56. Qadardano K Leay Inam

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Qadar Danoon K Leay Inaam”
Lai’la Tul Qadar jo is ummat ko Allah ny ata frmaei is ka sabab kiya hy…
Hadees e Mubarika mein aaya hy k,
Aap S.A.WW ny pehli ummaton ki umron ko daikha k oun ko bohat lambii umrein di gi hein or Aap S.A.WW ki ummat ki umrain bohat thori hein agar wo naik amaal mein brabri krna bhe chahein tou na mumkin hy is leay Aap S.A.WW ko ranj hua. Is ki talafi mein yeh raat ata ki gi”
Aik riwayat mein hy k Aap S.A.WW ny Bani Israeal k aik shakhs ka zikr kiya k aik hazar maheeny tak Allah ki raah mein jihaad krta raha, Sahaba karam r.a ko ous par rashk aaya tou Allah ny ous ki talafi k leay yeh raat nazil frmai.
Aik riwayat mein hy k Aap S.A.WW ny Bani Israeal k chaar hazraat Hazrat Ayoub r.a, Hazrat Zikriya r.a, Hazrat Jaqeel r.a, or Hazrat Youshah a.s ka zikr frmaya k yeh sub asi (80) bars tak Allah ki ibadat mein mashgool rahy or aik pal k leay bhe na frmani nai ki…
is par Sahaba ko hairat hue tou Hazrat Jibreel a.a ny sorat qadar sounai.
Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k Allah ny lai’la tul qadar meri ummat ko ata frmai jo is sy pehli ummaton ko nai mili.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *