Step 4 : Duaein – Shukar ki Dua

“~*Workers*~”
“2nd Step”
*Duaein*

3. *Shukar Ke Dua*

Kisi bhe barray sy barray ya chotwy sy chotay moaamlay k positive r3sult par shukqr ke dua karnay ya karwanay mein jaldi keya karein.

Shukar dil ke aik kafiyat ka naam hy ye sirf alfaaz ke adaaigi sy nahi hota.
Jab tak dua karnay walay k dil mein Allah ke kisi bhe naimat par ya maslay sy nikalnay par ya nikalnay ke raah nazar aajanay par dil sy is baat ka aitaraaf nahi kartay k ye mere bus ke baat nahi the, main chahay ham apna sara zor or tamaam zaahiri asbaab bhe laga daitay tou bhe ye kaam na kar saktay or is maslay ya kaam ka hona sirf or sirf Allab k karam or meherbani ka nateeja hy tou dua bohat ache ho ge.

Or dua mein jitna sachay dil sy shukar adda karein gy or sath sath apne aajzi or bebasi ka aitaraaf kartay hoay sachay dil sy qabool karein gy k Allah k siwa koe mere kaam nahi asakta tha agar Allah na chahta tou…

Is leay ye Allah ka karam or meherbani k kisi bhe kaam k honay mein jo bhe makhlooq e Khuda ya zaahiri asbaab kaam aeywo bhe Allah ke marzi or Osi k hukam par…
Is leay sab sy pehlay Alkah ka shukar ada karna hy.

Shukar ke dua mein jab ham aik aajiz o bebas k twor par haqeeqat ham haqeeqat qabool kartay heinor is oar phir bar bar Allah k karam or meherbani karnay ko daikhaty hein tou ankhon mein aanso bhe aajatay heinpar is mein dil ke kafiyat ziada tar intahaai aajzi mein Allah k saamnay sachaai sy jhukay hoay dil k ihsas hotay hein.

Dua karaanay walay ny dua karnay walay ko sath ly kar Alkah k saamnay paish jona hota hy or os par ke gae kam o meherbani par Allah ka shukar ada karna hota hyor os k aagay k leay or ziada khushi soukh or sakoon maangna hota hy k Allah is ke shukar ke dua or sachay ihsas laanay ke koshish ko qabool kar ly or os par aagay or ziada meherban ho jaey kion k Quran pak ke aayat ka mafhoom hy k
Tum shukar karo gy tou Main tum ko or ziada atta karon ga.

Kisi bhe moaamlay k leay shukar ke agar 3 duaein ke jaein tou ziada behtar hy.
Kii aik moaamlay mein agar aik sy ziada logon k leay shukar ka maqaam hy tou sab ko aik waqt mein bue dua karaai ja sakti hy zarori nahi k sirf aik shakhs ko he aik waqt mein shukar ke dua karaai jaey.

Dua k daoran dua karaanay wala agar dil sy dua karnay walay ko Allah k saamnay ly kar paish ho ga tou os ka dil ache dua ke gawaahi dy ga kion k dua karaanay walay ka dil intahaai aajzi k ihsas ko feel karay ga or agar ye ihsas behtareen na ouyha ho tou dua karaanay walay ko har dua sy pehlay thorra or samjha k dua karaaein kion k dil jitna shukar ko feel karay ga outni he ache dua ho ga.

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *