Step 4 – Moamlaat (Day 42)

TAWAKAL

Twakal ka mafhoom yeh hy k kisi maqsad k hasool k leay nahayat ijz o inkisaari sy tamam mumkina asbab ko broor e kaar laaty hoay sirf Allah par bharosa keya jaye.
Twakal k maani yeh nai hein k Allah k paida keay hoay asbab o halaat ko chor dy balky murad yeh hy k asbab e ikhtiyaria ko zaroor ikhtiyar kry magar bharosa asbab par karny ke bjaye sirf Allah par kry k jab tak Oss ke mashiyat o irada na ho jaye koe kaam nai ho sakta.
Twakal aisa shajar e be’khizan hy jis ko zuhad ka paani daina parta hy kion k zuhad twakal ke shart hy ous k bghair twakal nai ho sakta or zuhad emaan ke jaan or momin ke shaan hy.
Allah ny twakal ko emaan ke shart qarar deya hy.
Allah farmata hy,
Sorat Al-Imran aayat 122,
“Or emaan walon ko Allah ta’ala par he twakal krna chahiye”.
Sorat Infaal
Aayt 49
“Or jo koe Allah par twakal kry tou beshak Allah ta’ala ghalib hy bari hikmat wala hy”.
Twakal islam o emaan k buland amaal o ehwaal mein sy hy, jis shakhs ka twakal Allah k sath jis qadar ziada ho ga wo ousi qadar qurbat k maqam par faaiz ho ga.
Msg 2 

Imam Ghazali r.a ny farmaya k
“Twakal muqarbeein e baar gaah e elahi mein sy aik azeem ul shan maqam hy”
Hazrat Ibn e Abbas r.a sy marvi hy k Aap S.A.WW ny farmaya,
“Meri ummat k satar hazar log bila hisab jannat mein dakhil hon gy yeh wo hon gy jo taweez gandy or faal mein na parain gy or apny Rabb par bharosa krty hon gy”
Yani jo mehz Allah par bharosa krny waly hein tou wo kamaal yaqeen o eitmad k aisy martaby par pohanchy hoay hein k zahiri asbab sy bhe wo munqataa hein or ousi halat mein oun ko itminan o sakoon muyasar hy tou yeh log aisy aala martaby k hamil hon gy.
Msg 3

Allah pak par bharosy sy ghaibi madad or nusrat hasil hoti hy or dil mutma’in hota hy, mamooli or kamzor sabab sy bhe eham tareen maqasid poury ho jaty hein is k muqabil jo Allah par bharosa nai krta Allah ke nusrat sy mehroom rehta hy.
Hazra Anis r.a sy riwayat hy k Piary Aaqa S.A.WW ny twakal k leay yeh dua maangny ke naseehat farmaai,
Tarjuma:-
“Aey Allah…!!!
Hamein oun logon mein shamil farma jo Aap par bharosa krty hein or Aap oun k leay kafi ho jaty hein, Aap sy hidayat k talib hoty hein Aap hidayat daity hein, Aap sy maghfirat k talib hoty hein Aap oun ko moaf kr daity hein”
Msg 4

Twakal baar gaah e elahi k maqamaat mein sy aik azeem ul shan maqaam hy jis ka darja bohat aala, bazurg or buland hy.
Hazrat Abdullah Bin Sehal r.a farmaty hein k,
“Banda Allah k saamny is tarah ho k jaisy ghussaal k samny murda, k jis tarah chahta hy palat’ta hy or wo koe harkat o tadbeer nai krta”
Hazrat Hamdoon r.a farmaty hein k,
“Matwakal ka haal yeh hy k ousy sirf Allah ke taraf he raah milti hy or ous ke haalat ous bachy ke si hoti hy jisy apni maan k pistano k siwa kisi or jaye panah ka nai pata hota”
Aik shakhs sy logon ny poucha,
“Tum jo hamesha ibadat mein lagy rehty ho tou aakhir roti kahan sy aati hy”
Ous ny daanton ke taraf ishara krty hoay kaha,
“Jis ny yeh chaki lagai hy wo is mein peesny k leay anaaj bhe bhaijta hy, yani chaki ke fikar chaki waly ko hoti hy”
Tareekh e islam k awraaq mutwakileen k rooh parwar waqiyaat sy bhary pary hein jo hamary dil mein Allah ta’ala par haqeeqi twakal k jazbay baidar krny mein madadgaar sabit ho sakty hein.
Msg 5

Makkah mukarma mein Hazrat Ibrahim Bin Adham r.a or Hazrat Shafeeq Balkhi r.a ke mulaqaat hoe.
Hazrat Ibrahim Bin Adham r.a ny poucha,
Aap ke is halat ka aaghaaz kaisy hoa jahan aap aaj pohanch chuky hein.
Aap ny kaha,
Main aik veerany sy guzar raha tha k wahan par aik prindy ko daikha jis k dono par touty hoay thy, main ny socha k daikhon isy rozi kahan sy milti hy main ous sy kuch faslay par baith geya achanak aik prinda aaya ous ke chounch mein aik makri thee ous ny wo touty hoay paron waly prindy ke chounch mein rakh di,
main ny kaha,
Wo zaat jo is prindy ko ous prindy k zariye rozi pohancha sakti hy wo mujhy bhe rozi dy gi jahan bhe main jaoun.
Lehaza main ny karobaar chor deya or ibadat mein masroof ho geya.
Yeh soun kar Hazrat Ibrahim Bin Adham r.a ny farmaya,
Aap is sy behtar hoty, kia aap ny piary Aaqa S.A.WW ka farman nai souna k
“ouper wala hath neechy waly hath sy behtar hy”
Hazrat Shafiq Balkhi r.a ny Hazrat Ibrahim bin adham r.a ka hath pakra ousy bosa deya or kaha
“Aey ustaad…
Aey Abu Al-haq jab insan asbaab ikhtiyar kry tou ousy chahiye k asbab par nazar na rakhy or na he oun par mutma’in ho balky ous ka matloob e nazar or maqaood e asal Allah ho jaisa k aik gadagar hath mein kashkool leay logon k pass jata hy magar kashkool par nazar nai krta balky ata krny waly par nazar rakhta hy”
Msg 6

Aisy he Allah par twakal ke aik behtreen misal Hazrat Ibraheem a.a ny qaaim ke.
Hazrat Ibraheem a.a ko jab manjaneeq mein bitha kar namrod k hukm sy aag mein phainka janay laga tou Hazrat Jibreel a.s aaye or kaha,
koe zaroorat ho tou btaein,
Aap ny farmaya,
“Tumhary pass meri koe zaroorat nai or kaha Allah ta’ala he mujhy kafi hy or wo behtreen kaar saaz hy”
Phir paani k frishty ny Allah ta’ala ke ijazat sy hazir ho kar madad karna chahi tou Hazrat Ibrahim a.a ny farmaya,
Kia Allah ny bheija hy?
Arz ke
“Nai” balky main khud ijazat lay kar hazir hoa hon.
Aap a.a ny irshad farmaya,
“Mery Rab e Kareem ko mera haal maloom hy agar ous ny tumy khud nai bheija tou mujhy teri madad ke zaroorat nai hy” Hazrat Ibrahim a.s ny Allah par mukamal twakal o eitmaad keya tou Allah ny aag ko hukm deya,
Tarjuma:-
“Aey aag thandi ho jaa… salamti wali”
yeh hy twakal ill’Allah ke zinda jeeti jaagti misaal jin k bary mein
Quran Majeed mein sorat Al-Imran aayt 159 mein farmata hy,
“Beshak Allah twakal krny walon sy mohabat krta hy”
Msg 7

Jis sy Allah khud mohabat kry tou wo duniya mein chalta phirta janati hy aisa mutwakal na sirf duniya balky aakhirat mein bhe nwaza jata hy k ousy hissab kitaab ka khouf nai rehta.
sochiye…!!!
kia hum ny bhe kabhe kisi aazmaish ya mushkil waqt mein apny asbab ya apny mojoud sy ziada…
Allah k khazano par yaqeen rakhty hein Oss k kaarsaaz hony ka ehsas hamary dilon mein mojoud hy??
Twakal ke khushboo sy tan mun ko mushkbaar rakhny k leay baqoul Hazrat Abu Turaab Nakhshi r.a k,
Badan ko Allah ke bandgi mein mashgoul rakhna, dil ka Rab e Kareem k sath ta’aluq rakhna or Allah ke taraf sy hifazat par mutma’in rehna zaroori hy.
Is leay lazim hy k agar koe cheeze mil jaye tou ous par dil sy Allah ka shukr ada keya jaye or agar kuch muyasir na ho tou sabar keya jaye, zindagi ko ous saanchy mein dhalny ka ajar yeh milta hy k dil ko sakoon mil jata hy or mushkilaat or museebton par bhe insan bekal o beqarar nai rehta ousy har bhalaai ke raah mil jati hy, logon sy beniyaaz ho jata hy or Allah k pass jo hy ousi par yaqeen rakhta hy.
Allah hamein har aazmaish mein apny behtreen yaqeen ka ehsas ata farmaye ta’ k behtreen twakal qaaim ho.
Aameen.
End



 

 

EXERCISE QUESTIONS

 MCQ’s  /5

1. Twakal k leay zaroori hy k Allah sy rakha jaye
a. mohabat
b. dil ka ta’aluq
c. uns

2. Tawakul krna Piary Aaqa S.A.WW ke,
a. sunnat hy
b. Paryshani hy
c. Dard hy

3. Kis Nabi k leay Allah ny farmaya. Aey aag thandi ho ja salmti wali.
a. Hazrat Ismaeel a.s
b. Hazrat Ibrahim a.s
c. Hazrat Aadam a.s

4. Twakal ka matlab hy tamam asbab ko broo e kaar laaye or bharosa rakhy,
a. Allah par
b. logon par
c. taqat par

5. Twakal shart hy,
a. Nikaah ke
b. Dunia dari ke
c. Emaan ke

 Fill in the Blanks  /5

1. Tawakal baargah e Elahi k maqamaat mein aik ____ maqam hy.
2. ____ ko Allah par twakal karna chahiye.
3. Allah par bharosy sy ____ or ____ hasil hoti hy.
4. Jis ka jitna twakal Allah par ziada ho ga ousi qadar ____ k maqam par faaiz ho ga.
5. ____ tawakal ke shart hy.

True / False /5

1. Ouper wala hath neechy waly hath sy behtr hy.
2. Ummat e Muhamadi k 50 hazar log bila hissab jannat mein dakhil hon gy.
3. Asbab ikhtiyar karty hoay nazar musabibul asbab par rakhni chahiye.
4. Mutwakal duniya ke bjaye aakhirat mein nwaza jata hy.
5. Mutwakal logon sy mustaghna rehty hoay Allah par yaqeen rakhta hy.

Short Answer Questions /15

1. Tawakal ka mafhoom keya hy?

2. Yeh kis ka farman hy k “tumhary pass meri koe zaroorat nai mery leay mera Allah kafi or kaarsaaz hy”?

3. Piary Aaqa S.A.WW ny twakal k leay kia dua mangny ke naseehat farmaei?

4. Allah ny matwakal k bary mein quran e pak mein kia farmaya? (koe aik aayt)

5. Tawakul k baray mein itna jaannay k baad apna jaiza lejiye k aap ke zindagi mein kis had tak tawakul maiujd tha…??


 

 

ANSWER SHEET

MCQ’s

1. (b)
2. (a)
3. (b)
4. (a)
5. (c)

Fill in the Blanks

1. Azeem ul shan
2. Emaan walon ko
3. Ghaibi madad / nusrat
4. Taqarab ya qurbat
5. Zuhad

True/False

1. ✔
2. ✖
3. ✔
4. ✖
5. ✔

Short Answer Questions

1. Tawakal ka mafhoom yeh hy k tamam mumkina asabab ko ikhtiyar tou krain lakin baroosa Allah par ho k jab Allah ke marzi ho gi kaam ho ga.

2. Kahleel Allah Hazrat Ibrahim a.s ka

3. Is ka jawab upar diye gae msgs mein hy.

4. Koe aik aayt e mubarika

5. Yeh har aik ka apna jawab ho ga.


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *