55. Laila Tul Qadar

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Lai’la Tul Qadar”
Ramzan ul mubarik mein sy aik raat
“shab e qadar”
kehlati hy jo bohat barkat or khair ki raat hy.
Quran e pak mein is ko hazar maheeno sy afzal btaya gya hy.
“Shab e Qadar hazar maheeno sy afzal raat hy”
Hazar maheeno k tarasi bars chaar maah banty hein. Wo shakhs bohat he khush naseeb hy jo is aik raat ko ibadat mein guzary.
*LAI’LA TUL QADAR K MAANI*
LAIL k maani hein raat…
QADAR k maani hein azmat o sharf.
is raat ko LAI’LA TUL QADAR kehny ki wajah is raat ki azmat o sharf hy.
Abu Bakr Waraaq r.a kehty hein k jis aadmi ki apni bad amli ki wajah sy koe qeemat na thee is raat mein toba o astaghfaar or ibadaat k zariye wo sahib e qadr o sharf ban jata hy.

Qadar k dosray maani taqdeer k hein k is mein tamam makhlooqat k leay jo kuch tadeer e azli mein likha ja chuka hy ous ka jo hissa is saal k ramzan sy agly ramzan tak paish aany wala hy wo frishton k hwaly kr diya jata hy.
Ibn e Abbas r.a k mutabiq Allah ta’ala saal bhar k tadeeri amour ka faisla tou shab e braat mein frma daity hein or shab e qadar mein faisly frishton k sapurd kr diye jaty hein.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *