Alert 69-*Batil or Aik Waswassa*

Alert 69
* Batil or Aik Wusswasa*
Haq ke raah par baiqada aik safar ka aghaz honay k baad har roohani musafir ke apni apni dorr hoti hy k koe safar mein apni manzil ke tarf kis raftar sy or kahan takk bhagta hy kion k yahan har aik musafir ka apna maidan hota hy or apna ghora jo jahan tak bhagna chahey ossay maidan khulla millta hy. Haq ke power lamha lamha andar ke jari jang sy mouyassar ati rehti hy or Markaz ke taraf sy Haq ke kumak ke farahmi bhe iss jang mein Haq k Rahi ko khara rakhti or larrwati hy. Jab bhe koe Haq ke rah par agay barhta musafir khud apni zat par ya kaam ya logon ke bhalai k kaam ko rok de ga tou oska andar ka safar rouk jata hy is andar k safar ka musalsal rukay rehna he oss k haq k safar ko mutasir karta hy or is tara oska baqaida jari roohani safar ya tou mutasir hota hy or phirr sy andar ke jang jari karnay par behtar honay lagta hy or ya phir musalal andar ke jang rokay rakhnay ke wajah sy haq ka safar ruk jata hy.
Abb aisay mein batil ata hy

Jab bhe koe girta hy…
Ya apna Roohani Silsila, ya Allah ka raasta chorr k jata hy, khas kar jab wo Aala manaazil pay ho or bahut kuch aatta ho chuka ho tou sab k zehnon mein aik sawal aata hy or rehta hy k ….
“Phir ye kia Rohani safar karanay walon ko pata nahn chala…
Isay itnaa aatta kion keya…
phir ous k maqaam ka ab kia ho ga…
Is tara k bohat sy sawal hoty hain…

Batil ye sawal or aisay wasswassay un sathi musafiron k dil mein dalta jo os ruk janay walay ya chorr janay walay haq k raahi k sath chal rahay hotay hein.

Yahan sab ye zehan mein rakhein k ham aam zehan k log, zahir ke ankh sy har shay dekhtay or parakhtay hein is leay…
Ham Allah k nizam ko nahin samajh saktay k Os ny kisi ko utayaa kion or girayaa kion…
Jab tak k zaahir ke aanhk band nahin ho ge or wahan moamla nahin khouly ga…
Aik bad’kaar ko outha k kahaan lay jataa hy…
Ye Ous ke hikmat ya nizam hy.Yahan har banda apne atta or apny pay honay walay karam pay nazar rakh kar istaqamat say kharray rehnay ke koshish karay…
Aalaa manazil ka safar intehaai muskhil or dushwaar guzar hy. Yahan is safar ko aghaz karnay wala har musafir safar ke akhri inteha tak nahi ja pata. Jis ka jitna naseeb or os k sath sath os ke apni koshish hoti hy wo osi maqam o manzil tak paohanch k baki roohani qafilay sy alug ho jata hy.
Is leay jo koe bhe safar k jis maqam tak aa k haq k qafilay sy alug hoa ya oska safar ruk jaye osk leay ainda bhe hidayat ke dua dil sy karen ta k oske bhalai ke raah hamysha aasan rahay or chahey wo safar mein aagay na barhay magar jis qadar safar wo kar paya ossi sy hasil karda power ko wo apni ainda ke zindgi mein khud ko kam az kam oss hadd tak haq par khara rehnay k leay istamal kar sakay jis hadd par aa kar oss ka safar mukamal hoa.
Yehi dil sy dua batil k iss waar ka behtareen jawab hy k jo baatil oss ham safar haq k rahi k safar k ruk janay par weham o wasswassay ka shikar kar k baki haq k rahio k safar ko mutasir karnay ke koshish karta hy.
Is koshish ko nakam karnay k leay isyaqamat sy yakeen par kharay reh kr sachay dill sy hidayat ke dua karen or batil ko daant peesnay par majboor kar den.

Haq ka Allam Buland Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *