Alert 74-*Batil or Jahalat*

Alert 74
*Batil or Jahalat*

Zamana e Jahliyat ke tara aj bhe betion ke betion ke padaish ko aik ghamnak waqia samjha jata hy.
Maoshray mein jahalat ke aisi ann ginnnt misaalen hamein millen ge k jahan log baition ke paidaish par sogg manatay or ansoo bahatay hein.

Ye sabb batil ke rachaya hoa khel hy jo betion ke padaish par ronay dhonay or sogg mananey par majboor kar deta hy.

Hamari jahalat, Allah k ihsas e ashnai or Allah par yakeen ke kami betion k padaish k maoqay par ghamgheen kar deti hy. Jab k betian tou Allah ke rehmat hein or Piaray Aaqa e Dou Jahan k Farman k moutabiq betion ke parwarish karnay wala qiyamat k roz Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke qurbat paye ga.

Asal mein os maoqay par batil hamein gher leta hy.
Batil hamaray dimagh mein ye sochein dalta hy k…
Beti ke padaish izzat o fakhar mein kami karti hy…
Beti k waldain moashray mein sarr utha kar nai chal saktay…
Betian tou bojh hein or in ke parwarish, zimmey dari or farz sy subakdosh hona jaan jokhon ka kaam hy….
Or kabhi ye pehloo samnay lata hy k…
Asal mein tou betay he fakhar ka sabab hein…
Ya waldain ka sahara or hamdard tou betay hotay hein…etc etc…

Haqeeqat tou ye hy k aisay maoqay par batil hamaray kamzor eman or jahalat ka bharpoor faida uthanay mein ratti barabar nahi chookta hy or apnay jaal mein phanssa leta hy.

Ham samjh boojh rakhnay k bawajood oss waqt jahalat ka muzahira kartay hein or bhool jatay hein…
K
Kisi k ghar mein Beti ke padaish dar asal tou waldain or baki sabb k leay shukar ka maqam hy k Allah ny unko apni Rehmat sy nawazney k leay muntakhib farmaya.
Or doosri taraf aik ummati k taor par beti ke padaish kisi bhe ummati k leay oske Piaray Aaqa e Dou Jahan S.A.WW sy nissbat mazboot karnay ka waseela bhe banti hy

kion k AAP S.A.WW ko Allah ny Betion ka baap banaya or AAP S.A.WW ka Saya e Rehmat o Muhabat or AAP S.A.WW k hathon parwarish AAP S.A.WW ke baition ko ata hoe. Agar baition ke paidaish, bation ka baap hona ya baition ke parwarish kisi qism ke sharmindgi or izat mein kami ka sabab hoti tou Allah kabhi Apnay Habeeb Aaqa e Dou Jahan S.A.WW ko baition ka baap na banata. Allah ny Piaray Aaqa S.A.WW ko Baitay ke Naimat sy nawaza jo bachpan mein he duniya sy parda farma gaye. AAP S.A.WW ny Betion ke pur shafqat parwarish khud farmaye. Oun k leay leay Intehani Shafeeq or Muhabat karnay wala Be Missal Baap thay.
Batil os waqt ham poori tara ghafil kar k bhula deta hy de k Piaray Aaqa e Dou Jahan S.A.WW kis tara Apni betion or khas toar par apni Piari Beti Hazrat Bibi Fatima ka Ehtam bhe farmatay thay or kaisi shafqat ka izhar bhe farmtay thay.***
Batil hamein na tou Allah ke Rehmat sy nawazey janay ka ihsas rehnay deta hy or na he Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW sy nissbat ke mazbooti ke khushi mananey deta hy balkay is k barr akks mazloomiayat or ranj o allam ka shikar kar deta hy.

Batil os waqt hamein mukhtalif qism ke sochon mein phannsa kar hamara Allah par eman or Allah par tawaqul mazeed kamzor tarr kar deta hy.
Zara Ghor Karen…!
Kia aik musalman k taor par hamara ye eman nai hy k…
Allah tou khud har Rooh ka Raziq or Malik hy or Wo is dunia mein aanay wali har Rooh k leay har tara k waseelay or sabab gheib sy khud banata hy chahey wo beta ho ya beti osk rizq ka zimma tou Allah ny le rakha hy phir ham kion pareshan hota hein. Batil hamein bhula deta hy. betion ke Padaish Rizq or bakrat mein izafa karti hy kami nahi.

Jahalat ke wajah sy maoshray mein farogh panay walay rujhan ke waja sy beton ko afzal or betion ko kamtarr samjhna bhe batil ke chal hy or ham bhool jatay hein k beti ke padaish tou izzat or fakhar ka sabab hy. Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ke Hayat e Taiyaba sy ye sabaq leya ja sakta hy or is par amal kar k apni nissbat ko mazboot keya ja sakta hy.

Batil chaal chalta hy or bhula deta hy k Wahid Sahara Allah ke zaat he hy or waldain ka tawaqul bhe Osi par ho na k beton par. Ye Allah ke qudrat hy k Wo chahey beti ya betay ko ya kisi bhe orr ko waldain k leay dunia mein sahara bana de.

Batil hamein bhula deta hy k 2…or 3 betion ke parwariah ehsan tareeqay sy karnay walay ko tou Piaray Aaqa E Dou Jahan S.A.WW ny jannat mein apni qurbat ke khush khabri de hy. Lekin ham aisay nadan hein k batil k phelaye hoay jaal mein phanss kar duniyawi izat k mayar par khud ko parkahtay hein or 2..ya 3 betion ke padaish par bajaye khush honay k dukh ka shikar ho jatay hein batil os waqt bhula deta hy k yehi betian dunia mein bhe rahat ka sabab hoti hein or…
kal ko hashar k maidan mein inhi betion ke parwarish ka waseela waldain k leay jannat mein dakhlay k kaam aye ga or batil hamein dunia or akhrat k is daimi faiday sy mehroom rakhnay k leay he tou hamein jahalat ka muzahira karnay par majboor karta or ye sabb haqeeqaten bhula deta hy jinn ka yaad rakhna hamein Allah ke raza mein razi rakhta hy. Or ye Allah ke raza sy mehroomi he batil ke sabb sy ghehri chaal hy kion k wo khud na farman hy or oske yehi chal hy k wo har maoqay par Allah k bandon ko Allah ke nafarmani par majboor kar de.
Is leay betion ke padaish k moaqay par batil k ye saray roop pehchan kar dill sy khushi manayen or Allah ka shukar ada kar batil ka mounh aisa torren k wo rehti dunia takk apna sarr peetay.

Haq Ka Allah Buland Rakhna?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *