Dua mein rukawat ki Wajuhaat – Sawal 1

Sawal 1 …

Dua mein rukawat ki wajuhaat kiaa ho skti hain ?
points mein share krein…


Key 20 :

Dil mein Madad Mangnay Kay Ehsas ki kamii honaa
……….

Aksarr humein Dua mein paish honay Mein is rukawat kaa samna hota hai kay humaray ander iss ehsas ki kamii hui hoti hai kay humien bhi madad ki zarorat hai Apnay Zor baazu per to kuch mumkin nahin… Jb tk kay Apnay Maalik kaa saharaa naa talab krein.

Ye Rukawat aisi hoti hai kay humein Allah syy madad kay liyee Duaa tkk Anay Ki zaroorat bhi mehsoos nai honay deti. kyun kay Dua mein to apnaa Aap Pechay rakh kay Dunia kay tamam Wasail bhi pechay rakh kay bs Allah kaa saharaa chahnaa aur mangna hota hai naa, yehi madad Darkaar hoti hai perr Aksar iss Zaroorat sy ghafil huee hotay hain hum.
agar Ye ehsas ho jaye to Zaroor Dil duaa ki taraf taizi sy barhay gaa.


Key 21 :

Ander chir yaa ghussa honay per dua tak dil ka na pohanch pana 
……….

Humaray andrr jb bhi kisii kay liyee chir ki feelings hon ya ghussa ho Allah kay bandon kay liye yaa phir kisi moamlay mein Dil ko in nuqsandeh ehsasat sy bharr liaa ho, to bhi Dua Mein Allah kay sath tankaa bananay mein rukawat peda ho jati hai. kyun kay Ye eshsasat to Allah Paak tk pohancha to nai skty na, blkay Doorii ka bais hotai hain.
chirr syy Hum achay ehsasat ko mehsos nai kr patay aur ghussay sy andrr jaltaa jata hai ,
isliye dono sooraton mein Duaa mein paish nai ho ptaa Aur Mehroom reh jata hai iss mulaqaat sy.
Is liyee Humien Dil ko in nuqsandeh ehsasat sy fori paak, door krnay ki koshish krni hogi aur Dil Koo saaf krnaa hoga takah paish ho skain Dua mein..


Key 22 :

kisi negativity ka shikar honay par dil ka halat e Dua ikhteyar na ker pana
……….

Hum jab bhi kisi Negativity (baatil) kaa shikaar hue hon aur us sy nikal bhi naa Rahay hon yaa ustad/Hkr/worker sy nikalnay Ki tips liye Behtari ki koshish bhi naa ki ho ..
too wo negativity Dil o rooh mein Marz ki tarhan phelnay lagti hai aur Havi hoti jati hai hum per…
yee negativity jo koi activity, khayal, shoq ya amal ki sorat Humari zindagi aur lamhaat mein shamil hui hoti hai humein aisy Uljha deti hai kay Phir apna Dehan apna Dil Positivity aur positive ehsas aur dua mein Lejana mushkil Hota jata hai…
Aisy mein humein sb sy pehlay is negativity ko pehchan kr nikalnaa hoga kay kis tarah sy Ye Havi hoti gai aur Tips lety hue Ander kholna hai.. aisay mein phir Dil khultaa hua Dua Mein Power wasool kr skay ga aur nijaat bhi milay gi…


Key 23 :

Yakeen ki kami ki waja sy Duaa ki attaa sy Faidaa na utha paana
……….

Duaa Apnay Malik sy Dil ki guftago hoti hai, yee ek mulaqaat bhi hai, jhukna hai US Zaat e Paak kay agay kay Jo Khoob Qudrat rakhny wala hai aur Muradain bar lanay Wala hai … Aksar Hum Apni soch apni samjh Ko itna mehdood kr lety hain kay yee samjh bethty hain kay Ab to kuch mumkin nai , ab to meray halaat nai badal skty, ab koi rasta nai hai kay behtari ho jaye, jo honaa tha so to hogya…
yahan ” yakeen ” ki kamii Anderr ayi hoti hai kay Hum US ZAAT,Uski sifaat, Uski Taqaton per yakeen he nai rakh rahay hotay kay Wo Kisi bhi lamhay kuch bhi kr skta hai… bigrii bhi bnaa deta hai, nuqsan ko Ikk baarr bhi jhuknay aur madad talab krnay sy rok deta hai aur behtari ki janib morr deta hai.. Dilon ko pher deta hai…
Yee Yakeeen Agar Anderr banayen too beshakkk US darr ki janibb Zarooorr barhain gay kay jahan sy khaali nai lotaya jataa garr yakeeen syy ho jayen paish…


Key 24 :

Anaa, Akkarr ya Sakhtii ki waja sy duaa mein jhukna mushkil ho jaata hai
……….

Jb bhi hum kisi moamlay mein yaa kisii Kay Liyee bhi Dil mein Sakhtii Rakhy huee hotay hain yaa Anaa sirr uthaye hoti hai kisi Bhi andaz mein to bhi hum Jhuk nai patay apnay Allah kay samnay , kyun kay Jhuknay ka Ehsas Hr qisam ki barai, Zaati Siffaat, zaati marzion aur Manmaanion syy paak hota hai…
Duaa Mein Dil jhuktaa hai Ehsas sy bhraa hota hai ,bebasii kaa Ehsas hota hai…
jb kay sakhti aur Ana Kay ghalib hue, ye ehsasaat Ban nai patay, aur hum khud mein hee Barai, marzi aur Butt’ sa banaye hotay hain..
isliye Duaa Mein paish honay kay liye yahan Anaa ky butt’ ko torna Hotaa hai aur EK he Alaa o Alaaa kay agay jhukk kay Bigrii banani hoti hai Narmii Apnayee…


Key 25 :

Dil ka duniaa mein kho ker Haqeqat/ haqeqi maqsad sy ghafil ho jaana
……….

Hum duniaa mein rehtay Aksar Iss mein Basnay Lagg jatay hain, iss andaz mein kay Humein phir ird gird duniaa he dunia nazar anay Lag jati hai,
duniavi routine, duniavi asaaishain, duniaavi khuahishat aur unky hasool kay liye din kay Ziadaa sy ziada lamhaat guzarnaa…
Duniaa Beshak Ek aisa dhoka hai jo humein Allah sy door ek alag track per chalana chahti hai, yani hum iss kay peechay bhagty bhi rahain aur akhir ko hr sheh apni mayaad puri kr kay khatm ho jaye aur hum khaali haath reh jayen…
aur Duaa to Allah syy mangty Hamesha Jholiaan bharnay Wali he raah hai na jo Aglay jahan mein bhi bhra rakhay gi kay Apny RAB sy he Rajooh kiyee rahay hr hr Wajhay kay liye…
Issliyee Agar ye wajhay DUA tkk Dill ko lanay mein rukawat bnay…
too iss dhokay sy khud ko agaah krna haii kay Jo baqi hai USAY thaamna hai haqeqat Mein jeena hai jo sachi Kamiyaabi hai…


Key 26 :

Dil mein Shikwa, Na-shukri ya Mayoosi ka aana Dua mein rukawat ka baais
……….

Humara Dill Allah Kii yaad kay liye bana hai, Allah Ki muhabbat mein shukar mein dharaknay kay liye bna hai …
lekin jb hum Apnay kisi bhi mamlay mein Zahiri Nuqsan, Marzi kay puray na honay ya Kisi dua ya chahat kay us waqt tk hasil na honay per Mayoos ho jatay hain, Allah sy he naa umeedi kaa Izhar kr rahay hotay hai iss tarhann
too Phirr yee halat Dua mein paish honay mein rukawat bann kay khari hojati hai .. Yaani Allah ki Rehmat sy khud ko khud he door kiye hotay hain .. jhuk kay Apnay RAB ki razaa chahnay kaa ehsas Nai bnaa patay..
yahan Isi naa umeedi ko Naa shukri ko mayoosi ko Allah ki sifaat, USKI beshumar ab tk ki ataa ki gai naitamon kay shukar aur Yaken kay WO behtr sy behtareen krnay wala hai muje muhabbat krta hai Aur Atta Krnay wala hai… Is ehsas mein Badalna hai
Aur Dil sy jhuk janaa hai Kay WO raazii Ho…
to sb Hasil hai
Sakoon hai
khuashian hain tamam.


Key 27 :

Dua mein kisi hawale sy dil ki Talab/Tarrap ki kami ki waja sy Dil ka halat e dua Ikhteyar na ker paana
……….

Yee haq hai kay Allah atta krtaa hai aur khoob attaa krtaa hai lekin Allah ” Taalib ” ko ataa krtaa hai
Humaray Ander jitni talab ho gi tarrap hogi Kuch panay ki, utna hee Humarii Arzi aur Dil kay ehsas Sohnay Malik tk pohanchain gay aur Humein Ataa kay qareeb kr dein gay …
Lekin Agar Humaray Ander tallab hee kamm hogii tarrap hee kam hogii too ander syy uss shiddat sy pukaraa bhi nai jayee gaa, Duaa mein bhi rukawat mehsoos hogii aur Duaa bhi nai uthaay gii..
issliyee anderr ki talab koo barhanaaa hai aur tarrap syy duaaa mein paish honaa hai kayy Dill Ki arzii Raftaar syy Pohanchayy


Key 28 :

Dil mein Tangi honay ki waja sy Duaa mein rukawat mehsoos hona
……….

Allah ki zaat Waseeeh hai , dhairon sifaat wali, kainaat kay Raaz sy ashna, hr sheh mein samanay wali aur Beshak La mehdood bhi ..
Aisi Alaaa o Alaa zaat sy tankaa laganay kay liye humein bhi Dil ko wussat deni hoti hai …
Lekin jb Hum Kisi bhi moamlay mein mehdood kr lety hain soch, yaa samjh ko Apnay nazariye tk He kafi maan lety hain.. yaa phir kahin bhi kisi kay liyee Dil ko tangg kiye hotay hain, zaat kay khol mein Khud ko bhi band kiye Ehsasat ko bhi Daba dety hain
to Uss soorat mein bhi Duaa kay Liyee
US waseeh Malik kay sath tankaa nai ban pata .. Hum Uss khol sy bahir he nai aa paa rahay hotay aur Wahin soch samjh ya Tangi ka mamala Hr taraf nazar araha hota hai …
aisy mein Zaviaa e nazar ko waseeh krnaa zaroori hota hai, rehnumai sy Dil ko moamlaat mein wussat dilani hoti hai
takah Khull kayy behtarii Laayi ja skaay aur Laa Mehdood Malik ko Duaa kay zariye aurr syy Aur Dil mein basayaa jaa skay… beshak behtareen waseeh zavia tbhi banta hai aur tangi door krta hai
jb Dekhnay Walay Dil mein WO jalwa gar hota hai.


Key 29 :

Dua ki ehmiyaat ka ehsas na honay per Dil ka ba zariya Dua Apnay Malik sy Mulaqat ka Faida na utha pana
……….

Hum jahan Jiss ki ehmiyat jantay hain to usii shoq, shiddat sy usay apnanay ki koshish krty hai …
Aksar humaray Andr Dua ki ehmiyat, iski zarorat ka ehsas Aur Iski power kaa Ehsas hee naii utar raha hota. kay Wo Baa Asar Raah hai kay jo farsh sy Arsh ttk jaa milti hai…
aur Aisi Mulaqaat hai kay jiski gawahi khud rooh deti hai…
Dil kay badaltay ehsas aur Bigri kaa bannaa Mumkin banati hai Dua …
Humain Iski Taqat aur Dil syy Ki huii kay assar pr jitnaa yakeen hogaa, iss dil ki mulaqqatt ki zarorat Jitni mehsoos hogii …. jitnaa Humein Gunahon ki maafii, shukar kay lahmat, Raaziii krnay mananay ki talab hogii.. utnaa hee hum duaa ko apnayy din Apni raaton kaa Saathii bnaaa lein gayy….
Aisa Saaathi, aisaa zariyaa , aisaa Karam
jo hr haal hrr jagaa hrr Situation mein Binaa kisi Zahirii shart kay
humaray saath he hogaa…


 


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *