DAY 11

DAY 11

TOPICS :

“Takbeer k Waqt Hathon ka kaano tak uthana”
“Namaz mein Hath Bandh kar Kharay hone ki hikmat”
“Namaz mein SANA parhna”


 

*~Takbeer K Waqt Hathon Ka Kanoon Tak Outhana~*

Hath kanoon ki loo tk is leay uthaey jaty hein ta’k qoul o fael k darmiyan mutabiqat ho jaey. Zaban sy
ALLAH O AKBAR keh kr Allah ta’ala ke shan ka izhar kia or donoo hath kanoon ki loo tk outha kr is k aali makaan hony ka ishara kia….
Pas hamara Parwardigar bara Aali Shaan or Aali makaan wala by.
Insan kisi cheez sy la ilmi zahir krny k leay kanoo ko hath lagata hy…
Wakiaa afak mein Sayida Ayesha r.a k baary mein Piary Aaqa S.A.WW ny Sayida Zainab r.a sy tehqeeq krni chahi’ to ouho ny kanoo pr hath rakh kr farmaya:
“Main apny kaan or zaban bachati hon aisi baat kehny sy jiska mujhy ilm nai”
Isi tarha momin namaz mein jab
ALLAH O AKBAR kehta hy to apny hath kano tk utha kr apni la ilmii ka iqrar kr laita hy .
Maloim hoa k Allah ta’ala ki azmatein hamari soch or gumaan sy bhe buland o bala hy…
dobny wala banda bachao k leay apny hath uthata hy momin jb dunia k dariya mein doob raha tha….
Allah ta’ala k Hazoor pohancha to hath uthaey ta’ k Parwardigar is ka Madadgar ban jaey or isy hub e dunia k daria sy ba hifazat kinary laga dy..
Hath mazhar e taqat hoa krty hein.
Is leay log baat krty hoay mahawra istamal krty hein k,
falan k hath mazbot kro…
is sary moamly k pichy falan ka hath nazar ata hy.
Is aadmi k hath bary lamby hein.
Main is shakhs pr mazbot hath ka shakanja kas don gaa.
Hathon mein hath do falaan ka sath do…
Is ny “aahani hathon” sy choron ko jakr liya…
Falan shakhs phir hath dikha gya…
is qism k bohat sy jumly soun’ny ko milty hein.
Allah Rab ul Izat ny namaz ki ibtada mein he apny bandon k hath khary krwa deay ta’k…
Ta’k pata chal jaey k bandon ny “bykasi” k hath utha kr apni ajzi ka izhar kr diya waisy he jab koe mad e muqabil pr galib ata hy to kehta hy “hands up” hath khary kro..
Ps bandon ny bhe apny Parwardigar k ghalby ko tasleem kr k hath khary keay or zaban sy Allah o Akbar k sath hathon sy bhee ishara kia k
‘”Allah k siwa koe ghalib nahi”
insan jb kisi k husan o Jamal ko daikhta hy to by ikhtyaar hath utha daita hy…
Momin ny namaz Ke niyat krty waqt jb MOLA
K husan o Jamal ke Tajaliaat dekhein’ to heraan o muta’ajab ho kr hath khary kr deay k
Ay Husan k paida krny Waly !
TERY HUSAN O JAMAl Ka kia Aalam hy.
Ihsas Atta Ho.

*~Namaz Mein Hath Bandh Kr Khary Hony Mein Hikmat~*

Adalat mein judge k samny mujrim ko paish kia jaey to hath hathkarion sy bandhy hoty hein.
Momin namaz ke halat mein apny ap ko gunahgar mujrim Ke tarha samjhta hy or Shahenshah e Haqeeqi k samny hath baandh kr khara hota hy.
Yahi adab k ziada qareeb hy ta’k reham ke apeel manzor ho jaey.
Ihsas Atta Ho.

*~Namaz Mein Sana Parhna~*

Jb kisi shakhs ko Darbar e Shahenshahi ke ijazat mil jaey to wo guftagoo ke ibtada mein chand tamheedi kalmaat k zariy Baadshah k alqaab o adaab biyaan krta hy
San’na inhi alqaab o adaab ka majmoa hy..
Faqat alfaz k tarjmy pr ghour krein…
“Ya Allah Tere Paki biyaan krti hon k Too har aib sy pak hy har buraee sy door hy.
Jitni tareef Ke batein hen or jitny bhe kabil madha amour hein wo sb Tery leay sabit hein.
Tera Naam Babarkat hy aisa babarkat k jis cheeze pr Tera Naam liya jaey Wo bhe Babarkat ho jati hy
Tere Shaan boht buland hy Tere azmat sb sy balatar hy.
Tery ilawa koe Mabood nahi na koe zaat ibadat k laik hy na ho gi.

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISES

Q.1
Hath mazhar e taqat hoty hen in ka use jin mohawarat may hota hy wo beyan karen…?(2)

Q.2
Takbeer may hath kano ki lo ko lagaty huay insan kis cheez ka izhar kerta hy…?

Q.3
Namaz may Hath bandh ker kharay honay may kya hikmat posheeda hy…?
(Shortly)

Q.4
Jab kisi shaks ko Darbar e shahenshahi my hazri ki ijazat mil jaye to guftagu ka agaz kesy kerta hy…?

Q.5
‘Sana’ ka terjama kaya hy….?beyan karen

 


ANSWER SHEET

Q.1
Ans….
1…..hathon mein hath do falan ka sath do.
2…..falan shakhs ohir hath dikha gaya.

Q.2
Ans…hath kano ki lo ko laga k is chz ka izhar kia jata hai k hamara Parwardigar bara Aali shaan aur Aali makaan wala hai..

Q.3
Ans….momin namaz ki halat mein apne aap ko gunahgar mujrim ki tarah samajhta hai.yehi adab k ziad qareeb hai taa k reham ki apeal manzoor ho jaye…

Q.4
Ans….jab kisi shakhs ko Darbar e shahnshahi ki ijazat mil jaye to wo apni guftagu ka aghazchand tamheedi kalmaay k zariye badshah k alqaab o adaab biyan krta hai

Q.5
Ans…..”Ya Allah Teri Paki biyaan krti hun k Tu har aib se pak hai har burai se door hai….”

………

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *