Alert 61-*Batil Or Batil Ka Tamasha*

Batil Alert 61
*Batil or Batil Ka Tamasha*
Haq ke rah par chalnay walay rahi ko Markaz ke tarf sy har lamha nazar mein rakh kar itni power de jati hy k wo khud bhe batil sy larr sakay or is ka istamal karnay k apnay kisi sathi ko bhe zaroorat parrnay par batil k shikanjay mein phanssnay sy bacha sakay ya phanss janay par wahan sy nikal sakay.

Batil k waar ka aik roop ye bhe hy k ain os waqt k jab hamein oss ata k gae haq ke power ka barwaqt or bharpoor istamal kar k apnay sathi ko batil ke qaid sy nikal anay mein madad karni hoti hy….
Tabhi andar ye soch aye ge k main tou is waqt khud behtareen tareeqay sy aagay nai chal paa raha or mujay tou khud is waqt madad ke or power ke zaroorat hy tou main kisi ko kaisay batil k shikanjay sy nikal sakon ga. Jab k aisa kuch nai hota. Dar asal os waqt is soch ka andar outh aana siwaye batil ke aik chaal k kuch bhe nai. Kion k agar haqeeqat mein andar kisi qism ke negativity ya gandd aaya hoga tou Markaz ke tarf sy hamein kisi na kisi ‘Zariye’ sy alert kar dia jaata hy ta k ham khud ko wahan sy oun points sy bacha k nikal len jahan phannsnay ka khatra ho. Or agar aisa nahi hoa or khud hamein bhe os khas lamhay sy pehlay (k jab apko kisi or ko phanssnay sy bachana hy) ihsas nai tha k aap khud phanss rahay hein ya down hein, tou samjh jayen k ye batil ka khamkhaw ka aik tamasha hy or wo hamari tawanai, haq ke taqat, jazbay ke quwat ko aik ghair eham cheez par, ghalat simmt mein, ghalat waqt par lagwana chahta hy.
Doosri tarf batil ka andar ka aik waar os waqt ka ye bhe hy k…
Batil is tara sy hamein na shukri ke tarf ley jata hy kion k haq ke power ata hona aik azeem naimat hy jis k leay har lamha Apnay Malik ka shukar guzar hona is power mein izafa karta hy. Or ye aik amanat hy jiss ka betareen istamal har lamha apnay or apnay sathi haq k rahi musafiron k safar ko aagay barhnay k leay karna he, is amanat ke passdaari ka amli saboot hy.
Batil hamein khamkhaw k points, k jin ke hessiat aik weham sy barh k kuch nai hoti, mein phanssa kar iss shukar guzari or amanat daari sy mehroom karnay ke chaal chalta hy.
Is k ilawa aik or pehloo ye hy k …
Batil k is war mein phanss kar ham apni haq ke power ko barhanay ka wo qeemti moaqa zaya kar daitay hein. Kion k jab bhe ham kisi haq k rahi ko batil sy larrnay mein madad dey kar, os k sath mill kar batil sy nabard azmai kar k ossay batil k shikanjay sy azaad karatay hein, tou wahan khud hamein Haq k Rahi/Sipahi k taor par Markaz ke tarf sy kumak Haq ke power ke soorat mein paohanchai jaati hy. Os waqt k os mahaz par kisi sathi k sath mil osko ko batil sy larrna sikhaa jaana hamein batil sy panja azmai k boht sy gurr sikhata or batil k samnay or na-darr karta hy or ghair mamooli quwat e emani or yakeen ke power ata karta hy.
Or haq k raahi ke quwat e emani batil k leay moat ka paigham hy. Isi leay aisay maoqay par k jab ham kisi sath k sath yak jan ho k batil ke aisi taissi pherrnay lagein wo hamein ghair eham nuktay mein phanssa kar faida uthanay ke koshish karay ga. Os sy alert rahein or os k is tamashay ko samajh kar baatil ko is ka bharpor jawab dain.

Haq Ka Allam Thamay Rakhna


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *