40. Teen Hissay Teen Darjay

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Teen Hissy Teen Darjy”
Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k,
“Yeh aisa maheena hy is ka awal hissa rehmat hy, darmiyani hissa maghfirat hy or aakhri hissa aag sy aazadi hy”
Muhadseen kehty hein k rehmat, maghfirat or aag sy khulasi in teeno mein farq yeh hy k insan teen tarah k hoty hein… aik wo hin k ouper gunahon ka bojh ziada nai hota oun k leay shuru he sy rehmat or inaam ki barish ho jati hy.
dousry wo jo mamooli darjy k gunahgaar hein oun k leay kuch rozy rakhny k baad oun rozon k badly mein maghfirat or gunahon ki moafi mil jati hy.
Teesry wo hein jo ziada gunahgaar hein oun ko ziada rozy rakhny k baad aag sy khulasi milti hy.
Rehmat aik inaam hy k ibtada mein Allah ki taraf sy amal ki toufeeq milti hy or Allah ki toufeeq k bina koe naik amal nai kr sakta.
Aik bazurg ki hikayat hy k wo chaly ja rahy thy, shahi mehal k neechy sy guzar hua. Baadshah ny oun ko milny k leay bulaya… ouno ny kaha kaisy aaoun darwaza bohat dour hy or pehry daar bhe hein. Baadshah ny kamand phainki or bazurg ous k sahary ouper pohach gy.
Baadshah ny poucha aap Allah tak kaisy pohanchy?
Bazurg ny kaha jis tarah tum ny kamand daali or is k zariye mujhy khainch liya isi tarah Allah ny bhe jazb ki kamand daal kr mujhy apni taraf khainch liya…

Rehmat ka aik mafhoom youn bhe hy k sub sy pehly Allah ka inaam matwajoo hota hy or yeh rehmat tamam musalmano k leay hoti hy. Oun k leay bhe ho log ous ka shukr ada krty huy or qadar krty huy ous ki rah mein mushaqatein jheelty hein, oun k leay rehmat mein izafa hoty hoty bakhshish k darjy tak pohancha diya jata hy phir jab do tehaai ramzan guzar jata hy tou ous ka moawza or ikraam bakhshish sy bhe barh jata hy or aag sy khulasi par khatam hota hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *