Alert 71-*Batil or Mar’oubiyat*

Alert 71
*Batil Or Mar’oobiyat*

Haq ke rah par chalnay walay musafir ka safar aagay barhta hy tou aala maqam bhe ata hotay hein or qurb ke manazil ke tarf safar bhe jarib rehta hy.
Magar ye kisi bhe musafir ka andar ka roohani safar hota hy jiss mein khalis pann har guzartay lamhay barhta jata hy.
Yaban par bhe baatil apna war karnay sy nai choukta.
Apni aalla manazil or safar k maqam ka ziker apnay sy peechay aanay walay musafiron ya orr logon k samnay karna unhein mar’oub tou karta hy magar haqeeqat mein hamaray khalis pann mein khott shamil kar deta hy kion k bazahir iss ziker ka maqsad besbuk baat baraye baat he hota ho magar andar kahin na kahin ham soun’nay walay ko ye sabb bata kar marou’b bhe karna chah rahay hotay hein.
Ye andar ka khott safar k alaa level par safar ko buri tara muttasir kar sakta hy kion k is safar mein haq k rahi ny khud ko khalis sy khalis tareen karna hota hy or yehi khalis pann batil ke moat hy jis mein khott shamil karnay k leay batil ye chal bhe chalta hy.
Lehaza Kisi bhe apnay sy peechay anay walay musafir ya haq ke rah par chalnay ke talab rakhnay walay takk apnay andar outri hoe haq ke roshni or haq ka paigham zaroor paohanchayen kion k yehi cheez ossay faida de ge magar apka apnay safar k maqamat ka ya tay karda manzil ka ziker ossay kuch dair k leay aap sy mar’oub tou kar de ga par iss sy oska bhalai ya faida tou koe na hoga jab k Haq k rahi ny tou logon ke bhalai or falah ke raah asan karni hy ossay doosron par apni barai ka izhar nahi karna hota.
Is waar sy bachnay k leay hatul imkan koshish karen k apni safar k maqamat ya level ko maouzoo e guftagoo na banayen or agar kabhi koe shoq sy jan’na bhe chahe tou niyat dar niyat sirf ye ho k iss batanay sy is soun’nay wala ka shoq or jazba baidar ho or ye bhe aagay ke manzil k leay tagg o dou mein lag jaye.
Or aisa kar k baatil ko yahan sy ghous k war karnay ka hargizz maoka na dain.

Haq Ka Allam Buland Rakhna 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *