Day 16

?Day 16

?ALLAH ka ehsas e aashnayi?

?ALLAH❤ kay saath qurbat ka barhna US ki ma’arfat k hijaab uthata chala jata hay. ALLAH❤ ki ma’arfat k jo hijab hain wo dar’asal US ki sifaat hain.

?WO apni ma’arfat kisi par zahir karta hay tou samjhain kay hijabat uthnay laggay hain.

?ALLAH❤ ki tamam sifaat ki jalwah garri har lamha horahi hoti hay. Maslan madad karnay ki sift ko lain to aise nai keh skty k WO madad talb karnay par kisi mamlay mein madad nai karta…..

Albata aisa ho sakta hay k WO us mamlay mein wese madad na kar raha ho jese ham chah rehe hain.

Msg 2
Msg 2

?Ye nai ho sakta k US ki madaf karnay ki sift jalwah garr na horahi ho. WO madad kisi aisi soorat mein kar raha hoga jo hamain samjh na aarahi ho.

?Hamari samjh kyu kay kamm hoti hay isliye ALLAH❤ ki madad ka andaaz ya tareeqa hamari samjh se bala’tar hoga.

?Jese k aik bacha jis kay liye uski maa ka piar…. usko subah subah uthanay,, tution k liye bhejne,, school k liye bhejne , ya aag k qareeb na janay mein chuppa hota hay.
Bacha us waqt maa kay piar kay andaz ko samjh nai sakta.
Bacha kam aqal hota hay wo is saray mamlay ko apne liye museebat tassawur karta hay aur apne oopar zulm smjhta hay ,, k meri maa mjhe khailnay nai deti ,, aaraam nai karnay deti …

?bacha kyu k na samjh hota hay isliye wo samjh nai paa raha hota kay usmein maa ma kitna piaar chuppa hua hay aur maa dar’asal uskay aanay walay waqt k liye madadgaar hoti hay.

Msg 3
Msg 3

? isi trah hamare mamlaat mein ALLAH❤ madad kar raha hota hay,, magar hamara aqal o shaoor itnaa waseeh nai ho sakta kay samjh sakain k WO kis trah madad kar raha hay.

?Dar’asal ALLAH❤ ki sifaat to hemesha se mojood hain,, magar hamain unki aashnayi nai hoti.
Ye aashnayi he hamare liye asaani ka baes hay. Aur jisko aashnayi nai hoti…wo pereshan hota hay.

?baaz oqat hamain ye lagta hay k ham mamlat mein madad maang rehe hain ,, magar us waqt ALLAH❤ne hamari madad nai ke. Ham tab yaqeen rakhtay hain k ussi mein hamari behtari hay.

Msg 4
Msg 4…..

?ye bhi yaqeen ka behtar level hay kay ham apne andar khud ko yaqeen karwa rehe hoty hain k ALLAH❤ ne foran madad nai kee to issi mein behtari hay.

?lekin yaqeen ka behtareen level ye hay k andar ye ehsas ho kay US ne madad ke hay jo hamari samjh mein nai aayi.

?yaani ma’arfat kay aik level par ye yaqeen rakhna theek hay k US ne ustrah madad nai ke jese maine chaha , magar US ne zaroor behtari kee hogi.

?lekin dar’asal ham ye keh nai saktay k US ne madad na kee.
Isliye behtareen yaqeen ye hay k ALLAH❤ ne madad kee jo hamari samjh mein nai aayi.
Yehi baat hamain itminan deti hay…

Jiski jitni aashnayi hoti hay, wo utna he mut’main rehe ga…
Aise he apne yaqeen ko apne mamlat k zariye khud jaancha jaa sakta hay.

. شاه جی❤

? حق بات
(محمدی حسینی سلسه)
?Day 16?

? Today’s Task ✏

?Ham Allah k madadgaar hony ki siffat ka izhaar apnii guftagoo main tu krty hain

Pur kiya jesy hum apni marzi say Allah ki madad chah rahy hoty uss say hat k kbhi Allah ki madad ko mehsoos kiya??

??aaj

?ap koshish krain k choty say choty muamlay main Allah ki madad ko mehsoos krain Dil say iss ihsaas saath k “ALLAH KI MADAD hmari soch r marzi say bharh k r behtareen hoti”

?Dil say sachaii saay ihsaas rakhny k baad apny ihsaaasat share krain k….

kahaan kahaan Ussk madadgaar hony ki siffat jalwagar huii yaa Hikmat talash ki ??

Ehsaas atta hon ☺♥


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *