Alert 73-*Batil Or Na-Shukri*

Alert 73
*Batil or Na Shukri*

Hamari zindgi k khushi k moamlat or mou’waqey par batil hamein Allah k samnay shukar guzar honay sy rokta hy. Or aisay mein ham Allah k karam sy nawazey janay par Allah ka shukar karnay ke bajaye apas k ikhtilafat or ana ka shikar ho kar shukar k ihsas kho detay hein. Hamari nazar oss ata par nahi rehti jiss k leay ham ny khud he Allah k hazoor arzian paish ke hoti hein or rou rou k duayen maangi hoti hein.

Allah ke tarf sy apnay bandon par honay wali kisi bhe ata k moaqay par bandgi ka taqaza ye hota hy k banday Apnay Malik ka shukar baja layen.

Shukar dil ke halat ka naam hy. Or shukar k ihsas ka dil mein maojood hona un k amal or moamlat sy zahir bhe hota hy. Kisi qism ka koe gilla, shikwa dil mein na ho balkay dill sachai sy Allah k samnay jhuka ho k ye tou osska karam or meharbani hy werna ham kahan is qabil thay k ye ata hoti. Is tara sy halat e shukar mein rehna he Allah k han pasandeeda hy or is par Wo khush ho k apnay bandon ko zaida nawazta hy.

Batil aisay maoqay par hamein kisi bhe tara ke be maani uljhan or zaat k jaal mein phanssa kar hamaray dil ke halat ko kharab kar deta hy. Ham na shukri k murtakib hotay hein or janay anjanay mein Allah ke narazgi moll letay hein.
Or yehi osske chal hy k Allah k bandon ko Allah k samnay jhuknay na de. Wo Allah k bandon ko bhatka k unhein Allah k samnay jhuknay sy rokta hey ta k wo bhe Allah ke raza sy mehroom ho jayen.

Aisay kisi bhe moaqay par sachay dil sy Allah ka shukar ada kar k or zaat k jaal sy bahir nikal kar batil k aisay parkhachay urrayen k osko mounh chuppanay ke jahag na millay.

Haq ka Allah Bulanad Rakhna?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *