Alert 66-*Batil or Apni Ghalti Ya Test*

Batil Alert 66
*Batil or Apni Ghalti ya Test*
Allah ke qurbat k safar mein aagay barhnay k leay Haq ka Rahi faraiz ke adaigi or mamoolat o moamlat ko behatareen tareeqay sy nibhanay ke koshish karta hy.
Is safar mein osk leay azmaish bhe hoti hy or oss sy ghaltian bhe sar zadd hoti hein. Lekin wo quwat e emani ke taqat sy har azmaish sy guzarnay ke koshish karta or apni ghaltion sy he sabaq seekhta aik aik qadam haq ke raah par aagay barhta jata hy. Yehi batil k mounh parr tamacha hota hy k jab ham kisi ghalti k sar zad honay par down honay ke bajaye oss sy sabaq seekh kar agay barh jatay hein.
Lekin kabhi kabhi aisa bhe hota hy k ham apni ke gaye ghaltion ko test/azmaish ka naam dey kar barri u zima ho jatay hein.
Or
Oun ghlation sy na tou sabaq seekhtay hein…
Or
Na he oun ghaltion ke islaah karnay ke koshish kartay hein…
Balkay sabaq seekhnay ke bajaye mutmaein rehtay hein…
Or
Iss ihsas sy bhe taskeen patay hein k ham tou azmaish/test sy guzar rahay hein…
Or
Isi wajah sy hamari nazar dooson par bhe jati hy k falan ke wajah sy mushkil/azmaish mein parr gaye.
Or
Youn apni ghalti ko apnay taor par test qarar dey k mazloomiat mein bhe doob jatay hein or Allah sy door ho jatay hein. Halan k Allah ke tarf sy aye hoe azmaish ke pehchan ye hy k wo Allah sy qareeb ley kar jati hy door nai karti or quwat e emani mein izafa karti hy.
Isi leay ye test nai balkay hamari ghalti hoti hy k jab ham ihsas e ashnai, amal ke quwat, eman ke taqat rakhnay k bawajood moamla feham ho kar faraiz, mamoolat or maomlat ko nibha nai patay. Or jab moamlaat o halaat mein bigaar aa jata hy tou oss bigaar ko ham test ka naam dey detay hein jo dar asal apni he ghalti, amal ke kamzori or kam fehmi ka nateeja hota hy.
Yahan batil hamari aqal ko hathiyar banata hy or ham bari chalaki sy apni ghalti ko test ka naam dey daitay hein or amli taor par koe step ley kar apni ghaltion ko theek karnay or moamlat ko sudharnay ke bajaye bewaqoof ban k hath par hath dharay bethay rehtay hein. Or youn wo points jo maomlat mein bigaar paida kartay hein wo hamaray qurbat k safar mein rukawat dal daitay hein or batil ke chal kamyab ho jati hy.
Ghor karen….!!!
Kahin ap bhe apni ghaltion ko test ka naam dey kar mutamaein tou nahi ho kar bethay….???
Agar aisa hy tou is sy nikal kar qadam aagay barrhaein or ohnsanay walay baatil ko aik aisa thaparr maarein k os k daant bahir ajaaein.

Haq Ka Allam Thamay Rakhna


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *