DAY 16

DAY 16

TOPICS :

“Namaz e Maghrib”
“Namaz e Maghrib ka waqt aur AP SA.W.W ka tareeqa”
“Isha ki Namaz”
“Namaz e Isha aur AAP S.A.W.W ka tareeqa”


 

*~Namaz E Maghrib~*

Hazrat Aadam a.s or Amma Hawa ki mulaqat jabal e rehmat pr magrib k waqt hoe dono ke toba Allah ny qabool ki. Hazrat Aadam a.s ny toba qabool hony par shukrany k tor pr namaz ada ki Allah ny Sohny Piyary Aaqa S.A.WW ki ummat par magrib ki namaz farz kr di ta’k jo yeh namaz parhy ga is k din bhar k gunah maaf kr diye jaein gy.
Nisara ny Hazrat Essa a.s pr 2 ilzam lagaye aik yeh k wo Khuda k baity hein or Khuda hein..
Hazrat Maryam par yeh ilzam lagaya k
wo khuda ki bivi hein.
Hazrat a.s ny dono ilzamon sy bari k leay 2 rak’at parh kr Allah sy maafi mangi.
Or Bibi Maryam a.s ny aik rak’at parh kr maafi mangi.
Allah ny magrib k waqt in ko ilzamon sy bari qarar diya.
Allah ny magrib ke ye 3 rak’at Sohny Aaqa S.A.WW ki ummat pr farz farma deein ta’k jo magrib ki namaz parhy qayamat k din har ilzam sy usy bari kr diya jaey…
Maghrib k waqt souraj gharoub hoa har taraf andhaira chaa gya aik taraf insaan ko andhairy mein kuch dekhae nai daita….
or mouzi janwaron sy khatra or har taraf mushkil he mushkil k insan apny ap ko khaliq o Malik k sapurd kr dy.
Momin pr magrib ki namaz farz kr di gi ta’k ye namaz parh k apny ap ko Allah k sapurd kr dy jaisy murda badast zinda.
Hazrat Yousaf a.s apny walid sy kae saal juda rahy…
jb qasid maghrib k waqt Hazrat Yousaf a.s ka juba liya gya to Hazrat Yaqoub a.s ki ankhon pr dalny sy binaeey wapis a gi.
Hazrat Yaqoub ko 3 khushian milein.
1…Hazrat Yousaf a.s ki jaan salamat ki khushiii
2…Hazrat Yousaf k imaan salamat ki khushi.
3…Basarat wapis milny ki khushi.
Hazrat Yaqoub ny shukrany k 3 rak’at ada ki …
Allah ny Sohny Aaqa S.A.WW ki ummat par maghrib ki namaz farz kr di ta’ k jo bhe isy baqaaidgi sy parhy ga qayamat k din apny Mehboob Haqeeqi sy mulaqat naseeb ho gi.
Insha Allah

Ihsas Atta Ho.

 

“Namaz e Maghrib ka waqt aur AP SA.W.W ka tareeqa”

Souraj gharoub hoty he maghrib ka waqt shuru ho jata hy or gharoub e shafq tak rehta hy.
Aaftab gharoub hony k baad jb tak maghrib ki taraf aasman k kinary par surkhi rahy ous waqt tak maghrib ka waqt rehta hy lakin maghrib ki namaz mein itni dair kr daina k aasman par khoub tary chamakny lagein haram hy.
Piary Aaqa S.A.WW ka frman hy k,
“Meri ummat ous waqt tak bhalaai ya fitrat e ialam par rahy gi jab tak wo maghrib ki namaz ko itni dair kr k na parhy k tary nazar aany lagain”
Hazrat Abdullah Bin Shafiq r.a biyan krty hein k Aap S.A.WW maghrib ki namaz masjid mrin parhty thy or phir ghar tashreef laa kr do rak’at sunnat parhty thy.

Ihsas Atta Ho.

 

*~Namaz E Ishaa~*

Ishaa k waqt ka andhaira qabr or qayamat k andhairy sy mushebhat rakhta hy… isha ki namaz farz hoe. ta’ k zulmat noor sy badal saky.
Hadees pak mein hy k, “Namaz noor hy jo shakhs isha ki nimaz parhy ga Allah is ki qabr ko roshan kry ga”
Hadees pak mein hy k
“Aey Mehbob…!!!
andhairy mein chal kr masjid jany walon ko qaymat k din kamil noor ki khush khabri suna dain”
Allah ka irshad hy k, “Allah marny walon ki roohein qabz krta hy jis ki moat nahi wo soty waqt marny ki surat hota hy phir jis ki moat aa gi wo soty soty mar gya jis ki zindagi thee wo uth betha”
kia khabar is raat moat aanee ho tou agr aakhri amal namaz ho ga tou qayamat k din namaz parhty uthy ga.
Hadees pak mein hy k,
“Aik shakhs ehraam ki halat mein ount sy gir kr mara wo qayamat k din isi tarha labaik kehta uthy ga.
Hazrat Mousa a.s jb bani israel ko apny sath ly kar nikaly to firon ny wada khilafi krty hoay apny lashkar k sath in ka picha kia…
Hazrat Mousa a.s k sathion ny kaha…
ham to pakry gy,
Hazrat Mosa a.s ny farmaya,
“Mera Rab mery sath hy Wo mujy raah bataey ga”
Allah ny madad farmai k, Hazrat Mousa a.s or in k sath paar utr gy.
firon or is ka lashkr gharq ho gy.
Hazrat Mousa a.s ko 4 khushian milen…
1…Apni jaan salamat rahi
2…Bani Israail k log salamat rahy
3…Firon gharq hoa
4…Fron k madadgar ghrq huy
Hazrat Mousa a.s ny is k shukrany mein ishaa k waqt 4 rak’at namaz farz ada ki.
Sohny Piyary Aaqa S.A.WW ko msiaaj ishaa k baad naseeb hue.
Allah ny Sohny Habib S.A.WW ki umat pr ishaa ki namaz farma dii.. ta’k har aik ko ous k darjy k mutabiq rohani maiaaj hasil ho saky.
Irshaad fatmaya hy k,
“Namaz Momin ki mairaaj hy”
Fajar sy maghrib tk k tamam oqaat mein jis tarha momin Allah ki ibadat krty hein…
isi tarha mushrik bhe apny mabood ki patastish krty hein.
Allah ny is baat ko pasand farmaya k aik aisa waqt ho jis mein koe mushrik bhe apny Mabood ki parastish na kry..
sirf Momin he Allah ki Ibadat kr rahy hon…
is leay ishaa ki namaz farz farma di.

Ihsas Atta Ho.

*~Namaz E Ishaa Or Aap S.A.WW Ka Tareeqa~*

Maghrib k baad aasman par surakh shafq namoudaar hoti hy is k ghaaib hony k baad aik spaidi baqi rehti hy kuch dair k baad yeh bhe ghaaib ho jati hy or tamam aasman yaksaan nazar aany lagtahy or phir ishaa ka waqt shuru ho jata hy jo subah sadiq sy pehly tak rehta hy.
Yeh baat yaad rakhni chahiye k aadhi raat k baad ishaa ka waqt makrooh ho jata hy or swab kam milta hy is leay itni dair kr k namaz nai parhni chahiye. Behtr hy k aik tehaai raat guzarny sy pehly parh li jaye.
Ishaa k mutaliq bohat c ahadees mein takeed aaei hy.
Aap S.A.WW ny frmaya k, “Ishaa ki namaz ka khiyal rakho ummat e Muhammadi ko is baat par fazeelat di gi hy k is sy pehly kisi ny isha ki namaz ada nai ki”
Hazrat Usman r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Jis ny ishaa ki namaz jamaat sy parhi goya wo aadhi raat tak ibadat mein masroof raha or jis ny fajar ki namaz jamaat sy ada ki goya wo pouri raat ibadat mein masroof raha”
Hazrat Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Munafiqon par fajar or ishaa sy ziada koe namaz bhari nai agar in dono k swab ka in ko ilm ho jaye tou ghutnon k bal chalty huy aaein”

Ihsas Atta Ho.

*~*Namaz k Zaroori Masaail*~*

*Aourat K Namaz Parhny Ka Mardon Sy Farq*
Aourat ki namaz mein mard ki namaz sy thora farq hota hy.
is kp zehan mein rakhny ki zaroorat hy… shariyat ny namaz aisi ibadat mein bhe is baat ka khiyal rakha hy k aourat sharm o haya ka lehaaz rakhy.
1. Dopata ya chadar sy bghair hath nikaly kandhon tak hath outha kr niyyat kry.

2. Dono hath naaf ki bjaye seeny par bandhy.
3. Daein hath k hathaili baein hath ki hathaili par rakhy mardon ki tarah halqa bana kr kalaai ko na pakry.

4. Rakoou mein itni jhuky k hath ghutno tak pohanch jaein or hathon ki oungliyan mili hue hon.

5. Sajdy mein pait, bazoo, raan or baghal sub ko mila kr rakhy… mardon ki tarah alag alag na rakhy…or kohniyon ko zameen par bicha ly.

6. Sajdy mein dono paoun zameen oar bicha ly or baithty huy dono paoun daein taraf nikal kr baein surain par baith jaye.

7. Kisi bhe namaz mein ounchi aawaz mein qirat na kry bal’k aahesta aawaz mein qirat kry

Ihsas Atta Ho.


 

EXERCISE

Short Questions :

Q.1
Hazrat Adam a.s or Amma Hawa ki mulaqat kis jag’ha hui or Hazrat Adam a.s ny kis khushi may shukrany kay nawafil ada kiye….?

Q.2
Namaz e Maghrib ka waqt kab say lay ker kis waqt tak rehta hy…?

Q.3
Namaz e Isha ki adaigi kay baray may aik Hadees e mubarka beyaan karen…?

Q.4
Jab fir’on or uska lashkar gharq hua to Hazray Moosa a.s ko kon si 4 khushiyaan milen….?

Q.5
Ishaa ki Namaz kis waqt tak adaa ki jaa sakti hay…?
Kaya aadhi raat kay baad bhe isha ki namaz ada kerny ka utna he sawab milay ga…?


 

ANSWER SHEET

Q.1
Ans:1)Hazrat Aadam A.S r Amman Hawa A.S r Amman Hawwa ke mulaqat jabl e rehmat per maghrib k waqt hui…
2) Hazrat Adam A.S ne toba qabool hony ke khushi mai shukrany k nawafil ada kiay…

……

Q.2
Ans:Namaz e maghrib ka waqt sooraj gharoob honay se shuru ho jata hy,r gharoob e shafaq tak rehta hy…

……..

Q.3
Ans: Hadees e Mubarka :
“Isha ke namaz ka khiyal rakho,Ummat e Muhammadi ko is baat pr fazeelat di gai hy,k is se pehly kisi ne isha ki namaz ada nai ki…”

………

Q.4
Ans:jab firon ka lasjlar gjarq hua to Hazrat Moosa A.s ko 4 khushiyan millliii…
1. Apni jaan salamt rai
2. Bani Israail k log salamat rahy
3. fir’on k madadgar gharq huay
4.fir’on gharq hua

………

Q.5

Ans:isha ke namaz ka waqt suba sadiq tak rehta hy…isha ke namaz ka waqt adhi raat k bad makrooh ho jata hy…r sawab kam milta hy…

……..

 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *