Alert 62-*Batil or Zati Nazriyat*

Batil Alert 62
*Batil or Zaati Nazriyat*
Haq ka rahi Ashiq k taor par haq k safar mein aagay barh raha ho tou osk soch ihsas or amal mein piarvi ka Markaz or Mehvar osk Mashooq hotay hein.
Wahan oska koe zati maktaba e fiker ya nazriya baki nai rehta, chahey wo kitna he eham maosharti, siasi, ya samaji nazriya ho wo osko Mashooq ke khushi k leay ya manay ga ya nai manay ga.
In mein sy kisi bhe hawalay oska apna zati, zehni or qalbi lagao ya pasandeedgi ka baki reh jana osk ishq k khaatay mein oske kami k taor par he darj hoga. Kion k yahan oss ny Mashooq ke bajaye zaat ko baala tarr kar rakha hy. Jab k ashiq k taor par ossay har oss ihsas, soch, amal,nazzriya, maktaba e fiker ya os nazriya k hamil shakhs ko bhe pakarna or ossay pasand karna hy jo oska Mashooq ka pasandeeda hoa or jis ke tarf os k Mashooq ke ik nigah bhe outhi ho ge.
Yahan osk ishq ka taqaza hy k wo apni sadion purani khandani or warasat mein mili hoe zaati pasandeedgi ko balaa e taaq rakh k wo pasand karay jo osk Mashooq ke khushi, pasand or raza ho kion k ashiq k leay oska Mashooq he Haq ka allambardar hy or ashiq ko apnay Mashooq ke nigah k isharay ko samjh k apnay kisi zati nazriye k sath zehni or qalabi rujhaan sy hath outha k apnay Mashooq k Nazriya ko apna laina hota hy kion k ye bhe ishq ka aik rangg hy.
Or batil ashiq ko wahan ye mehsoos he nai honay daita k ye bhe zaat ka aik pehloo hy jis mein oske pasnad ka Mashooq ke pasand sy juda hona osk ishq k is pehloo ko kamzor kar raha hy or oss k or Mashooq k darmian rukwat khari kar k qurabt mein agay barhnay sy rok raha hy.
Jab bhe kaheun aisa mehsoos honay lagay tou faoran apne zaat par paaoun rakh k ishq mein aafay qadam barrha laina k yehi baatil k moun par tamancha ho ga.
Haq ka Allam Thamay Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *