Day 17

?Day 17

?Logo’n par yaqeen ALLAH par yaqeen se ziada hona?

?Almiya ye hay kay hamara logo’n par yaqeen ALLAH❤ par yaqeen se kaheen ziada hota hay.

?ALLAH❤k sath apne mamlaat mein ziada mayus hotay hain . Jabkay logo’n k sath mamlaat mein mayusi ka tanasab kam hota hay.

?logo’n k hawalay se agar dekhain tou aisa hota hay kay hamain agar kisi k sath koi kaam parray tou yaqeen hota hay kay
Hamare behtareen dost us waqt aik phone call ya paigham par madad ko aayin gay…. aur agar wo madad na kar sakain to ham khud ko taaweelain paish karty hain
Kay bilaa uzarr usne madad se inkar nai kiya hoga

Msg 2
Msg 2…

?ye taaweelain de kar ham khud ko aur doosro ko bhi apne khair khwah par yaqeen de rehe hotay hain… magar sadaa afsoos….?
K ALLAH❤ k sath hamara aisa yaqeen nai hai…..

?US k saamnay madad mangnay k liye paish honay se pehle he ham mayus bethay hotay hain … k patta nai kuch hoga ya nai….

?yaani kuch bhi paish aanay se pehle he ham ALLAH❤ se mayus hotay hain kyu k kuch ho janay k baad to ham bilkul down hojatay hain,,, girr jatay hain…

?Logo’n k sath mamlaat mein ham pehle se mayus nai hotay hain ,,, balkay unkay paas janay par wo mayus kar dain to bhi tawajeehat k zariye khud ko tassali de kar un par yaqeen ko tootnay nai detay…

Msg 3
Msg 3
?for example,,,

Bachay ko jis wakt chutti hoti hay aur wo school se ghar wapis jaa raha hota hay…. to usko ye fikar nai hoti k maa ne waapsi par khana tyaar kiya hoga ya nai…..
usko yaqeen hota hay k school se ghar wapsi par kuch na kuch khanay ko tyaar milay ga….
……
Aur doosri soorat mein bhi maa par yaqeen hota hay ,, k agar roti ya khana na bhi banna hua… tou ussi waqt roti ya anda ya phall ya kuch bhi pait bharnay ko dedaingi….

issi trah se eid ka moqa ho tou ham yaqeen rakhtay hain k maa hamare pehn’nay k liye nayya jorra banwa degi….
Aur ham uss baray mein fikar nai kartay….mayus nai hotay……
Msg 4….

Lekin jese yaqeen aik bachay kay apni maa par hotay hain hamain ALLAH❤ par wesa yaqeen nai hota….
Isliye ham mayus hojatay hain…. k patta nai hoga ya nai hoga….. aur ye hee eman ki kamzoori hai….?

Ye mayusi hay… aur is halat mein hamain apne ALLAH❤ k sath yaqeen ko janchna chahiye…
Hamain hamare mamlaat ya kisi bhi hawalay se jo mayusi hoti hay ,,, wo is waja se hoti hay k hamara ALLAH❤ par yaqeen nahi hota isliye ham mayus hojatay hain….

شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)
? Day 17 ?

?Today’s Task ✏

⭐ Humein Allah per yaqeen se zyaada insanon per yaqeen hota hay .. Jis wajah se hum aksar mayusi kaa shikaar ho jaatay hain .. ?

?Ap bhi aaj apnay maamlaat mein chek karen k kyaa humaray dil ka yaqeen Allah ki nisbat insaanon per zyadaa to nahiin…

?Aaj koi ek aisa point share karna hay k :
?? jahaan ap ka yaqeen ya kisi bhi taraah ki tawaquaat kisi insaan se wabasta theen…
?? aur phir dil ko ehsas honay k baad apna yaqeen Allah se kesay aur kis ehsas se jorr paaye… ?

Ehsas Atta hon ☺♥


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *