Alert 60-*Batil Or Doosray Sy Dua Karana*

Batil Alert 60
*Batil or Doosray sy Dua Karana*

Batil kisi doosray sy dua karwanay k hawalay sy ikhtalafi points samnay lata hy maslan ye k Ham kisi k sath dua kion kaaraien? kia ALLAH hamari nahi sounay ga? Jab kam Allah ny karna hy tou kisi doosray k sath dua kion karaein? Hamaray or ALLAH K darmian koi teesra ya ghair kion aye?
etc etc.
Or youn ham batil k is waar mein phanss kar ye nahi samjh paatay k…
Ham bandon ko ALLAH ny apni pehchan karanay or hidayat ke raah dikhanay k leay hamesha kisi na kisi banday ko he zarriye banaya. Is leay kisi aisay banday ko jo ALLAH k samnay paish honay ka saleeqa sikha raha hy or dillon mei Allah ka yakeen pukhta kar raha hy osay apnay or ALLAH k darmian teesra kion samjha jaye balkay Wo tou hamara Mohsin hy Jo hamein apnay masaeil k hall k leay ALLAH k samnay jhukna sikha raha hy tou ossay apnay or ALLAH K darmian ghair nahi samjhna chahiye.

Doosri tarf batil hamaray yakeen mein kami kar k hamein gherta hy tou apni zindgi ke azmaishon par be-sakooni ka shikaar ho jatay hein or is ka matlab hy k ham Allah par wesa yakeen or emaan nahi rakhtay jo hamaray itmenaan ka bais hy. Abb Dil ko aisay yakeen or emaan ke halat mein ALLAH ke madad sy sirf wohi shkahs laa sakta hy jo khud bohat pukhta yakeen wala or dil mein emaan ke daolat rakhnay wala hoga , isi leay kisi yakeen walay sy rabta rakha jata hy or dua karai jati hy taa k ahista ahista hamara dil bhe ALLAH par emaan sy munnawar hota jaye. Jis sy dua k leay raabta karaya jata hy oske apni zindgi mei bhe aisay he kisi yakeen walay k sath rabta rakh k dua karwanay ke waja sy sakoon or Allah par yakeen mei behtari aa chuki hoti hy.
Batil hamein isi sakoon sy mehroom rakhnay or inhi azmaishon mein ouljhaye rakhnay or Allah k yakeen sy dour rakhnay k leay he aisay kisi bhe Haq k power rakhnay walay kisi khalis Allah walay sy dua karwanay ke taraf aanay he nahi daita.

Allah k bandon ka aik doosray k leay dua karna Allah ka pasandeeda amal bhe hy jo Allah ke raza k hasool ka sabab bhe banta hy. Kion k ALLAH ko apnay bandon ka apas mei rabta rakh k dard bantna or piar muhabat ka ihsas rakhna bohat pasand hy.
Allah ny Hazrat Mousa sy farmaya:-
“Ay Moosa! MUJ sy dua os zaban sy maang jis sy tu ny gunah na keya ho. Hazrat Moosa ny arz keya , Ya ALLAH!,
mei wo zaban kahan sy laaoun? ALLAH ny farmaya k , Moosa apnay leay doosron sy dua karao, kion k tum nay
unke zaban sy gunah nahi keya.””
Batil youn aik doosray sy dua karwanay sy rok kar hamein Allah ke raza k hasool sy bhe mehroom kar daita hy.

Lehaza batil k is waar ko pehchanein or is point par billa waja arrnay ke bajaye dua k leay kisi bhe Haq ke power walay Allah walay sy rabta rakh k dua karanay mein jhijhak, aar ya ikhtilaf na rakhein balkay Oun sy jourr kar khud bhe Allah ka yakeen par khara honay or dua mein paish honay ka saleeqa seekhein or Oun ke dua ke barkat sy faiz yaab ho k zindgi ke azmaishon sy lar k nikalen or batil k daanat khattay kar den.

Haq ka Allam Thamay Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *