Alert 67-*Batil Or Batil k Purr Assr Hamlay Ka Waqt*

*Alert 67*
*Batil Or Batil k Purr Assr Hamlay Ka Waqt*

Asal mein batil koe ziada taqat nahi rakhta… hota ye hy k jab ham dunia, nafs, shetan k jal mein phanss kar inhein apnay par havi honay ka moaqa detay hein tou inka ye haavi hona quwat e emaani ke kami ka sabab ban jata hy. Batil ka ye target hota hy k jahan kahin dillon mein haq yani emaan nazar aey hamla karay ga. Ab jab wo kahin sy bhe zara sa maoqa paa k haq k raahi par hamla karta hy tou oss hamlay ka assar is leay ho jata hy k haq ka raahi ny apnay andar sy batil k sath har lamha jang ka ihsas chorr rakha hota hy.
Matlab ye k agar dunia, nafs, shetan, sharr k sath har lamha ke jari rahay tou haq k raahi ke quwat e emaani mein izafa hota rehta hy or agar ye jang rouk jaye or ihsas e jang baidar rakhnay sy ghaafil ho jadin tou batil ka hamla apna asar dikhata hy or baatil haq k raahi ko phansa laita hy.
Ab agar haq ka raahi batil k hamlay mein passpa ho jaey tou bhe iska matlab ye nahi k batil ke taqat zaida ho gaye hy… Har giz nahiii…
Is mein na tou batil ka koe kamal tha or na he ye naseeb ya mouqdar par chorr dai a hota hy balkay ye sirf or sirf ye hota hy k haq k raahi ny larrna chor dia or isi wajah sy wo quwat jo larrtay rehnay ke wajah sy wasool honi thee wo hasil na kar paaey or youn is kamzori ke wajah sy haq k raahi ny khud batil ko maoqa dia k wo aye, hamla karay or kamiyab ho jaye, lehaza jab kabhi bhe aisa ho k batil k hamlay ka shikar ho k haq k raahi passpa hoay hon yani apnay andar sy dil ke power sy nafs, shetan, sharr k khilaaf larai jari nahi rakhi hoe tou ihsas ho janay par apni larai phirr sy shuru kar dein yani apnay andar sy haq ke maojuda quwat ka istamal kartay hoay batil k khilaaf mahaz aarai start kar dain… ye wo pehla taqatwar waar hota hy jo aisay mein batil par keya ja sakta hy or wo bagh khara hota hy k abb tou haq ka raahi haq ke quwat k sath larrnay k leay aa geya hy or kion k haq k leay larai mein baatil k muqabil haq hota hy is leay batil ko bhagna he hota hy. Kion k haq k samnay is ka theharna mumkin he nai lehaza batil k kisi bhe waar ko nakaam karnar k leay amal ke quwat istamal karen or isko bhaagh janay par majboor kar k kar is k war ka moun torr jawab dain.

Haq ka Allam Thamay Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *