Day 18

? DAY 18 ?

? Ibadat ki asal rooh ?

ALLAH Apni sifaat kay zariye hi Apnay bunday per haqeeqat kay parday ayaan krta hai. Magar hum ALLAH sy rabta aur dil ka taaluq istawaar nai krtay. Issi liye ALLAH kay ehsas bhi dil mein nai utartay. Hum ALLAH ki sifaat ko pakar kr hr lamha dil ka rabta bananay ki koshish krain to ALLAH kay ehsas sy be behra na rhain. Sitam zareefi ye hai kay hum ALLAH kay liye ibadat krnay pr to zorr detay hain magar inhi ibadaat mein ALLAH kay ehsas sy aari ho kay ALLAH kay samnay kharay ho jatay hain.

⚡Msg 2…
⚡Msg 2…
Hum arab jaahilon ki tarha ho gaye hain. Wo bhi jo kuch krtay thay wo kehtay kay humaray baap dada aisa hi krtay thay isliye hum bhi ye kaam kr rhay hain. Hum bhi aaj kal aisy namaz, roza kay maamool ko apna letay hain. Hajj krtay hain. Jummah parhtay hain kyun kay hum baron ko aisa hi krtay dekhtay hain lakin hum iss ibadat ki asal rooh sy be behra hotay hain. Humaray andar iss ibadat kay ehsas bhi mojood nai hotay kay hum kis kay loye ye ibadat kr rhay hain. Ye ibadat kia ehmiyat rkhti hai ya iski fazeelat kia hai iska humain qatayi andaza nai hota.

⚡Msg 3…
⚡Msg 3..
Namaz hum bachpan sy bachon ko sikhatay hain. Lakin hum nay kbhi bachon kay andar iski asal rooh ko utarnay ki koshish nai ki. Zahiri adaab to phir bhi kahin hum nay dekhay ya parhay hon to hum unse waqfiyat hasil kr letay hain aur un per kuch amal bhi ho jata hai lakin namaz ya kisi bhi aur ibadat kay batini adaab bhi hotay hain jo uski asal rooh kay sath usko adaa krnay mein madadgaar saabit hotay hain. In baatini adaab ko na to hum behtreen torr per jannay ki koshish krtay hain aur na hi un per amal kr patay hain.

⚡Msg 4..
⚡Msg 4…

Maslan hum nahi jantay kay namaz kay doraan haath bandhtay huay natini kefiyat kia ho…? Sajday mein jaa kay dil ko ALLAH ❤kay samnay kese jhukana chahiye kay batini tor per sajda ALLAH ❤ kay samnay adaa ho jaye. Hum mashq kay torr perr namaz adaa krtay hain aur iski asal rooh ghyb hoti hai. Aur kyun kay hum mein khud ye ehsas bedaar nahi huay hotay. Isliye hum in ehsasat ko agay bhi apnay bachon mein muntaqil nai kr patay. Namaz ho ya Quran e Pak ki tilawat ? hum iskay hawalay sy bachon ko tarbiyat dene mein khayal bhi nai rkhtay kay ehsas to hr tarha ki ibadat ki buniyaad hai.

⚡Msg 5…
⚡Msg 5…

Agar ehsas hi mojood na ho ga to ibadat bemaghz ho gi. Hum zada tawajo is khushi ko mananay pr detay hain kay bachon nay namaz shuru krdi. Quran e Pak ? mukamal krliya. Ab is per shko mithayi baant kr khushi ka izhaar to kr liya jata hai magar kia kbhi bachay ko bitha kr bhi poochtay ya batatay hain kay is mein ibadat mein falaan dil ki halat aur ALLAH ❤ kay sath dil ka rabta kese banana hai ya ye kay aisa kro gay to yun ibadat ka lutf dobalaa hoga. Hum shyd aisa nahi kr patay. Humain khud wo ehsas dil mein utray nahi hotay to bhala hum apnay bachon ko kese wo ehsas de sktay hain.
شاہ جی❤

?حق بات
(محمدی حسینی سلسلہ)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
?Day 18?

?Today’s Task✏

? Allah ki ashnai aur pyaar jab dil mein utarta hay to humaari ibaadat mein bhi uska rang nazar aata hay☺?
Phir humari koi bhi ibadat, namaz tilawat kch bhii ehsas se khaali nahin hoti hay…

? Ap bhi aaj apnay dil mein Allah k pyaaar ko mehsoos krtay huay namaz adda karen..

??Aur share karen k :
☄ Kis naye ehsaas k saath aaj namaz addaa kii?

☄ Namaz k baad dil k badaltay ehsaas share karen..
Ehsaas Atta hon ☺♥


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *