“Haq ki Baat” Ham mein se bohat se log naya seekhne samajhne k liye akhbar, radio, t.v, internet aur kitabo se parhtay hain. Par ham Apna aap kyu nai parhtay hain…? Jiskay liye hamain koi khaas tardud bhi nai karna parrta hai. Hamare andar he sab kuch hai. Aur har warq par kuch na kuch aisa naya saamne aata rehta hai kay ham jisay parhne se uktatay bhi nahin. Aur is trah khud ko parhne se khud aashna hona hamain Khuda aashna karta jaraha hotaa hai. Khud ko parhne k liye apne ehsas, soch aur amal aur unmein zahir kia hota hai aur darr pardahRead More →

“Haq Ki Baat” Allah kay sath yaqeen isko bhi kehtay hain kay Wo jo faisla karay ga wohee mere liye behtareen hoga. Hamne kisi bhi moamlay mein srf apna 100% laga kay poori koshish karni hoti hai aur behtareen Nateeja ki dua karni hoti hai. Iss kay baad uss moamlay ka jo bhi nateeja saamne aaye usay dil se maan lena kay issi mein meri behtari hai ye bhi Allah par yaqeen aur hamare behtareen eman k level ko zahir karta hai. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

“Haq ki baat” Ham aik tou apni marzi kartay hain.. lekin hadd ye hai kay kisi bhi tarah se apne mamool aur moamlay mein apni marzi kartay hue ham apne liye doosro ko bhi apni marzi ka he dekhna chahtay hain kay wo hamare liye hamari marzi kay mutabik houn. Kia ye intaha ka gand nai? Ham apni hadd tak apni marzi karna chahtay hain tou kam az kam aglay ko bhi tou gunjaish dain k wo apni karay. Par afsoos gandd + gannd he hai aur phir gannd × gannd kar dete hain. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “*Haq ki Baat*” Har shakhs apne dil kay darwazay ki kundi andar se kholta aur lagata hai. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “Haq ki Baat” Hamain haal mei jeena seekhna hoga aur ussi mein sakoon hai. Hamain aadat hoti hai k ya tou ham maazi ki mushkilaat ka rona rotay hue shikway mein chalay jatay hain ya mustakbil kay andaishay hamain beyaqeeni mein mubtala rakhtay hain. Aur ye dono halatain Allah se door ley jati hain. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “Haq ki Baat” Hassad kay peeche anaa hoti hai. Anaa jahan jahan saamne aaye waheen us par paaon rakho aur apni marzi k ult amal kar jaao. Zeher ko zeher se maaro us se andar kattay ga. Aur ye cut khud he lagao kyu k ye andar ki rasoli hai, phorra hai. Isliye iss par cut laga k gand khud araam se saaf karlo warna bahir se kisi aur kay hatho cut laggay ga tou gand phailay ga. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “Haq Ki Baat” Allah ki raah k musafir k liye Allah ki janib ki raah kaantay daar jhaariyo walay raaste jesi hai. Yahan chalnay laggo gay tou bohat kuch dil ko uljhaye ga jo sirf duniya ki lazatain he nai duniya kay maslay bhi ho sktay hain. Bus yahan se uljhay binaa apne aap ko bacha kay guzarte jaana he bahaduri hai. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “Haq ki Baat” Apne kisi amal ki wazahat dena khud ko darust sabit karne ki koshish hoti hai. Aur hamain kisi mamlay mein wazahat deni hai ya nai uska pataa dil mein chalta hai kyu kay jab ham kisi baat par mutmain hotay hain to fark nai parrta. Aur agar wazahat diye binaa aaram na araha ho tou khud ko rok laina chahiye kyu kay wo sirf zaat ki taskeen hoti hai. شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →

  “Haq ki Baat” Har wo cheez, souch, amal ya moamla jis ka asar dill pr ho ya dil is mein phans jaye wo dunia ka dana hai . شاه جی❤ ? حق بات (محمدی حسینی سلسه)Read More →