DAY 13

DAY 13

TOPICS :

“Lamba Qayaam Afzal ya Sajda”
“Sajdey mein jaane ki tarteeb khas kyun”
“Arkaam e Namaz ko khas tarteeb se adaa karne ka raaz”
“Namaz ko mukamal karne wali 12 cheezein”


 

*~Lamba Qayaam Afzal Ya Sajda~*

Taveel qayaam ke fazeelat is leay hy k momin is mein qir’rat kr raha hota hy or qir’rat Quran Majeed tamam zikr o azkaar pr fazeelat rakhti hy.
Hadees pak k mutabik ,”Namaz mein parhny waly shakhs ko har harf k badly 100 nakiyan milti hein 100 gunah maaf hoty hein or janat k 100 darjy buland kiye jaty hein.
Allah Rabul Izat qari ka quran nehayat tawajha sy sunty hein.
Taveel sajdy ke fazeelat is leay hy k momin apny nafs ko pamaal krta hy
pyshani khak pr tika daita hy…
Pas Allah ta’ala k qareeb jata hy.
Quran pak mein hy k
“Sajdy sy qurb milta hy”
Nabi Pak S.A.WW ny Allah Tala ka farman naqal kia…
“Mera banda nawafil k zareay mera qurb pa laita hy”
Pas mashaikh k 2 andaz rahy hein…
Baz ny taveel qayaam ko pasand kia or baz ny taveel sajdy ko pasand kia hy….
haqeeqat yahi hy k insan ke tabiat kbhe taveel qayaam ko pasand krti hy kabhe taveel sajdy ko pasand krti hy.

Ihsas Atta Ho.

 

*~Sajdy Mein Jany Ki Tarteeb Khas Kion~*

Shariyat ka hukam hy sajdy mein jaty waqt namazi pehly apny ghutny zameen pr tikaey phir hath zameen pr rakhy phir pyshani zameen sy lagaey
bila uzar is k khilaf krna sakht makrooh hy.
sajdy sy uthty waqt is k baraks uthein….
yani pehly sar uthaein ‘ phir hath’ phir guthny’ phir khara ho jaey..
marfat is ke yeh hy
k sajdy mein jana
moat or fana ke surat hy
jb k qayaam mein khara hona…. zindagani ke surat hy..
Pas sajdy mein jaty waqt ke tarteeb ko pasand kia gia or qayaam mein khara hoty waqt zindagani ke tarteeb ko pasand kia gia.
ta’ k namazi k qayaam o sajood ko is ke zindagi or moat k sath zahiri, batni mashabeht ho jaey.
Tafseel is ke yeh hy k moat k waqt insani rooh pehly ghutno phir hathon phir aakhir mein sy sar sy nikali jati hy goya paoun sy nikalni shuru hoe or bil aakhir sar sy nikali…
jb k Hazrat Aadam a.s k jisam mein rooh sar ke taraf sy dali gi thee jo seeny or hathon sy hoti hoe paoun tk pohanchi
Pas sajdy mein jaty waqt rooh nikalny ke tarteeb or qayaam mein khara hoty waqt rooh jisam mein dalny ke tarteeb sy mushabehat hy.
Sajdy mein jana fana hy to qayaam mein khary hona baqaa hy.

Ihsas Atta Ho.

 

*~Arkaan e Namaz Ko Khas Tarteeb sy Ada Krny Ka Raaz~*

Hadees pak mein hy k,
“Allah ta’ala par wajib hy k sar buland krny waly ko sar nigoun kry or jo Allah ta’ala k leay sarnigoun ho Allah ta’ala usy bulandi atta krta hy”
is asool k paish e nazar momin ny jb namaz ke niyyat bandh kr qayaam kia to qayaam bulandi hy pas Allah ta”ala ny rakoo mein jhukny ka hukam diya.
Momin ny rakoo mein jhuk kr aajzi o lahajat sy (pak hy mera Rab jo Azmat wala hy) kaha to Allah ny is tawazo ke waja sy isy phir qouma kra k qayaam ke taraf lotaya…
goya dousry lafzon mein isy sar buland kia.
ab momin ko yeh raaz maloom ho gia k jhukny mein he mere izat hy…
pas wo sajdy mein ja gira or
“pak hy mera Rab jo sb sy Aala hy”
k ilfaz sy Allah Rab ul Izat ke tareefain krny laga.
Allah ta’ala ny isy sajda sy uth kr jalsa mein baihny ka hukam diya. momin ko sajdy mein itna maza mila tha k wo 2 baar sajdy mein ja gira or ajzi o faryad krny laga..
momin ny jb itni tawaza ikhtyar ke to Parwardigar e Aalam ny isy At’ta hayat ke shakal mein bethaya…
goya Allah ta’ala ke bargah or majlis mein bethny ke sa’adat paai.
At’ta hayat k bad momin jb us kafiyat sy bahir nikla tou dono taraf salaam phaira, goya kisi batni, rohani safar sy wapis apni jaga par loat aeya hy.
is leay namaz ko momin ke miraaj kaha gya hy..
idhar Allah sy wasal oudhar makhlok mein shamil.

Ihsas Atta Ho.

 

*~Namaz Ko Mukamal Krny Wali 12 Cheezain~*

Sufiaa kehty hein k namaz mein 12 hazar cheezain hein jin ko Allah ny 12 cheezon mein taqseem farmaya hy…..
in 12 ka khiyal rakhna zaroori hy ta’ k namaz mukamal ho jaey or is ka poora faida hasil ho.
1… ilm
2… Wozou
3… Libaas
4… Waqt
5… Qibla ke taraf rukh krna
6… Neeyat
7… Takbeer Tehreema,
8… Nimaz mein khara hona,
9… Quran pak parhna,
10.. Rakoo
11.. Sajda
12.. Attahayaat mein bethna….

 

*In 12 mein hr aik k 3 juzv hein*

1… ILM
a. Farzon or sunton ko alehda alehda maloom kry,
b. wazoo or namaz mein kitni chezen farz hein kitne sunnat hein.
c. Shaitaan kis kis makar sy namaz mein rakhna dalta hy..

2. WAZOO
a. Dil ko keena or hasad sy paak kry jaisa k zahiri azaa ko paak kr raha hy
b. zahiri azaa ko gunahon sy paak rakhy
c. wazoo krny mein na israaf kry or na kotaahi…

3. LIBAAS
a. Halaal kamaee ka ho.
b. paak ho
c. sunnat k mawafiq ho, takabur or baraee k tour par na pehna ho.

4. WAQT
a. Dhoop sitaron waghira ke khabar geeri rakhy ta’k ouqaat sahee maloom ho sakein.
b. Azaan ke khabar rakhy
c. Dil sy har waqt namaz k wsqt ka khyal rakhy kbhe aisa na ho k waqt guzar jaey pata na chaly.

5… QIBLA
a. Zahiri badan sy idhar mutawaja ho
b. Dil Allah ke taraf tawaja rakhy k dil ka kaba wohi hy.
c. Malik k samny jis tarha hama tan mutawaja hona chaheay isi tarha mutawajha ho..

6…NEYAT
a. kon c namaz parh raha hy.
b. Allah k samny khara hy or Wo dekhta hy.
c. Wo dil ke halat ko bhe dekhta hy.

7. TAKBEER TAHREEMA
a. lafz sahee ada hon.
b. Hathon ko kaano tk uthaey ( Allah k ilawa sb chezon ko peachy phenk dea)
c. Allah O Akbar krhty hoay Allah ke Baraee or Azmat dil mein mojoud ho.

8. QAYAAM
a. Nigaah sajdy ke taraf rahy.
b. Dil sy Allah k samny khary hony ka khyal ho
c. kisi dousri taraf mutawaja na ho.
is ki misaal aisi hy jaisy koe shakhs bari mushkil sy darbano ke min’nat samajat kr k badshah k hazoor pohanchy or jb rasaee ho or bsdshah is ke taraf mutawaja ho or wo idhar udhar dekhny lagy aiai sorat mein badshah is ke taraf kia tawaja kry ga.

9… QIRAAT
a. Sahee tarteel sy parhna.
b. is k maani par ghour krna.
c. jo parhy is pr amal kry.

10… RAKOU
a. kamar ko rakoo mein bilkul seedha rakhy na neecha kry ns ouncha.
b. Hath ke oungliyan khol kr chori kr k ghutno pr rakhy.
c.Tasbehaat ko Azmat or Waqar sy parhy.

11….SAJDA
a. Dono hath sajdy mein kano k barabar rahein.
b. Hathon ke kohniyaan khari rahen
c.Tasbehaat ko azmat sy parhein.

12.. TASH’HAD
a. is mein Hazor SAWW par darood hy.
b. Momineen k leay dua hy.
c. phir farishton pr or daen baein janib jo log hein in pr salaam ke niyyat kry.
in sb ke takmeel ikhlas k sath hy…
ikhlas k bhe 3 juzv hein…

IKHLAAS
1. jis namaz sy sirf Allah ke khushnudi maqsad ho.
2. ye samjhy k Allah ke tofeeq sy he namaz ada hoe.
3. is pr sawab ke umeed rakhy.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
Lambay qayyam or Sajday ki kaya fazeelat hy…?

Q.2
Namaz may perhay jany walay her herf kay badlay jo sawab milta hy,usky bary may Hadis mubarka beyan karen…?

Q.3
‘Sajday nay jana’ or ‘Qayyam may kharay hona’ inko kis say tashbeeh di gai hy…?

Q.4
Sajday may jany ki terteeb beyan kijiye…?

Q.5
Namaz ko mukamal kerny wali 12 cheezon kay nam likhiye…?

1.
2.
3.
4.
5.
6.
7.
8.
9.
10.
11.
12.


 

ANSWER SHEET

Q.1
Ans…
Lambay qayam ke fazilat ye hy k qiyam mai momin qirr’at karta hy,r tilawat quran e pak tamam azkaar mai fazeelat rakhti hy…is lie jitna lamba qiyam ho ga,Qirr’at b tweel o ge…n qiyaam esay fzeelat ka ziada baais banny ga.

Lambay sajday key fazeelat is lie hy k momin apny nafs ko pamaal kr k apni peshani khak pe tika deta hy…yani Allah Sohny k qadmon mai sr rakh kr qurb hasil krta hy…

……..

Q.2
Ans…
Hadees e Mubarka:
“Namaz mai parhnay walay hr shakhs ko hr harf k k badlay 100 nekiyan milti hen,100 gunah maaf hoty hen,r jannat k 100 darjay buland kiay jaty hen…”

………

Q.3

Ans ..
Sajday mai janay ko moat r fana se tashbeeh dia gea hy,,,jabkay qiyaam krnay ko yani khara hony ko zindagi se tashbi di gai hy….

………

Q.4
Ans…
Sajday mai jany ke tarteeb ye hy.k pehly ghutnay zameen pr rakhen,phir hath zameen pr taiken,phir peshaniii zmin se lagain…

………

Q.5
Ans
1.ilm
2.wazu
3.libas
4.waqt
5.qibla ki taraf rukh krna
6.niyat
7.takbir e tehrima
8.namaz k lie khara hona
9.quran e pak parhna
10.ruku
11.sajda
12.attahiyaat mai bethna

………


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *