Day 19

?Day 19

?ALLAH k faislo par shikwa karna?

ALLAH❤ ka ehsas hamare dil mein jaagazeen ho tou hamain yaqeen hota hay hamara ALLAH❤ ham se 70 maa’on se ziada piar karta hay. Isliye wo jo faisla hamare liye karay ussi mein behtari hoti hay.
Magar jab yaqeen na ho tou ham har mamlay mein hamare liye saadar kiye gye US kay faislay mein naqa’is zaroor nikaltay hain… khaas tour par tab jab wo hamari marzi k mutabik na ho…….

Agar Duniya k mamlaat ki hee misaal lain to na he ham aur na hee koi aur ye pasand karta hay k uskay kisi mamlay ya faislay mein khwa’makhwa koi nazar koi dakhal andaazi karay

Msg 2
Msg 2

Lekin duniya se hatt kar agar ALLAH❤ kay faislay ki baat karain to wahan ham kisi shakhs ki mout par bhi aitaraz karnay se nai baaz aatay……
Agar koi jawani mein jahan e faani se kooch kar jaye tou youn batain kartay hain k be’waqt duniya se chala gya…… ye uski marnay ki umar to na thi….
Aur shikway gillay karnay se bhi baaz nai aatay k uskay bajaye falan borha betha hay uski jaan kyu na chali jaye.

Msg 3
Msg 3

You’n jese ALLAH❤ me darust faisla na farmaya, balkay US se (Naa’oz Billah) ghalti hogyi….. ya Usay aisa nai karna chahiye tha, ye US ne ghalat kar diya……
Aur US sab gillay shikway mein ham ALLAH❤ k faislay ko radd bhi kartay hain… Aur usay darust bhi tasleem nai kartay…..
Jabkay agar dekha jaye to har faisla hee behtareen hota hay….
Ham kia janain k us jawan ki mout mein kia hikmat hogi……
Hamain kia patta k kisi ka jawani mein marna bhala hay burhapay mein…..

Msg 4
Msg 4….
Ham be’khabar aur jahil honay k bawajood gand marnay se nai chooktay aur apna faisla jabaja sunatay rehtay hain….
Kay agar aisa honay k bajaye wesa hojata jis trah ham soch rehe thay ya keh rehe hain to ziada acha hota….
Is tarah ki kisi bhi baat ko karnay se pehle ghour kijiye k kia ham ALLAH❤ se ziada apna bhallaa jaan ya chah saktay hain,,, harr giz nai…..
WO hamara sabse barra khair khwah hai,, bus hamara yehi yaqeen ho….
Aur aisi baat khud bhi na karain aur doosro ko bhi kartay dekhain tou ya tou unhain samjhayin ,, aur agar wo na sunain tou unkay liye hidayat ki dua karain takay wo bhi ehsas e aashnayi paa kar aisi bato’n se guraiz karain….

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)
?Day 19?

?Today’s Task✏

? Aaj apni routine k mamlaat mein ye chek karna hay k..?

▶ kab ap ne kisi baat ya mamlaay ko dil se Allah kaa hukam tasleem naa krtay huayyy..
Dil mein yaaa ..
Zabaan se kisi bhi andaaz mein us k shikwaay ka izhaar kia…

?For example :
?? ye kyun ho gaya…
?? ye aisay to nai hona chaiye tha…
?? ya kya musibat aa gai hay..
Etc…

? Aisay shikway krnay k baad kya, ehsas huaaa?
Agar huaa to apna amal ya soch kesay tabdeel krny ki koshish ki? ☺

Ehsaas atta hon ☺♥


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *