46. Taraweeh

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“TARAWEEH”
Ramzan k maheeny mein isha ki namaz k farz or sunnaton k baad bees(20) rak’at ka parhna taraweeh kehlata hy. Yeh namaz sunnat e moak’kida hy.
Namaz taraweeh ki bari fazeelat hy.
Riwayat mein aata hy k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Beshak Allah ny tum par ramzan ka roza farz kiya hy or main ny tumhary leay is mein taraweeh masnoon ki hy”
Pas jo shakhs imaan k eitbar sy or swab ki niyyat sy ramzan ka roza rakhy or raat ko qiyam kry tou wo kuffara ho ga ous k leay jo guzra yani jo gunah ous sy huy wo sub moaf kr diye jaein gy. pas is maheeny mein naikiyan ziada krni chahiein.
Jin riwayaat mein Aap S.A.WW ny frmaya k, main ny sunnat kiya ous sy murad takeed hy k Aap S.A.WW ous namaz ki takeed frmaty thy.
Chand ghanton ki muahaqat k badly maghfirat e Ilaahi ka wada hy or Allah k wady sachy hoty hein. Maghfirat e Ilaahi ka matlab hy hamesha ki kamyabi tou jo shakhs hamesha k leay kaamyab ho jaye ous sy barh kr kon khush naseeb ho sakta hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *