Alert 75-*Batil or Itehad*

Batil Alert 75
*Batil or Itehaad*

Kisi bhe Peer o Murshad, Rehbar ke rehnumai mein Allah ke qurbat ke raah par chalnay walay Haq k Rahi dar asal batil k hilaaf Haq k Faoj hotay hein. Har Haq ka Raahi apnay taor par apnay mahaz par bhe batil k hilaaf nabard azma hota hy or oun ka apas ka itehad haq ke quwat mein izafa karta hy or youn haq ka allam sar buland rehta hy.

Batil Haq k Rahion k dillon mein aik doosray k leay mamooli or choti choti baton par ghair mehsoos tareeqay sy ranjish paida karta or dil ke halat ko khalis nahi rehnay deta. Batil ka maqsad Haq k Rahion ko taar taar kar k infradi toar par Haq k Rahi k safar ko nuqsan paohanchana or majmooe toar par Haq k Allam ke sarbulandi k mission ko muttasir karna hota hy.

Haq ke Raah par chalnay walay sab Haq k Rahion ka apas mein jurray rehna, ouna ka apas ka piar, muhabat or itehad dar asal Haq ke Power ko barhaye rakhta hy or yehi itehad batil ke tabahi ka sabab banta hy. Jitna is itehad mein mazbooti aati hy outna he Haq k Rahion k girrd batil ka shikanja kazmor hota jata hy. Haq k Rahion ka batil k shikanjay sy azad hotay jana haq ke faoj ke quwat mein izafa karta or unhein doosray ummation ko batil k shikanjay sy niakalnay k qabil karta hy. Or isi haq k mission ko nakami sy dou chaar karnay k leay batil Haq k rahion ko apas mein taar taar karnay ke chaal chalta hy.

Haq K Rahion ka apas ka itehad he haq k allam ke nigehbani k awaleen taqazon mein sy hy kion k Jitna wo apas mein mazbooti sy jurray rehtay hein batil ko Haq Walon ke saffon mein apni raah bananey mein osi qadar nakami ka samna hota hy.

Batil har lamha Haq k Rahion mein maojood itehad mein darrar dalnay ke koshish karta hy. Os k leay batil ka aik harrba ye bhe hy k wo Haq k Rahion ko apni he zaat k jaal mein phansa kar apas mein faslay paida kar deta hy. Bazahir wo intehai mamooli or gher eham maomlaat ho saktay hein jin mein phanss kar haq k raahi apas mein dili taor par dour honay lagtay hein. Dillon mein maojood ye fasla haq ke quwat mein kami karta hy tou batil khush hota hy. Kion k oss waqt aik taraf tou zaat mein phanssnay ke wajah sy infaradi taor par haq ka safar mutassir ho raha hota hy or doosri taraf majmooi taor par ye apas k ithehad ko kamzor kar k dar asal Haq ke quwat mein kami karta hy or youn wo Haq k Rahi jinhein Haq k Allam ke sar bulandi or nigehbani ka fareeza apnay apnay mahaz par sar apas mein mutahid rehtay hoay sar anjam dena hota hy wo farz anjam denay sy kotahi barrat kr wo batil ko khushi mananey ka moaqa faraham kartay hein.

Batil oss waqt ye ihsas bhe nahi rehnay deta k
Haq K Rahion ka batil ke chaal mein aa k zaat mein phanss kar apas mein faslay paida kr lena Peer o Murshad K dill k leay takleef ka sabab banta hy. Dar asal koe bhe haq ka rahi sirf aik fard nahi balkay wo Apnay Peer O Murshad Ke nissbat sy doosray haq k rahion sy jurra hota hy or oun sabb ka apas mein muhabat sy jurray rehna he Peer o Murshad Ke Raza or khushi ka sabab hota hy kion k yehi itehad Haq k Mission ko kamyabi sy aagay barhata hy jo k Kisi bhe Kamil Murshad or Oun k Perokaron Ke Zindgi Awal o akhir Maqsad hota hy.
Batil k hamlay ka shikar ho kar aik taraf Haq k Rahi anjanay mein Apnay Peer O Murshad Ke raza k hilaf amal kar jatay hein or doosri taraf ounka apas mein taar taar hona batil ko khushi k shadiyanay bajanay ka maoqa deta hy.

Batil k waar ko nakaam bananey k leay Nissbat ka daman mazbooti sy pakray rakhein taa k Haq k Rahion ka apas ka itehad mazboot sy mazboot hota chala jaye. Isi bahimi itehad ke wajah sy Haq ke Quwat mein izafa hota rahay or batil apni maot marr jaye.

Haq ka Allam Buland Rakhna?


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *