*” Tazkia E Nafs “* Q.Hamaray andar Chahton ka outhna har waqt jari rehta hy.. Aj khud par ghehri nazar rakh kr apnay ihsaas or soch mein guzrnay wali chahaton ko pakrna hy…. Or Zaher k amel k leay b jo chahat aaey osay b parkarna or share karna hy. Nafs ke Jang Jari Rahay  21Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q.Hamari zindgi mein zahridari ya dikhawa ka boht amal dakhal hy. Aaj jaiza lejiye… K ham aaj acha ban’ny ke koshish mein koe amal karty hen tou wo kis ke nazar mein acha ban’nay k leay hota hy…?? Nafs ke Jang Jari Rahay  22Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q.Allah ka farman hy k…. Tumhein achay amal say wo nahi milta jo ache niyat say milta hay… Zara Sochiye… Kia ham har kaam main teh dar teh chupi niyat ko check karty hein?? Nafs ke Jang Jari Rahay  23Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q. Ham zat sy bala tar ho kar k he apny zaati skoon sahoolat aor khushi ki qurbani dey saktay or dosron k skoon sahoolat aor khushi ka bais banty hen. Aj is hawalay sy apna jaiza len or share karen… A. kia ham is hawalay sy zaat ko tarjeeh detay hein… B. Aj zat ke qurbani dey k kis tara doosron k leay sakoon or sahoolat ka sabab ban’ney k leay kia step leay. Nafs ke Jang Jari Rahay  24Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q. Allah hm sy kitna razi hein is ka andaza is sy lagaya ja sakta hy k ham kitna Allah ke raza mein razi hein. Aj is hawalay sy apna jaiza len k ham har tara k halaat mein Allah ke raza mein razi hein ya shikwa kartay hein…? Nafs ke Jang Jari Rahay  25Read More →

” Tazkia E Nafs “* Q.Aisi koe aayat, Hadees, Qaol ya apne he koe soch ya khiyal bataaein… jis ke waja sy aap mayousi sy jaldi nikal aatay hein?? Or agar sath he apne zindagi ka koe practical batana chahein k, Jab aap is k waja sy mayousi sy nikal aey??? Nafs ke Jang Jari Rahay  26Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q.Aap ko kon sa point yaad aajaey tou aap baaton ke rawaani mein bhe jhoot boltay boltay khud ko rok laitay hein?? Or apna koe zaati tajarba share karein k, Jab aap ko jhoot boltay hoay achanak sy yaad aya or aap ny khud par control kartay hoay khubsurti sy baat badal de?? Nafs ke Jang Jari Rahay  27Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q. Hamaray har amal k peechay niyat or niyat dar niyat bhe hoti hy. Haq k rahi ny khalis pan k safar mein har lamha is par ghehri nazar rakhni hoti hy. Aj khud ko is hawalay se check kren or points share karen k kahan kis amal mein oupar ke niyat or the or niyat dar niyat or thee…? Nafs ke Jang Jari Rahay  28Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Q. Zamana e Jahliat mein arab moashrey mein achay khandan par bahut fakhar kia jata tha. Apnay dil mein jhank kr dekhen k ham bhi family background par fakhar to nahi krty. Halanky ye apany bas mein nahi k kis khandan mein hamari pedaish ho. Nafs ke Jang Jari Rahay  29Read More →

*” Tazkia E Nafs “* Hamara yakeen hamaray gumaan k moutabiq hota hy or hamaray guman k moutabiq he hamein Allah sy milta bhe hy. Q. Ap k kheyal mein… Haq k rahi ko Allah ke ashnai k safar mein aagay barhtay hoay har tara k ups n downs mein Allah sy kaisay guman or Os par kaisay yakeen rakhnay chahiyen. Nafs ke Jang Jari Rahay  30Read More →