Alert 68-*Batil or Apna Haqeeqi Chehra*

Alert 68
*Batil or Apna Haqeeqi Chehra*
Kisi bhe Silsilay sy wabasta ho k, kisi Rehnuma sy rehnumai ley k jab haq ke rah par anay walay musafir ka haq ka safar shuru ho k aagay barhta hy tou os k andar Haq ke Roshni outarti hy or os roshni mein ossay apnay andar ke gandgi or kasafat nazar aana shuru ho jati hy jo beshuk k moajood tou osk andar pehlay bhe hoti hy magar pehlay andar Haq or eman ke itni roshni nai hoti k os mein ye sabb andar ke ghalazat dikhaai daiti… Jab haq walon sy wabastgi dil mein haq ke shama roshan kerti hy tou os roshni mein haq k rahi par apni haqeeqat khulni shuru hoti hy jo k aam taor par itni ganddi hoti hy k apna he haqeeqi chehra dekhna or apni he assliyat qabool karna haq k rahi k leay muskhil ho jata hy.
Yahan batil forun hushiyar ho k ata hy or yahan apna bharpoor waar karnay ke koshish kartay hoay haq k raahi ko baawar karata hy k jaisay haq ke rah pakarnay sy pehlay tou wo boht pakeeza o paarsa tha or abb jab wo haq ke rah par aya tou oss ke zaat or zindgi mein behtari anay ke bajaye badtari aani shuru ho gaye hy.
Jab k hota dar asal ye hy k yehi andar apni zaat ke or bahir k halaat ke abb’tarri tou pehlay sy moajood hoti hy magar ihsas nahi hota.
Hamaray andar k bigaar ke wajah sy he hamaray bahir k moamlat bhe bigray hoay hotay hein. Kion k ye tou Allah ny bhe farmaya hy k hamaray sath jo boura hota hy wo hamaray apnay amaal ka nateeja hota hy magar ham ny jaan boojh ker is haqeeqat ke tarf sy aankhein band kar rakhi hoti hein. Jab haq ke roshni andar outari hey tou yehi ankhein jin par batil ny ghaflat ka parda dal rakha tha, wohi ankh apni haqeeqat dekh leti hy magar kion k isay tasleem karna mushkil hota hy is leay batil haq k rahi ko is baat ka ilzam bhe haq walon par dalnay par majboor karta hy k Oun Haq Walon sy wabastgi ke wajah sy os k andar bahir k halaat mein bajaye behtari aanay k badtari aa gaye jab k hota sirf yehi k asal mein tou Haq walon sy wabastgi ny andar Haq ke roshni outari, or os roshni mein andar gandgi dekh kar ossay dour karnay ka moaqa Allah ny dia.
Batill is maoqa sy faida uthanay nahi dena chahta or haq k rahi ko Haq Walon sy he is tara ke soch baidar kar k bad zan karnay ke koshish karta hy.
Baatil ke is koshish ko nakaam bananey k leay haq kraahi ko sachay dil sy apni haqeeqat taleem karni chahiye or shukar guzar ho k Haq Walon sy wasbtagi ny ham par hamari asliyat khol kar hamari bhalai or falah ke rah asan kar de… Or iss wabastgi sy bharpoor faida utha kar khud ko sanwarnay ke koshish mein lagg kar batil ke raggon sy khoon nichor len.

Haq ka Allam Thamay Rakhna


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *