Step 2 – Arkan e Islam (Day 15)

Rozy k Aadaab

Ulma ny rozy k 6 aadaab biyan kiye hein.

1. *NIGAH KI HIFAZAT*
Piary Aaqa S.A.WW ny frmaya k,
“nigah iblees k teeron mein sy aik teer hy”
jo shakhs Allah k khouf sy is sy bach jaye Allah ousy aisa emaan ka noor atta krty hein k jis ki lazat dil mein mehsoos hoti hy…
bila wajah ghair mehramoo ko daikhna ya la’oo o la’ab ko ankhon sy daikhna na jaaiz hy. kam az kam rozy ki halat mein is baat ka dhiyan rahy k Allah ny jisy daikhny sy mana frmaya hy na daikhy.

2. *ZABAN KI HIFAZAT*
Jhoot, chughal khouri, gheebat, fahash goee, laraai jhagra sub is mein aaty hein. kisi k pas e pusht ous ki buraai biyan na krain.
Nabi Kareem S.A.WW sy kisi ny daryaft kiya k gheebt kiya hy?
Riwayat mein aata ht k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Gheebat zina sy barrh kr hy”
zina krny wala apny gunah par pashaimaan ho kr toba kr laita hy lakin gheebat krny wala gheebat ko gunah he nai samjhta is leay ousy toba ki toufeeq nai hoti.
Msg 2.

3. *KAAN KI HIFAZAT*
Har wo baat jis ka zaban sy kehna na jaaiz ous ka kano sy soun’na bhe na jaaiz hy.
Piary Aaqa S.A.WW k irshad k mutabiq gheebat soun’ny or krny wala dono barabar k shareek hein.
isi tarah lughv baton ko soun’na bhe gunah mein aata hy.

4. *BAAQI AZA E BADAN KI HIFAZAT*
Hathon sy hm gunnah maslan chori na krain, kisi be gunnah par zulm na krain, paoun sy chal kr gunah ki taraf na jaein, haram maal sy iftaar na krain.

5. *PAIT KO ZIADA NA BHARAIN*
Na tou sehri k waqt pait ko itna bharain k susti ghalib aa jaye or na iftari k waqt.
Nabi Kareem S.A.WW ka irshad hy k Allah ko kisi bartan ka bharna is qadr na pasand nai jis qadar pait ko bharna na pasand hy.
aik riwayat mein hy k aadmi k leay chand luqmy he kafi hein jin sy kamar seedhi rahy. Agar koe shakhs khany par tull jaye tou is sy ziada nai k aik tehaai pait khany k leay rakhy, aik tehaai paani k leay or aik tehaai khali k hwa saans k zariye aasanibsy aati jati rahy. Rozy ka maqsad shehwaton ko torna hy or yeh tabhe toutain gi jab kuch waqt bhouk ki halat mein guzry ga.
Msg 3

6. *QABOLIYAT E ROZA
Roza rakhny k baad is baat sy bhe dart rehna chahiye k na maloom yeh roza baar gah e Ilaahi mein qabool bhe hy k nai. Rozy daar ko khaaif rehna chahiye or dua krty rehna chahiye k Allah rozy ko qbool frma lain… kion har ibadat ki qabooliyat mehz OS ki mehrbani sy ho sakti hy warna hamari ibadatein aisi hein k hum ny kabhe haq ada nai kiya.
Abu Huraira r.a sy riwayat hy k Aap S.A.WW ny frmaya k,
“Bohat sy roza dar aisy hein k oun ko oun k rozy k badly mein siwaye bhouka rehny kbkuch hasil na ho ga or bohat sy raaton ko khary hony waly aisy hein k oun ko jaagny ki mushaqat k kuch hasil na ho ga”



 

EXERCISE QUESTIONS

MCQ’s /5

1. Ulma ny rozae ky _____ adaab beyan kiye hain.
a) 6
b) 9
c) 12

2. Har woh baat jis ka zubaan sy kehna na jaiz hy us ka _____ bhi na jaiz hy.
a) Kanon sy sunana
b) Amal mae laana
c) Likhna

3. Nabi Kareem S.A.WW ka irshad hy keh Allah ko kisi bartan ka bharna itna na pasand nhe jis qadar _____ ko bharna napasand hy.
a) Plate
b) Paet
c) Glass

4. Pyaraay Aaqa S.A.WW ny kitna paet khali rakhnae ka hukam diya?
a) Do tahai
b) Teen tahai
c) Aik tahai

5. Rozae ka maqsad shehwaton ko _____ hy.
a) Torna
b) Jorna
c) Wazeyah karna

Fill in the blanks  /5

1. Nigaaah Iblees ky _____ mae sy hy.
2. Bila wajah _____ ko daikhna ya la’oo o la’ab ko ankhon sy daikhna na jaiz hy.
3. Pyaraay Aaqa S.A.WW ny farmaya keh gheebat _____ sy barh kr hy.
4. Pyaraay Aaqa S.A.WW ky irshad ky mutabiq gheebat _____ aur karnae wala donon barabar ky shareek hain.
5. Shehwataein tab he tootaein ge jab kuch waqt _____ raha jae ga.

True/False /5

1. Rozae ke halat mae nigah ke hifazat karna zaroori nhe.
2. Lughv baaton ko sunana gunah hy.
3. Sehri aur iftaar paet bhar kar karna chahiye.
4. Pyaraay Aaqa S.A.WW ky irshad ky muttabiq bohat sy rozae daar aisae hain jinhaein bhooka rehnae ky siwa kuch hasil na ho ga.
5. Rozae dar ko khoof mae rehna chahiye aur dua kartae rehna chahiye keh Allah rozae ko qabool farma lae.

Short Answer Questions /15

1. Rozae ky 6 adaab beyan karaein.

2. Zubaan ke hifazat mae kin kin cheezon sy parhaeiz zaroori hy?

3. Ziada khanae ky havalae sy Pyaraay Aaqa S.A.WW ka irshad beyaan karaein.

4. Baqi aza e badan ke hifazat mae kya kya shamil hy? Wazeyah karaein.

5. Aaj ke maloomat ky barae mae kis kis ko aur kis point par targheeb de ?


 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (a)
2. (a)
3. (b)
4. (c)
5. (a)

Fill in the Blanks

1. Teeron
2. Na mehram
3. Zanaa
4. Sunanae Wala
5. Bhookha

True/False

1. ✖
2. ✖
3. ✖
4. ✔
5. ✔

Short Answer Questions

1. Rozae ky yeh adaab hain:
?Nigaah ke Hifazat
?Zubaan ke Hifazat
?Kaan ke Hifazat
?Baqi Aza e Badan ke Hifazat
?Paet ko ziada na bharna
?Qabooliyat ke dua kartae rehna

2. Jhoot, Gheebat, Chugal Khori, fahash goe aur larae jhagra.

3. Yeh har aik ka apna ho ga (Upar diye gae msgs mae bhi kuch irshaad e Nabi S.A.WW moujood hain)

4. Baqi aza e badan ke hifazat mae yeh shamil hy:
Hathon sy hum gunah maslan chore na karaein
Kisi begunah par zulm na karaein
Paoun sy chal kar gunah ke taraf na jaein
Haraam maal sy iftaar na karaein

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *