Alert 64-*Batil Or Halaat o Waqiat*

Batil Alert 64
*Batil Or Halaat o Waqiat*
Aik Ashiq Haq k rahi ny dunia chor nai daini hoti ossay dunia mein reh kar dunia sy dil bacha kar haq k safar par agay barhna hota hy.
Kabhi kabhi aisa bhe hota hy k raah chaltay aisay moamlat, irrd girrd k halaat or waqiat jin ka hissa ossay sirf dunia ke routine nibhanay k leay ban jana hota hy, wahan wo billa wasta ya bil wasta (direct/ indirect) toar par in moasharti, qoami, aalmi ya majmooi taor py duniyawi halat o waqiat mein is qadar involve ho jata hy k wahan oska dill un waqiat k zer assar aa jata hy.
Or batil itnay ghair mehsoos tareeqay sy gherta hy k ashqi ko khaber bhe nai lagti k…
Batil ny osk dil ko muttasir kar k dar asal oska haq ka safar muttasir karna shuru kar dia hy.
Kion k tab batil ossay ye bhula daita hy k halaat o waqiat koe bhe hon, unke shiddat kaisi he ho, ashiq haq k rahi ny wahan oss sab ko Mashooq k zavia e nazar sy he dekhna hy. Wo chahey kisi mulk ke azadi ka moamla ho, moasharti taffarqa ho, qomon ka apas ka hnafaaq ho ya koe bhe aisa manzar namaa jis ka oss sy indirect talouq ho…
Wo wahan bhe Mashooq ke nissbat sy ossay dekhay ga, ossay bhe apna ishq barhanay k leay aik momlay ke tara istamal karay ga Mashooq k ihsas ke pairvi mein wahan sy dard ley ga or Mashooq ke nazar sy oss sab ko dekhtay hoay oss sy dil bacha k nikal aye ga.
Kion k wahan Mashooq k zavia e nazar sy hatt k kisi bhe tara act ya react karna oss k ishq ko nuqsan paohnacha sakta hy.
Lehaza yahan boht mohtat rahein…
K samaji, siasi, qoami ya aalmi maomlat mein dilchaspi len magar oska direct ya indirect hissa ban kar wahan waqti taor par Mashooq ke nissbat sy khud ko alug kar k oun moamlat ka hissa na ban jayen. Kion k ye ishq k safar k leay nuqsan deh hey.

Haq ka Allam Thamay Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *