DAY 12

DAY 12

TOPICS :

“Namaz mein Surat Fateha ya Alham Sharif parhna”
“Surat Fateha k satg Surat milne ki hikmat”
“Sajda karne ki hikmat”
“Jalsa aur Qouma mein khare hone mein kiya raaz hai?”


 

*~Namaz Mein Sorat Fateha Ya Alhamd Sharif Parhna~*

Namazi sanaa parh kr tamhidee kalaam kr laita hy to phir aamdam barsary matlab k tour par apni faryaad bazabita tour par paish krta hy..
Surat Fatihaa is ka haseen or anmol namouna hy ye bandy or Allah k darmiyaan ham kalami ka shahkaar hy…

*SORAT FATEHA PARHNY Ka Maqsad*

1. Apny kadeemi namak khawar hony ka aitraaf.
2. Allah ki tareef biyan krna kbsub tareefein Allah k leay hein jo jahano ka Parwardigar hy.
3. Sarkaar Aliaa k Mehrbaan hony ka itraaf krna.
4. Apni be basi or Allah k ba ikhtiyar hony ka aitraaf krna.
5. Apna ghulam hony or Allah sy madad maangny ka izhar krna.
6. Allah sy seedhy raasty pr chalny ki madad maangna.
7. Allah k ghazab or jahanm sy panah maangna.
Ihsas Atta Ho.

*~Sorat Fateha K Sath Sorat Milany Ki Hikmat~*

Surat Fatiha parhny sy namazi ke darkhawst qabool ho gi.
Adalat Aliaa ny pichli galtian maaf kr dein…
aainda gunah na krny ke talqeen ki.
or chaha k Quran majeed ke tilawat sy dastor ul amal sun lo.
is leay Quran Majeed dastoor ul hayaat hy,
zabita Hayaat hy bal’k pouri insaniat k leay Aab e Hayaat hy.

Ihsas Atta Ho.

*~Sajda Krny Ki Hikmat~*

Namazi jb qouma mein gunahon k bojh sy soubakdosh hoa to Mola ke inayaat e khasa ny is k dil ko ehsaan mandi or ihsas e tashakr k jazbat sy bhar diya.
pas Momin fart e muhabat mein apny Mehboob e Haqeeqii k Qadmon mein ja para…
Hazrat Molana Yahya Sahar napori r.a lamba sajda krny k aadi thy
kisi talib ilm ny poucha k itna lamba sajda krny ka kia matlab hy?
Aap ny farmaya k mujhy sajda ke halat mein youn mehsois hota hy k
goya main ny Allah ta’ala k qadmon mein sar rakh diya hy…
mera sar uthany ko dil nahi krta.
Hadees pak mein hy k, “jis haal mein tumhy moat aey gi tum (rozy mehshar) isi haal mein uthaey jao gy”
lehaza
jis shakhs ko namaz k sajdy mein moat aey gi wo qiyamat k din Allah k hazoor sajdy ke halat mein uthy ga…
wo kitna khush naseeb ho ga.
Har momin ke tamana honi chahiye k sajdy ki halat mein moat aey.
Hazrat Aadam a.a ny sajdy meinh tk ponchaeya..
aksar o baishtar jandaar khany k leay apna sar jhukaty hein tb khana naseeb hota hy
br khilaf is k…
momin ny choun k Allah ta’ ala k samny sar jhukaya…
lehaza Allah ta’ala ny is k sar ko ye sharafat bakhshi k dosry maqasid k leay jhukny sy rok dea.
Baaz Aoliaa jb sajda krty hein to Allah ta’ala ko piyar ata hy or zameen bhe is k asraat muratib hoty hein.
Agar dil ghair Allah ke Muhabat sy bhara hoa ho to sajdy k waqt zameen youn kehti hy…
*Main jo sar basajda hoa kabhe…
Tou zameen sy aany lagi sadaa …
Tera dil to hy sanam ashnaa…
Tujhy kia mily ga namaz mein…*
sajdy ke lazat is waqt naseeb hoti hy jb insan apny zahir or batin ke yaksoee sy sajda kry or
dil kahey
(Ay mery Allah tan man or dil o rooh ny Aap ko sajda kea)
agar yeh kafiyat na ho to be zouq sajdon or be saroor namazon k siwa khuch hath nai ata.
Jab main ny zameen py sajda kia to is sy awaaz aaei k sajda krny waly…!! too ny mujy kharab kr dala.
Quran Majeed mein asool bata dea gya k
“Achaee ka badla achaee hota hy”
is asool k bina pr jb momin ny sajda kia
mera Rab pak hy sb sy Aala hy keh kr apny Parwardigar ke qzmato ka iqrar kia to Parwardigar e Alam ny momin par Ihsan farmaty hoay irshad farmaya k…
“Or Tum he Ghalib aao gy agar tum momin ho gy”

Ihsas Atta Ho.

*~Jalsa Or Qouma Mein Khary Hony Mein Kia Raaz Hy~*

Qouma kehty hein rakoo k bad thori dair k leay qiyaam ke trha khara hona or phr sajdy mein jana..
is mein hikmat yeh hy k rakoo or sajdy ka maza juda juda ho jaey.
Dono mein waziha or numayan farq ho jaey. agar bilfarz rakoo sy he sajdy mein chaly gay… rakoo sy wapis qayaaam ke taraf aana or phr sajda krny mein dono amaal aik dousry sy numaeyan ho gy.
sajdon k darmyan thori dair bethny ko jalsa kehty hein.
jalsa mein bethny ke waja sy pehly sajdy k baad dousry ka maza numaeyan ho jata hy..
aik wasal k bad thori dair ka waqfa dousry wasal k mazy ko dobala kr daita hy.
Aqal mandon k leay ishara he kafi hy.
Namaz k aik amal sy dosry amal mein muntakil hoty waqt takbeer kahee jati hy
ta’ k momin ke zaban sy baar baar is haqeeqat ka izhar ho k,
Haq ta’ala hamari ibadat sy buland o bala hy
rakoo mein mera Rab Pak hy or Bari Azmaton Wala hy k alfaz sy azmat Ilahi ka bar bar itraf ki jata hy…
Lehaza rakoo sy qouma mein jaty waqt
jis ny Allah ke tareef ke
Allah ny soun le
ye lutf or mazy ke bat hy k jb imam ny kaha,
“Allah ta’ala hamd krny waly ke faryad sunta hy'”
tou momin ny jb kaha
Aey Parwardigar…!!
sb tareefai Aap k leay hein”
Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

 Short Question :

Q.1
Namaz may surah Fateha perhany ka maksad kaya hota hy…?
(Any 3 points)

Q.2
Surah Fateha perhany may kaya hikmat posheeda hy…?
Q.3
Hazrat Moulana Yahya Saher r.a namaz may lamba sajda kiun kerty thay…?

Q.4
Jab Momin ny Parwerdigaar ke azmaton ka iqrar kiya to Parwerdigar e Alam ny momin per ehsa fermaty huay kaya irshad fermaya…?

Q.5
“Qoama” or “Jalsa ” sy kaya muraad hy…?
(Shortly)


ANSWER SHEET

Q.1
Sura Fatiha parhny ka maqsad:
1. Allah Sohny ke Hamd o Sana biyan krna,k Tamam Paki r tareefen Usi Zaat k lie hen
2. Allah Sohny k mehrban honay ka eteraf krna
3. apni beikhtiyari ka eteraf krna r Allah Sohny k Baikhtiyar honay ka eteraf krna

Q.2
Sura Fatiha parhna duaon ki qaboolyat ka zaria hy…

Q.3
Hazrat Yahya r.a is lie lamba sajda krty thay q k Unhen sajday ke halat mai yon mehsus hota tha,k goya unhon ne ALLAH TAALA k Qadmon mai sar rakh dia ho…”

Q.4
Allah Sohny ne momin pr ehsaan krty huay irshad frmaya:
“R tum he ghalib aao gay,agar tum momin ho gy…”

Q.5
Qoama se murad ruku r sajday k drmian
Qiyaam ke tara khara hona hy…is mai ye hikmat posheeda k namazi ruku r sajday ka alag alag maza pa saky…
Sajdon k darmiyan bethnay ki halat ko jalsa krhtay hen…jalsa mai donon sajdon ka alag alag lutf panay ke hikmat posheeda hy…k Rab Sohny k qadmon mai qurb panay ka maza pehly sajday k bad dusray sajda mai r dobala kr day…

………..


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *