47. Masayel E Taraweeh

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Masaail E Taraweeh”
1. Namaz e taraweeh ki bees rak’aat sunnat e mo’akida hein or taraveeh mein aik martaba poura quran parhna ya soun’na bhe sunnat e mo’akida hein.
yeh dono alag alag sunnatein hein.
jo log chand raton mein poura quran soun kr baqi din taraweeh nai parhty k hamara quran mukamal ho gya tou wo aik sunnat pouri krty hein dousri oun k zimay baqi rehti hy. is tarah jo log mukhtasir sorton k sath taraweeh ada krty hein wo bhe aik sunnat tou ada krty hein lakin poura quran e pak parhny ya soun’ny ki sunnat oun k zimy baqi rehti hy.
2. Ramzan Ul Mubarik ki tamam raaton mein eid ul fitr ka chand daikhny tak bees taraweeh ka har roz parhna sunnat hy.
3. Isha ki namaz k baad bees rak’at parhy chahy do do kr k niyyat kry chahy chaar chaar ki, magar do do kr k parhna afzal hy.
Taraweeh ki bees rak’at mukamal ho jany k baad witar parhy.

4. Aouraton k leay bhe bees taraweeh ka parhna sunnat hy. Magar aourton k leay ghar mein namaz e taraweeh ka ada krna afzal hy. Agar aourat ny quran hifz nai kiya tou mukhtasir qirat k sath namaz taraweeh ada kry jamaat sy ada krna ya masjid mein jana ya poura quran soun’na ya parhna oun k leay zaroori nai hy.
5. Jis aourat ny quran hifz bhe kiya ho wo bhe ouraton ki namaz taraweeh ki imamat nai krwa sakti.
6. Namaz e taraweeh mein pandra (15) saal sy kam umer larka imamat na krwa sakta jab k wo abhe baligh nai hua.
7. Darhi k bina walay hafiz ke imamat bhe makrooh hy.
8. Bila uzar taraweeh ki namaz baith kr parhna makrooh hy.
9. Kisi shakhs ko taraweeh ki namaz ghar ya masjid mein parhany k leay ujrat muqarar krna makrooh e tehreemi hy lakin agar hafiz ya imam ko hadiya mein kuch dy diya jaye tou lainy mein harj nai hy.
10. Namaz e taraweeh mein chaar rak’at k baad itni dair tak baithna jitni dair mein chaar rak’atein parhi jati hein mustahib hy lakin agar dair tak baithny sy koe takleef ho ya jamaat k kam ho jany ka dar ho tou kam baithay.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *