Step 2 – Arkan e Islam (Day 14)

Ramzan Ka Lughvi Mafhoom

Quran Pak mein Surat al Bakra Aayat (185) mein hy k…
(Ramzan ka Wo Maheena jis mein Quran Nazil hoa)
Ramzan ka lafz Ramzun sy nikla hy.
Arbi zaban mein “Ramzun” k maani jala dainy k hein.
Hadees pak mein aata hy k,
“Yeh gunahon ko jala daita hy”
is k lafzi maani taizi k or Shiddat k hein.
Ye Wo maheena hy k Gunahon ki tapish ko thanda krnay k leay Aata hy.
Goya Ramzan ka Lafz apna maani khud bta raha hy k Logon ny apni jaanon per Zulm keay, Un gunahon ki shidaat sy aag jal rahi thi or Ramzan ul Mubarik ka maheena iss aag ki shidat ko khatam krnay or gunahon ko jalany k leay bhaija gaya hy.
Ramzan ul mubarik mein Allah k joud o karam ka samandr josh mein aaya hota hy frishton k zariye har roz ailaan krwaya jata hy k Ay khair k talib saamny aa or matwajoo ho or
Ay sharr k talib tuk ja or gunahon sy toba kr ly.


Roza ka Lughvi or Istelahi Mafhoom

Roza ko arbi mein Soom Kehtay hein.
Is ka Lughvi maani hy Ruk jana, Teher jana.
Sharai Istelah mein Talu e Subh Sadiq sy ly kr Gharob e Aftaab tak khanay peenay or Jamaa sy perhaiz krnay ko Roza kehtay hein.
Hafiz Ibn e Hajar (r.a) ny Roza ki tareef ye likhi hy…
(Makhsos waqt mein makhsos sharait k sath makhsos cheezon sy ruknay ka naam roza hy)
Yani Khaas waqt mein khaas sharait k sath khaas tarah sy banda agar waqt guzaray tou us ko Soom kehtay hein.
Ab aik banda niyat hi na kray or waisay hi bhoka rahy ya is ki niyat ho k mera wazan kam ho jaey… Jaisay Aaj kal bohat saray logon ko dieting ka shok hota hy tou is ko roza nahi kahain gy. Be’shk us ny sara din bhoka reh kr waqt guzara lakin ye Roza nahi kehlaey ga.
Tou is mein kuch khaas Sharait hein jin k sath insan ko apna waqt guzarna parta hy.


 

Rozy ki Fazeelat

Ramzan ul Mubarik ki fazeelat Piary Aaqa S.A.WW ki bohat c ahadees e mubarika sy sabit hoti hy.
Hazrat Abu Zar Ghaffari r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya,
“Soun lo ramzan ka maheena aa gya hy agar log jaan lain k ramzan mein kia barkatein or khoubiyan hein tou tamana krain k tamam saal ramzan rahy”
Hazrat Ans r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Rozy daron ki dastar khawan par twazoo ki jaye gi or wo kha rahy hon gy or log hissab mein phansy hon gy. pas wo kahein gy…
Aey parwardigaar..!
yeh kaisy log hein jo kha rahy hein or hum hissab mein hein oun ko jwab mily ga yeh roza rakhty thy or tum roza nai rakhty thy, yeh log raaton ko khary hoty thy or tum so jaty thy”


ROZY KI NIYYAT

Rozy ka aagaz chounk fajar sy hota hy is leay Aap S.A.WW ny frmaya k, “Fajar k waqt sy pehly yeh azm kr lo k tum Allah k leay roza rakh rahy ho or agar aisa nai kro gy tou is ka matlab yeh ho ga k tum ny rozy or faaqy mein koe imtiaz qaaim nai kiya”
Rozy ki niyat krna zarori hy. Agar kisi ny subah sy ly kr sham tak na kuch khaya na piya or bhouka piyasa raha lakin ous k dil mein rozy ka irada na tha tou roza nai hua. Niyyat ka zaban sy krna zaroori nai jab dil mein khiyal rakha k aaj mera roza hy or sara din na khaya na piya na jamaa kiya tou roza ho gya.
shariyat mein choun k asal ehmiyat niyat ko hasil hy or amaal ki qadr o qeemat bhe niyyat he ki bina par mutaiyan ki jati hy is leay shariyat ki nazar mein aik fael ko dousry fael sy mumtaz krny wali cheeze niyyat hy isi wajah sy rozy k leay fajar sy pehly rozy ki niyyat ka irshad frmaya gya.



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Ramzan ky ma’ani _____ ky hain.
a) Jala dena
b) Saja dena
c) Bujha dena

2. Rozae ko arbi mae _____ kehtae hain.
a) Roum
b) Soum
c) Moum

3. Shareeyat mae asal ihmeeyat _____ ko hasil hy.
a) Neeyat
b) Amal
c) Ibadat

4. Rozae ka aaghaz _____ sy hota hy.
a) Maghrib
b) Asar
c) Fajr

5. Kis maheenae ky barae mae Pyaraay Aaqa S.A.WW ny farmaya keh agar log jaan laein keh is mae kya barkataein aur khoobiyan hain tau tamanna karaein keh sara saal yehe maheena rhae.
a) Ramzan
b) Safar
c) Shabaan

Fill in the blanks /5

1. Ramzan ka lafz _____ sy nikla hy.
2. Ramzan Ul Mubarak mae Allah ky _____ ka samandar josh mae aaya hota hy.
3. Khanae peenae aur _____ sy parhaez ko roza kehtae hain.
4. Rozae ke _____ karna zaroori hy.
5. Neeyat ka _____ sy karna zaroori nhe.

True/False /5

1. Quran e Paak Shabaan mae nazil hua.
2. Ramzan Ul Mubarik ka maheena gunahon ko jalanae ky liye bheja jata hy.
3. Dieting ky shoq mae rakha gaya roza qabool nhe hota.
4. Rozae mae kuch khaas sharait nhe hotae jin ky saath insaan ko waqt guzarna parta hy.
5. Shareeyat ke nazar mae aik fail ko doosrae fail sy mumtaz karnae wale cheez neeyat hy.

Short Answer Questions /15

1. Rozae ke tareef beyaan karaein.
2. Rozae daron ky havalae sy Pyaraay Aaqa S.A.WW ka koi farmaan beyaan karaein.
3. Ramzan Ul Mubarak ke fazeelat apnae alfaaz mae beeyan karaein.
4. Rozae ke neeyat kaisae karne chahiye? Wazeyah karaein.
5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (b)
3. (a)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Ramzun
2. Joud o Karam
3. Jamaa
4. Neeyat
5. Zubaan

True/False

1. ✖
2. ✔
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Makhsoos waqt mae makhsoos sharait k saath makhsoos cheezon sy ruknay ka naam roza hy.

2. Yeh har aik ka apna jawab ho ga. (Upar diye gae msgs mae bhi kuch farmaan moujood hain)

3. Yeh bhi har aik ka apna ihsaas ho ga.

4. Rozae ke neeyat agar sirf zubaaan sy karne zaroori nhe…
Dil mae bhi agar yeh irada kar liya jae keh aaj ka roza Allah ke raza aur khushi liye rakhaa hy aur us ky sharait ky mutabiq din guzara jae tau bhi roza ho jata hy.
aur agar koi zubaan sy yeh ilfaaz ada kar ky neeyat karna chahae keh Khas Allah ke raza aur khushi ky liye roza rakhnae ja rhae hain tau bhi koi harj nhe.

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *