 cheezon sy murakab hy.
Aik Rooh or Dosra Jism…
Rooh malkuti Sifaat ki Hamil hy or is ki Ghaza Aalam e Amer k Anwararat o Tajaleeyaat hein.
Jism Hewani Sifaat ka Hamil hy. Or is ki ghaza zameen ki maadi asheya hein. Jis qadar ham Maadi ghizaen ziyada istamal krain gy Hevani sifaat berh jaen ge. Or jis Qadar maadi ghizaen kam khaaen gy hevani Sifaat kam ho kr malkuti yani Farishton jaisi Sifaat ka ghalba ho ga. Kion k Farishtay bhi na khatay hein na peetay hein bal’k anwarat hi in ki ghizaa hein.
Rozay ka Maqsad yehi hy k nafs ko bhuka rakha jaey ta’k is ki hevaniyat khatam ho or Rooh ko quwat milay.
Jab Rooh ko quwat milti hy tou is sy Is k dil mein khud ba khud Riqat or Narmi paida ho jati hy. Is mein fiqr e Aakhrat or Ibadat ka Zok o Shoq berhta hy.
Tilawat e Quran Pak or Zikar Azkaar ki Kasrat ki wajha sy is per Anwaraat or Tajaleeyat ka Warwad hota hy. Jis sy Is ki Rohani Taraqi mein mazeed izafa hota hy. Isay Allah Ta’ala ki Maarfat or Allah ka Qurb Hasil hota hy.
Tou Rozay Momineen per is leay Farz keay gaey ta’k in ki Rohaniyat mein Izafa ho.
Or ye Allah Ta’ala ka Qurb Hasil krnay k Qabil ho Sakain.
jis trah barish ka aik mousam hota hy jis mein har cheeze nasho numa paati hy isi tarah ramzan nikion ka mousam hy is mein naikion ki taraqi k be shumar mouqy paida hoty hein aadmi his qadr roohani taraqi krna chahta hy kar sakta hy kion k is mein har aadmi ki naiki dousry k leay madad gaar sabit hoti hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *