60. Sadqa e Fitar

“~*Shaaor E Ramzan*~”
“Sadqa E Fitar”
1. Eid ki subah sadiq sy yeh sadqa wajib ho jata hy. Behtar yehi hy k eid gaah jany sy qabal ada kr diya jaye.
Agar kisi ny ramzan mein he dy diya tou ada ho gya or agar kisi ny eid k din tak na diya tou maof nai hua ada krna ho ga.
2. Sadqa e fitar apni taraf sy or apni na baligh oulaad ki taraf sy daina wajib hy.
3. Bacha khaw eid waly din paida ho ya aik din pehly oys ka bhe sadqa fitar daina lazim o wajib hy.
4. Jo musalman itna maaldar ho k zaroori asbab sy zaaid maal ka malik ho jis ki agar qeemat lagwaein tou zakat wajib hoti hy ous par eid k din sadqa fitar daina wajib hy chahy ous maal par saal guzry ya na guzry, samaan e tijarat ho ya gharailo saman.
5. Sadqa e fitar mein pony do sair gandum ya itni raqam daina zaroori hy.
6. Aik aadmi ka sadqa e fitar aik mustahiq ko dy diya ya thora thora kr k chand logon ko dy dain dono sorton mein theek hy.
7. Aik shehar sy dousry shehar mein bheijna makrooh hy lakin agar dousry shehar mein ghareeb rishta daar ziada hon, mohtaj hon ya jin k kaam mein lagy hon tou makrooh nai.
8. Nokar ya khidmat gaar ko tankhaw mein sadqa fitar daina na jaaiz hy waisy agar miskeen hy tou diya ja sakta hy.
Ihsas Atta Ho


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *