Dua Improvement Session – Keys INDEX

Dua Improvement Session ;
KEYS

INDEX :
…………………………………………………..

Dua mein Dil ka Taanka…..

1. Dua k liye dil ki halat ka behtar hona.

2. Dua mein taanka laganay k liye dil ki call ka connect hona.

3. Dua mein duniaawi sochon sy nikal ker dil sy taanka lagana.

4. Dua mein dil k ehsasat badlnay sy Maalik ki Mojodgi ka ehsas hona.
……….

Toba ki Dua …

5. Toba ki dua mein dil ki khas halat k liye jhukao/nadamat ka hona eham hai.

6. Toba k liye sab sy pehlay apni ghalti ka aitraaf kerna eham hai.

7. Toba ki dua k liye nadamat ka ehsas laazim hai.

8. Toba ki dua mein Allah ki Sifaat, Rehmat aur Qudrat pe yakeen mazboot rekhna zaruri hai.
……….

Shukar ki Dua …

9. Shukar ki halat aur ehsaas ki ehmiyat.

10. ‘Sabab’ aur ‘Musabab ul Asbab’ k shukar ka ehsas.

11. Shukar ki dua mein ajzi o jhukao ka ehsas nishandahi kerta hai k andar dil sy shukar aya hai.

12. Sirf ‘recently’ mili atta pe shukar ki bajaye her lamha shukar k points talash kerna.

13. Atta ki gyi naimat ka haq andaaz sy istamal hi shukar k izhaar ka behtareen andaz hai.

14. Test ya azmaish mein bhi shukar ka ehsas pick kerna eham hai.

15. Shukar ka ehsas mehnat aur koshish sy her tarha k moamlay mein dhunda jaa skta hai.
……….

Hajat ki Dua …

16. Hajat ki dua k liye Allah ki Qudrat aur Taqat pe yakeen ka ehsaas zaruri hai.

17. Hajit paish kernay k liye andar bebassi ka ehsas laazim hai.

18. Hajit ki dua k doraan Allah pe yakeen bananay ki behtareen koshish zaruri hai.

19. Sochay huay makhsus waqt tak hajit poori na honay per ehsasat ko sahi direction dena zaruri hai.
……….

Dua mein Rukawat ki wajuhat …

20. Dil mein madad mangnay k ehsas ki kammi hona.

21. Andar chir ya ghusa honay par dua tak dil ka na pohnch pana.

22. Kisi negativity ka shikar honay per dil ka halat e dua ikhtiyar na ker pana.

23. Yakeen ki kammi ki waja sy dua ki atta sy faida na utha pana.

24. Anaa, akarr ya sakhti ki waja sy dua mein jhukna mushkil ho jata hai.

25. Dil ka dunia mein kho ker haqeqat/haqeqi maqsad sy ghafil ho jana.

26. Dil mein shikwa, na-shukri ya mayoosi ka aana dua mein rukawat ka baais.

27. Dua mein kisi hawalay sy dil ki talab/tarrap ki kami ki waja sy dil ka halat e dua ikhtiyar na ker pana.

28. Dil mein tangi honay ki waja sy dua mein rukawat mehsoos hona.

29. Dua ki ehmiyat ka ehsaas na honay per dil ka ba zariya Dua Apnay Malik sy Mulaqat ka faida na utha pana.
……….


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *