38. Jaldi Iftar Mein Bhalai Hy

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“JALDI IFTAAR KRNY MEIN BHALAAI HY”
Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya,
“Log bhalaai par rahein gy jab tak k iftaar krny mein jaldi krty rahein gy” Yahood ka yeh dastoor tha k roza ous waqt kholty thy jab aasman par sitary chatak aaty thy or ous mein bhe jo aadmi jitni dair krta wo outna he ziada mutaqi or parhaiz gaar mana jata tha.
Yeh goya oun k nazdeek is baat ki ilamat thee k yeh shakhs khany k leay betaab nai hy or kaisa zabt e nafs hy k k roza kholny ka waqt bhe ho gya phir bhe abhe nai khol raha.
islaam mein is tarah k numaishi taqwa ki koe ginjaish na hy. Hamary haan tasawar yeh hy k Allah ny jo waqt muqarar kr rakha ous waqt tak ruky rahein lakin jis waqt Allah ki taraf sy ijazat mil jaye tou ousi waqt ous cheeze ki taraf dorain jis sy ab tak ruky huy thy or ous sy faaida outhany mein jaldi krain or yeh baat Allah ko pasand hy.
kion k is k maani yeh hein k yeh banda OS k hukm ki wajah sy ruka hua tha agar rukny ka hukm na hota tou na rukta.
Choun k Allah ny isy paband kr rakha tha isi leay ous ny apni khawaishaat, bhouk, piyas har cheeze par pabandi rakhi or jonhii pabandi outha li gi tou wo apni zarooriyat pouri krny laga.
Isileay Piary Aaqa S.A.WW ny is ko pasand frmaya hy.
is sy yeh tanbeeh bhe maqsood thee k agar logon ny iftaar mein dair krna shuru kr di tou wo bhe ehl e kitab wali bimariii mein mubtila na ho jaein.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *