DAY 14

DAY 14

TOPICS :

“Namaz ki Rak’atain 2,3,4 kyun hain”
“Namaz mein 7 farz kyun hain”
“Fajar namaz”
“Namaz e Fajar aur AAP S.A.W.W ka tareeqa”


 

*~Namazon Ki Rak’atein 2′ 3 or 4 Kion Hein~*

Allah ny insan ko hawaas e khamsa ata farmaye ta’k dunyavii’ maadii’ jismani naimaton sy lutf andoz ho saky phir in naimaton ki shukr guzari k leay 5 namazain ata farmaein or namazoon ke rak’atein mutayen farmaen..

1… *QUWAT E SHAMA*
is sy khushboo or badboo ka pata chalta hy kion k is sy 2 kaam leay jaty hein…
lehaza fajr ki 2 rak’atein farz hoe ta’ k is naimat ka shukria ada ho saky..

2.. *QUWAT E LAMSA*
is sy 4 kaam leay jaty hein…
1..sardi ka pata chalta hy.
2…garmi ka pata chalta hy.
3… cheez ki narmi ka pata chalta hy..
4… cheez ki sakhti ka pata chalta hy.
zohar ki 4 rak’atein farz hoe ta’ k is naimat ka shukr ada ho saky.

3… *QUWAT E ZAAIQA*
zaban 4 qisam ka zaiqa maloom kr sakti hy…
meetha.. karwa.. namkeen.. tursh..
is naimat ka shukr ada krny k leay 4 rak’atein farz huein.

4… *QUWAT E BASRA*
isan ki ankh aik waqt mein 3 taraf daikh sakti hy.
samny . daaein. baaein.
is naimat ka shukr ada krny k leay magrib k 3 rak’at farz huy.
qurbaan jaein Sohny Meethy Allah ki piyary rehmaton pr jis ki waja sy naimaton ka shukr ada krna asaan ho gya. .agar sari zindagi apna sar sajdy mein dal kr pary rahein tou bhe naimaton ka haq ada nahi kr sakty.
Allah ny insan ko mat’ti sy banaya ab na to mat’ti mein parwaz krny ki salahiyat hy or na he insan ko par ata hoay..k jin k sath insan parwaz kr saky.Allah chahta tha k insan ko jismani parwaz to nahi mili.. rohani parwaz naseeb honi chaheay..
ta’ k aalam e malkoot k anwaar o barkaat ki jholiaan bhar sakein..
is leay 5 namazen farz farma dein.
jin sy farishton k sath ibadat wali munasibat hasil ho gi.
kiun k farishton k 2, 2, 3, 3, 4, 4 par hein jin sy wo parwaz krty hein.
Allah ka farmaan hy k
“Malaika ko Rasool banaya or 2, 2, 3, 3, 4, 4, par ata farmay”
Allah ny bhe farz namazon ki rak’atein 2, 2, 3, 3, 4, 4 muqarar farmaein ta’k insaan rohani parwaz kr saky.

Ihsas Atta Ho.

*~Namaz Mein 7 Farz Kion Hein~*

Frishty apni ibadat k aitbaar sy 7 jamaton mein taqseem hein..
1. Arsh e Illahi or bait ul mamoor ka tawaaf krty hoay tasbeeh , tamheed or takbeer kehna.
2. Momino k leay astagfaar krna in k leay magfirat ki dua krna ya in ki duaon pr ameen kehna,.
3. Quran Pak parhny walon ka Quran sun’na ya majalis zikr or waaz o naseehat mein shamil hona.
4. Qayaam ki halat mein ibadat krna..
5. Rakoo ki halat mein ibadat krna..
6. Sajdy ki halat mein ibadat krna..
7. At’ta hayaat ki halat mein ibadat krna
Allah ny namaz mein 7 faraiz mukarar keay ta’ k Malaika ke tamam ibadat k sath munasibat hasil ho saky.
insan ko zahiri tor pr 7 aza sy rahat o lazzat milti hy.
1… hath
2..paon
3…aankh
4…zaban
5…naak
6…sharamgaah
7…damaagh
in 7 rahaton k badly mein namaz mein 7 farz muqar’rar hoay ta’ k Allah ki naimaton ka shukr ada ho saky..jis tarha zahiri aza mein it’haad hy k aik ki takleef sy sab ki rahat khtm ho jati hy….
isi trha faraiz mein itsaal hy aik farz choutny pr namaz batil ho jati hy…
insan 7 cheezon sy mil kr bana hy..
1..gosht
2..pathy
3.. ragg
4…khoon
5.. haddian
6..magaz
7..,jild
in tamam aza k shukria k tor or namaz mein sath farz muqar’rar keay gy.
Allah ka farmaan hy k,
“jahanum k 7 darwazy hein”
,Allah Tala ny namaz mein 7 farz muqar’rar farmay ta’k namazi aadmi jahannum k 7 darwazon sy bach jaey yani nijaat pa jaey.

Ihsas Atta Ho.

*~Fajar Ki Namaz~*

Hazrat Aadam a.a ko jb janat mein utara gaya tou wo raat ka andhaira, wehshat or tanhai ko daikh kr boht khouf zada hoay…
sari raat roty hoay guzar gi..
jab taloou subah sadik k waqt andhaira khtm hoa to 2 rakaat shukrany k ada keay….
Allah ny Ummat e Muhammadi S.A.WW pr ye namaz farz kr di.. ta’k jo shakhs namaz e fajar pabandi sy parhy ga wo qabr k andhery sy amaan paye ga.
Hazrat Aadam a.a ny museebat sy nijaat pany pr shukrany k nafal ada keay….
subh ka waqt ehl e dunia ghafleen k leay araam ka waqt hota hy wo raat bhar fasaq o fajoor mein mubtala reh kr soty hein to subh k waqt uthna mushkil hota hy…
Allah ny momineen pr fajar ki namaz farz farmaei ta’k (Allah Tala khary or khoty ko juda kr dy)
(Infaal 37)
raat bhar insan k pas 2 farishty rehty hein jo fajar k bad arsh e Allah pr wapis jaty hein….
Allah in sy pouchty hein k tum ny mery bandon ko kis halat mein chora… wo arz krty hein k ham ny inhen masjidon mein namaz parhty hoay or tasbeeh o taqdees byaan krty hoay chora hy.
Allah farmaty hein k
Aey farishto…!!
tm ny he kaha tha k, “Aap banaein gy is ko jo zameen mein fasaad machaey ga”
jab k main ny kaha
“main wo janta hon jo tm nahi janty”
Daikha mere baat pori hoe k mery bandon ny fasaad machany k bajaey meree ibadat mein apna waqt guzara.
ps tm gawah rehna k in ke ibadat k badly main ny inhen bakhshish ata farmadi.
janat mein na raat ho gi na din, na sakht sardi, or na garmi..
Allah ka Farmaan hy k,
“na is mein soraj dekhen gy na sardi”
aisa norani waqt ho ga jaisy subh ka waqt. is waqt ko deedar e Allah k waqt k sath kamil munasibat hy ps jo shakhs fajr ke namaz ehtamam sy parhy ga isy badly k tour pr jannat mein Allah ka deedar naseeb ho ga…
Allah ka farmaan hy
Ehsaan k badly Ehsaan.

Ihsas Atta Ho.

*~Namaz e Fajar Or Aap SAWW ka Tareeqa~*

Namaz e fajar ka waqt subah sadiq sy souraj nikalny tak hy. Jab souraj ka zara sa kinara bhe nikal aaya tou fajar ka waqt khatam ho gya. subah sadiq souraj nikalny ay taqreebn dairh pony do ghanty pehly hoti hy. subah sadiq hony k baad fajar ka waqt shuru ho jata hy or riza daar ka ous waqt sy khana peena haram ho jata hy. subah sadiq hoty ge tahajud ka waqt bhe khatam ho jata hy. Fajar ki namaz k leay Aap S.A.WW ka mamool tha k subah sadiq k baad pehly do rak’at sunnat ghar mein parhty ous k baad masjid mei tashreef laa kr do rak’at farz parhaya krty thy.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
ALLAH ny insan ko kitnay hawas atta kiye…?
Or in naimaton ki shukr guzari k liye kaya atta kiyaa..?

Q.2
Namaz may 7 farz kiun hen..?
Wajha Batayen..

Q.3
ALLAH ny ummat e Mohammadi s.a.ww per Fajar ki namaz kiun ferz ker di…?

Q.4
Namaz e Fajar ka wqt kab say shuro ho ker kab tak rehta hy..?

Q.5
PIYARAY AAQA S.A.WW ka fajar ki namaz kay liye kaya mamool tha…?

 


ANSWER SHEET

Ans 1:

Allh ne insan ko hawas e khansa atta frmay,takay dunyav maaadi,jismani nematon se lutf andoz ho saky…
r phir in nematon ki shukar guzari k lie 5 namazen atta frmaaeen,,,r namazon ke rak’aten mut’ayyan farmaaeen…

……..

Ans 2:

Allah Sohny ne namaz mai 7 faraiz is lie mukarrar kiay,takay malaika ke tamam ibadaat k sath munasibat hasil ho saky…

…….
Ans 3:

Allah Sohny ne Ummat e Muhammadi S.A.WW pr fajar ke namaz farz kr di,takay jo shakhs namaz e fajar pabandi se parhy ga,wo qabar k andheray se amaan paay ga…

………

Ans 4:

Namaz fajar ka waqt suba sadiq se lay kr suraj nikalny tak hy…

………

Ans 5:

Fajar ke namaz k lie AAQA JAAN S.A.WW ka mamool tha k suba sadiq k bad pehly 2 rak’at sunnat ghar mai parhtay,,,us k bad us k bad masjid mai tashreef la kr 2 rak’at farz parhaya kartay thay….

……..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *