Alert 63-*Batil Or Rah E Hidayat*

Batil Alert 63
*Batil or Rah e Hidayat*
Jab kabhi ham kisi bhe silsila ka hissa ban kar haq ke rah par aagay barh rahay hon gay tou batil aik aik pal peecha karay ga k kahin kisi maqam par phanssa ley or hamara haq ke rah ka safar ruk jaye.
Or phir jab kabhi kisi bhe waar k zariye phanssa kar batil aisa karnay mein kamyab ho jaye tou haq ka raahi os waqt os chaal ko na samjhtay hoay…sisila chor denay, silsila sy alug ho janay ke baat karta hy….
Jab k haqeeqat ye hy…
Batil hamein samjhnay nai daita k…
Kisi bhe roohani silsilay mein hamaray anay sy sirf hamara faida or janay sy hamara he nuqsan hota hy, os Silsila ko nahi.
Batil hamein ashnai honay k bawajood ye bhula daita hy k…
Kisi bhe Roohani Silsila ka hissa ban jana hamara ikhtiar nahi hota balkay ye tou Allah ka karam k Wo hamein apnay Muqarab bandon k sath sy nawazta hy or Allah walon ke khas ata hy k Wo hamein qabool kar laitay hein.
Or ham os waqt apni nadani ke wajah sy os ata or karam sy hath dho bethtay hein jis ka naim ul badal hamein kahin nai mill sakta. Kion k Allah k karam sy kisi ko Oske Rah par aana, chalna or aagay barhna naseeb ho jana agar khush qismati hy tou batil k jaal mein phans kar is rastay par aagay barhnay sy inkar kar daina badqismati nahi tou or kia hy….!
Batil os waqt is tarf bhe dehan nai janay daita k…
Allah k khas fazal sy jab kisi par ye ata ho jati hy k wo kisi Roohani Silsilay ka hissa ban jaye tou wo yaad rakhay k abb is par istaqamat sy agay barhnay ka faisla oska apna amal karaye ga.
Kisi Haq k Rahi ka bhe silsila mein shamooliyat paa lenay k baad youn peechay hattna sarr a sarr khasaara ka soda hota hy…
Magar os waqt batil youn ankhon par patti baandh daita hy k…
Wo ye bhe ghor nai kar pata k akhir wo hidayat ka rasta jissay khud Allah ny osk leay khola or os par chalnay ke taqat de, ab is par chalnay ke taofeeq na paa sakna hamari apni he kisi khata ka nateeja tou nahi. Jo batil k is roop mein samnay aya ho.
Batil k phelaye hoay jaal mein phanss kar chornay wala ye bhe nahi soch paata hy…
K wo Roohani silsila kisi ke zaati meerass tou nahi. Or wahan de janay wali taleemat bhe zatiyat par mabni tou nahi hein. Ossay tou wahan sy Allah ke ashnai, eman ke taqat,yakeen ke quwat or haq ke power ata ke ja rahi thee or dunia, nafs, shetan or batil sy larrna sikhaya ja raha tha.
Or agar wo silsila chor raha hy tou dar asal tou wo Allah ke ashnai, Allah ke qurbat ke raah sy mounh pher kar jaa raha hy.
Jab wo batil k shikanjay mein ajata hy tou wo ye bhe samjhnay sy qasir hota hy k….
Allah ny tou ossay apnay Un bandon mein shamil keya tha jinnhein Wo hidayat dena chahta hy, tou un bandon mein shamil ho janay k bawajood is rah par aagay barhaney sy inkar or nashukri ke wajah sy kahin oske tarf sy Allah ny tou rukh nai morr leya…ya Allah ny oske rassi tou daraz nai kar de….!

So Stay Alert …..!!!
Haq ka Allam Thamay Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *