Step 4 : Duaein – Power ki Dua

“~*Workers*~”
“2nd Step”

*Duaein*

5. *Power ke dua ka Tareeqa*

Ye dua kisi bhe Faiz, Ishq, zaat par kaam, Working ya mayousi or naummedi sy nikalnay k leay power ke dua karaai ja sakti hy.
Behtar ye hota hy k jis bhe power k leay ham ny dua karaani hy tou wo dua os banday sy karaaein jis ko indinno os khas point par power mein feel kar rahay hein kion k jis k power mein honay ka yaqeen ho ga tou he aap ke dua mein bhe aao ko ziada power milay ge.
Raat ke ijtamaai dua or waisay bhe kbhe kabhe khas rohani power ke duaein bhe karaai jati hein, koshish keya kareon k bataey gary fix time mein aisi duaein kar leya karein ta k miss na hon.

Jis power k leay or jis sy bhe dua honi ho tou os mein zabardasti dil ka raabta kisi aik jaga he fix na karna. Dua start kartay hein Allah sy ya jis sy dua karaai ja rahe hy…jis sy bhe dil ka raabta banay tou waheen paka kar laina hy

Is dua mein aik jaga dil ka raabta pakka honay k baad bus aik baat yaad rakhni hy k dua triangle mein rehtay hoay he karni hy yani…
Allah, Dua karaanay wala or Dua karnay wala…

Har fiqray mein triangle banay… jaisay dil ka Raabta Allah sy bana hy tou aisay kahay k
Jaisay Too ny apnay is banday ko piara hy or isay apnay ihsas or ye power de hy tou mere dil ko bhe isi piaray banday k waseelay sy ye power atta kar dy ta k main bhe Tere qurbat mein aagay barrhon or Tere muhabat paaoun. Aisay he different tara sy triangle mein rehaty hoay har fiqray min tarrap tarrap k dua mein power maangein.

Kisi bhe power ke dua mein triangle mein rehty hoay Allah ko Os ke taaqton k waastay dy dy kar dua karaanay walay ke tara ke power k leay apny dil ke jholi phailaey rakhein or iqraar karein or madad maangein k mujy jo ye power atta ho ye nain tere qurbat or muhabat k leay istamal karon jaisy k Tera ye dua karaanay wala banda kar raha hy, aisi dua k doran he dil mein khas taqat ka ihsas barrhta ja raha hota hy.

Bar bar dua mein kehtay jana hota hy k thaam ly mujhy, pakarr ly mujy, main laaghar or kamzor hon or Too taqaton wala hy is leay mujy apne raza or khushi sy apne taqaton mein sy taqat atta kr k mujh par bhe karam kar dy jaisy k apnay is piaray bansay pr karam kea hy.

Agar aap kisi ko power ke dua kara rahaybhon tou aap ny intahaai aajzi mein doub jana hy or Is banday ko ly k Allah k saamnay oaish ho jana hy or sharminda ho k arz karni hy k Aey Allah! Too jaanta hy k ye sab kuch Too ny mujhy atta keya hy or is mein mera koe kamaal nahi… Too jaanta hy k ye Tere he atta hy or Too ny mujhy jo atta keya hy is ke sari taaqatein Tere he qabzaey qudrat mein hein, main tou kisi ko k7ch dainay k qaabil nai jon jab tak k Too khud kisi ko atta na karay.

Is leay main tujhy Tere he de hoe taaqaton k waastay or waseelay sy tujh sy dua hy k mere laaj rakh ly or is dua karnay walay ko jo jo bue ye aas lagaaey hoay hy isay atta kar dy… main isay Tere umeed par yahan isay Tere saamnay bitha k beitha hon Too is ke umeed na torrna isay khali na laotana is ke jholi bhar daina..

Is ke jholi bhar daina or isay bohat taqat atta karna ta k ye osay Tere qurbat o muhabat ke raah k leay istamal karay.
Is dua mein jitna aajzi mein ja k dil khol k dua karnay walay k keay dua karein gy tou aglay tou outni he power mily ge or beshuk k dainay wali zaat Allah ke he hy par agar WO kisi ko istamal kar raha hy tou ye test hy k jo kuch tumhein bina kisi zaati kamaal k atta hoa, wo kis tara khoulay dil sy aagay baantnay k leay taiyar rehtay ho or jitna aayy baanto gy tou Allah or atta karay ga.
Allah chahay tou hina waseelay or waastay k jisay jo chahay atta kar dy par WO ham insaano ko he insaano k leay k leay zariya bana kar hamare muhabat or zarf ke aazmaaish karta hy or is bina par or ziada atta karta hy.

Kisi bhe power ke dua karaany sy pehlay aap ny dua karnay walay ko zaror ye dil ke sachaai sy kehna hota hy k mere koe taqat nai or na he mera koe kamaal hy ya sab Allah ke atta hy, aao dono mil kar Allah k oass paish hotay hein k Allah aone taqat o qudrat sy tumhein bhe atta kar k tumare jholi hhe bhar day.ameen

Spirit of Work Salamat.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *