Khashou O Khazoo Paida Krny Ki Tadabeer…

*~Khashou O Khazoo Paida Krny Ki Tadabeer~*

yahan par kuch aisy tareeqy biyaan kiye gay hein jin pr koe sachy dil sy amal krna shru kr dy to isy namaz mein khashou or khazou wali naimat naseeb ho sakti hy…
1. Gunahon sy ijtanaab..
2. Haraam sy ijtanaab
3. Wazoo mein qalb ko hazir kr dy.
4. Azaan ke taraf dil mutawaja kry
5. Manay khashou mahol sy ijtanab
6. Intezar e salaat
7. Ghair Allah sy be altafee
8. Namaz k alfaaz ke taraf tawajhoo
9. Namaz k maani ke taraf ghour
10. Tadeel e arkaan
11. Aakhri nammaz samaj kr parho.
12. Aehly Allah sy muhabat.
13.. Allah sy Hazori wali namazon ke dua krain….


*GUNAHON SY IJTANAAB*

Namaz asal mein Allah Rabul Izat k saamny ijz o inksari or bandgi ka izhaar hy..
jis insan ke zindagi kharij namaz mein is k ulat hoti hy…
yani Allah ke nafarmani or gunahon wali hoti hy..tou isy namaz mein bhe is ke haqeeqat naseeb nahi hoti…
har masiyat mein aik zulmat hoti hy jiska asar insan k qalb pr parta hy..Nabi pak SAWW ny farmarya..
“jb banda koe gunah krta hy to is k dil pr aik daag lag jata hy agar wo toba kr laita hy to wo gunah mit jata hy agar toba nahi krta or mazeed gunah krta rehta hy tou daag barhta rehta hy hat’ta k poora dil kala ho jata hy. jb ham ise kaley dil k sath Allah k darbaar mein jaein gy tou is ke zulmat ke waja sy namaz mein sakon or yaksoe paida nahi ho gi. Jo shakhs kharij namaz mein apny azaa ke kis qadar hifazat krta hy or gunahon ke gandagi sy pak rakhta hy ousi qadar dakhil namaz mein isko Allah ta’ala k sath aik khas hazori or khazou or khashou naseeb hota hy..
jitny bhe ham gunah krty hein….
har har gunah nijasat ke manid hy…
jis azou sy bhe gunah krty hein wo azou gunah krny sy najis ho jata hy..choun k ye gunah insan ko napak kr daity hein…
is leay naa pak insan ko Allah Rab ul Izat ke pak hasti ka wasal hasil nai ho sakta…
Nabi Akram SAWW ny farmaya k,
” jo koe ghair mehram ke taraf dekhny sy apni ankh bachaey gaa … Allah Rab ul Izat isy ibadat ke lazat ata farma dain gy”
Hadees pak sy pata chalta hy k apny azaa ko gunahon ko rokny sy Allah ta’ala Ibadat ka lutf ata farmaty hein..
lehaza ham agar yeh chahty hein k ham zouq o shouq or hazori wali namazain parhen to rozmara zindagi mein hameun apny aap ko Allah Rabul izat ke nafarmani sy bachna chaheay….


 

HARAM SY IJTANAAB

Insan haraam giza or libas wagera dy bachey..Hadees pak mein hy k, “aik banda ny gulaaf kaba pakr kr kaha Ya Allah Ya Allah!
magar is ka khana peena libas haraam tha is leay is ke dua ko rad kr diya gaya”
to maloom hoa k haraam khany sy or pehnany sy namaz Allah k haan qabool nai hoti…
is baat ko bari sarahat sy dousri hadees mein biyan kia gaya hy k
Nabi Pak S.A.WW ny farmaya hy k,
“jis ny aik luqma haram ka khaya is ke 40 din ke namazen qabool nai ke jati”
lehaza is moamly mein bari ehtiyaat ke zarorat hy haram or mushtaba maal sy apny aap ko bachaya jaey…
is sy na sirf ibadat ghair maqbool hoti hy bal’k dil par aik tarha ke zulmat tari hoti hy jo bandy ko ibadat ke taraf aany sy rokti hy or banda kisi tarha aa bhe jaye to dil ghair hazir rehta hy.
aik shakhs ny Hazrat Abdullah bin Umar r.a sy shikayat ke k main namaz mein aksar bhol jata hon mujy yaad nahi rehta k main ny kitni rakatein parh le hein..
farmarya k apny munh ko haraam or kapron ko nijasat sy paak rakho….



*~Wazoo Mein Qalb Ko Hazir Krna~*

namazi jb namaz k leay wazoo krta hy to chahay ousi waqt dil ghair Allah sy hata kr Sohny Allah ke taraf mutawaja kr ly.
wozo mein qalb hazir ho ga to namaz mein bhe hazir ho ga..
jb wazoo mein shaitan dakhil ho ga to namaz mein bhe waswasy aein gy…


 


*~Azaan Ki Taraf Dil Matwajoo Krna~*

Momin ko chaheay k jb azaan ke awaaz aaye tou intahai adab k sath azan suny or is k har har kalmy ka jawab dein or dil mein is baat ko bethaein k,
bary Azmat waly Badshah ke taraf sy bulawa aaya hy..
lehaza mujy tamam masrofiat ko tark kr k is ke baargah mein paish hona hy or azaan k baad dil ko namaz ke taraf mutawaja kr lain.
Aap S.A.WW ke sunnat hy Hazrat Ayesha r.a farmati hein k,
Piyary Aaqa S.A.WW ham sy guftagou kia krty thy or ham Aap S.A.WW sy guftagoo kia krty thy
mgr jb namaz ka waqt ho jata to aisa lagta k goya Aap S.A.WW hamein na janty hon or ham sb Aap S.A.WW ko na janty hon.
Hamein bhe isi sunnat pr amal krna chahiye or jb azan ke awaz ho jaey to hamein namaz ke taraf mutawaja ho jana chahiye.


 

*~Ma’naay Khushoo Mahol Sy Ijtanab~*

khashou hasil krny ke aik ye bhe tadbeer hy k aisy amoor or aisy mahol ko chor dy jo khashou mein ma’naay hoty hein….
Baaz ouqaat insan apny ap ko khamakhaw aisy amoor mein uljha laita hy k in ka asar in k dil par rehta hy or namaz mein bhe idhar he dhiyaan lags rehta hy insan ko apni zindagi ke tarteeb is tarha ke banani chahiye k dil ko aisi tamam lughwiyat sy bacha kr rakha jaey jo dil k mashgol hony ka sabab ban sakti hein…
is leay Nabi Pak S.A.WW ny farmaya k,
“Apni kamar or pait ko namaz k leay halka rakho”
kia matlab?
pait ko farigh rakhny ka matlab hy k pait ziada na bharo jis ke waja sy ibadat mein girani ho..
or kamar ko halka krny ka matlab hy k isy jhamailon sy bachaya jaey k jis sy namaz mein khashou pr farq par sakta hy.
Hazrat imam gazali r.a farmaty hein k,
maany khashou asbaab ka mahol tum kion ikhtiyaar krty ho jo phir shikayat krty ho k hamein namaz mein aisy khayalaat aaty hein…
Naach rang mein jao gy to wohi khiyalaat aaein gy…
achy logon k pas jao gy to achy khiyalat aaein gy.
Aik martaba Abu Jeham r.a ny Aaqa S.A.WW ke khidmat mein 2 palu wali kali chadar paish ke Aap S.A.WW ny isy ourh kr namaz parhi or namaz k bad isy iutaar diya or farmaya!
isy Abu Jehem r.a k pas ly jao or mujy Abu Jeham r.a sy sada chadar la kr do…

Aik Hadees mein hy k Piary Aaqa S.A.WW ny apny jouty mein naya tasma lagany ka hukam diya jb tasma laga diya gaya or Aap S.A.WW namaz k leay khary hoay to Aap S.A.WW ke nigaah mubarik naya tasma hony ke waja sy is pr pari to isy utarny ka hukam diya or farmaya!
is mein wohi purana tasma laga do..

Aik mouqa par Piary Aaqa S.A.WW ny Hazrat Usman ibn e abi shyba r.a sy mukhatib ho kr farmaya!
“Insan k leay munasib nahi k ghar mein koe aisi cheeze chor kr aaye jo isy namaz k bajaey idhar mashgol kr dy”
is hadees sy pata chalta hy k aisi cheezain jo namaz sy tawajha hatany ka baes banti hon in ko apny sy door kr daina sunnat hy… bhook ke halat mein khana namaz sy pehly khany ka hukam hy ta’ k dil namaz mein hazir ho jaey…
hamary mashaikh namaz k leay dil k farig krny k leay is qadar ehtmam krty thy k tareek kamron mein ibadat krty thy…
k tawajha dousricheezon ke taraf na jaey…
baaz Abid o Zahid Hazraat Apni Ibadat k leay kamry itny choty bsnaty thy k ba mushkil aik musaly ke jaga banti thee
ta’ k nazar apny musaly k ilawa or kahein na jaey.


 

*~Intazar e Salaat~*

intazaar e salaat k fazail boht c ahadees mein aye hein bal’k farmaya k, “jo shakhs namaz k intazar mein baitha hota hy wo goya namaz mein he hota hy is ka sawab to apni jaga hy….
is mein aik bari hikmat or faida ye hy k is sy namazi ko yaksoee or hazoor e qalb ke naimat muyasir aati hy is leay jb farz namaz ka waqt ho to kuch waqt pehly he msjid mein chaly jana chaheay…
Baaz ny kaha hy k aimaz sy kuch dair pehly muraqiba krna chaheay ta’k dil ka inteshaar door ho kr tawajha namaz ke taraf markoz ho jaey…
Hazrat Molana Alyaas ny farmaya k,
Namaz sy kuch dair muraqiba krna chaheay or jo namaz bila intezaar k ho wo phusphasi hoti hy…


 

*~Ghair Allah Sy Be Altafi~*

Namaz shuru krny k leay jaisy Allah o Akbar kehny k keay hath uthaen to har ghair sy dil ko phair lain or hama’tan Allah ke taraf mutawajha ho jaen..
Hathon ko takbeer tehreema k leay hath uthana aisa hy jaisy dunia k leay hath jhaar leay ho..
or sirf or sirf Allah ke zaat dil mein reh jaey…
is ki amli surat ye hy k yeh tasawar krein k Allah k samny namaz parh raha hon or Ossy daikh raha hon…
or agar yeh na ho saky to tasawar rakhein k Allah aap ko daikh raha hy.
Aik hadees mein Aap S.A.WW ny farmaya k,
“Allah ta’ala ke ibadat aisy kro jaisy tum Ossy daikh rahy ho or tum sy yeh na ho saky tou yeh khiyal kro k Wo tumy daikh raha hy”
lehaza namaz ka jo koe rukan bhe ada krein to qiaam krein, rakoo krein, sajda krein, ya tashahad mein bathein to isi tasawar mein bethein k Allah mery har amal ko daikh raha hy or mari tasbeehaat ko soun raha hy …
jb koe badshah k darbar mein koe ho to is waqt wo kisi or ke taraf tawaja ke jurat nahi krta, lehaza is halat mein dil kisi or taraf mutawajy ho ga to bhe mowakhiza ho sakta hy..
Hazrat Ataar sy manqool hy jb insan namaz ke halat mein kaheen or mutawaja hota hy to Allah ta’ala isy mukhatib kr k farmaty hy k,
Ay ibn e adam…!!
Too kis taraf tawaja kr raha hy.. halan k meri zaat tawaja k leay sb sy behtar hy…
jb in tamam baton ka lehaaz dil mein rakhein gy tou dil khud ba khud namaz mein hazir rahy ga…


 

*~Namaz K Ilfaaz Ki Taraf Twajah~*

Baaz log shikayat krty hein k namaz mein khiyalaat jaan nai chorty or bawjoud koshish k bar bar atey hein..
aisy logon ko khashou ko qaaim rakhny ka sab sy asaan tareeka yeh hy k wo apni twajah ko namaz k alfaaz ke taraf rakhein…
maslan (Allah boht bara hy) keh kr khara ho tou youn sochy k mein ab “Ay Allah Too Pak hy” parh raha hon phir yeh sochein k
” or Teri tareef hy”
keh raha hon..
phir dhiyaan krein k ab “Tera Naam barkaton wala hy”
munh sy nikal raha hy.. isi tarha har lafz pr alag alag dhiyaan or irada kry…
phir Alhamd or surat, rakoo or sajdy or in ke Tasbeeon mein …
gharz yeh k sari namaz mein yahi tareeka hy….


 

*~Namaz k Maani ke Taraf Ghour~*

Aik ahsan namaz k leay yeh zarori hy k doran namaz jo alfaz zaban sy ada keay ja rahy hon in k maani ko dil mein hazir kia jaey or is bat ko samjha jaey k bar gaah e khuda wandi mein kia kaha ja raha hy….
is sy na sirf khashou hasil ho ga bal’k namaz ka darja bhe barh jaey ga.
kion k namaz darasal Allah k samny manajaat or niaz mandana arz ka naam hy…
wo kaisi manajat ho gi jis mein kehny waly ko pata he na ho k wo kia keh raha hy….
hamd o sana, tasbeeh o tuamjeed, Dua o astagfar, or Tash’had o Dsroud, in tamam azkar ko samaj or shaour k baghair mehaz Alfaaz ke had tk nikalny sy in ka haqeeqi maqsad poora nahi hota…
maani ke taraf dhiyaan ho ga to manajaat ka haq bhe ada ho ga or khashou bhe hasil ho ga.Imam Shazli r.a ka farman hy k
“Namaz mein agar alfaz or maani ke taraf khiyal jamaya jaey to waswasy band ho jaty hein”
Aik Hadees mein Aap S.A.WW ny farmaya,
“Bandy ko namaz mein itny he hissy ka ajar mily ga jitny ko is ny samjha ho ga”
Namaz k maani samajny k leay koe lambi chori arbi dani ke zarotat nahi hy mamoli qabliyat ka shskhs bhe kisi sy soun kr ya kitab daikh kr chand dino mein namaz k tamam azkaar k maani o matalib ko ba khoubi samaj sakta hy bs thora sa fikr mand hony ke zarorat hy…

 


 

*~Tadeel Arkaan~*

Tadeel e arkaan ka matlab hy namaz k tamam arkaan ko thehar thehar kr or poory sakon k sath ada krain.
Aisi namaz jo jald bazi mein adaa ke jaey or rakoo sajda sakon sy ada na kia jaey tou is ko Nabi Akram S.A.WW ny nimaz ke “chori ” sy tabeer farmaya….
Hamein chaheay k ham namaz jesi ibadat mein chori krny sy bachein.
Namaz mein har rukan mein thehar thehar kr sakoon or Aitadaal sy is ke tasbehaat or duaein mukamal krein..
phr aik rukan sy dousry rukan mein muntaqil hoty waqt bhe jald bazi ka muzahira na krein
bal k sabr or waqaar k sath dousry rukan mein jaein….
jb zahiri azaa mein sakon or aitadaal ho ga to is ka lazmi asar dil pr ho ga… or dil mein bhe yaksoue hasil ho gi.


 

*~Aakhri Namaz Samajh kr Parhna~*

Aik tareeka khashou hasil krny ka yeh hy k
dil mein yeh ihsas paida krein k shayd ye mere zindagi ke aakhri namaz ho….
or waqaee zindagi ka kia pata , k kis waqt ajal a ponchy…
tou jb dil mein ye khiyal ho ga k yeh meri zindagi ke aakhri namaz ho sakti hy to la mahala dil mein paida hony waly dunia k tamam program jin k oupar khiyalat ka tana bana buna jata hy, be maani ho kr reh jaen gy..
or aik yahi khiyal dil mein reh jaey ga k mere ye namaz ziada sy ziada achy tareeky sy ada ho jaey…
Nabi Akram S.A.WW ny aik shakhs ko naseehat farmae k,
“jb too namaz k leay khara ho to rukhsat hony waly ke tarha namaz parh”
aik or Hadees mein farmaeya k,
“jab tum namaz parho to alvidaa hony walon ke tarha parho k phir tumhy shayd namaz ke taraf ana naseeb na ho”

 



*~Allah Walon ke Sohbat~*

Namaz mein Khashou Khazou, ikhlas, ihsan wali kafiyaat paida krny ka sb sy kamil tareen tareeqa tou yeh hy k insan apna kuch waqt aqeedat o muhabat k sath aisy Allah walon k paas guzary jo k in kafiyaat ko hasil kr chukyu hon…
kutab or risalon sy aisy mazameen or aisi tadabeer parh lainyu sy kuch zahen to zaroor badal jana or batin mein in kafiyaat ka paida hona or phir is par istaqamat ka paida ho jana aik mushkil kaam hy..


 

*~Allah sy Hazoori Wali Namazon Ke Dua Krna~*

Namaz ka khashou o khazou hasil krny k leay tamam tadabeer ikhtyaar krein or phir Allah k aagy gir giraein k Ya Allah !
Hamen hazori wali namazein atta farma…
jis ko hazoori wali namazein naseeb ho gaein….
lakin yeh naimat mehaz Allah ke tofeeq sy hasil ho sakti hy is leay apni namazon k baad kasrat sy ye dua kia krein k,
Ay Allah…!!
Nimaz ko hamari bhe aankhon ke thandak bana dy.
Ya Allah hamein bhe aisi he nimazen parhny ke tofeeq atta farma k niyat bandhty he dunia or mafiaa sy be khabar ho jaen…
Ay Allah…!!!
hamein bhe namaz mein apny akabar jaisa in’hamak naseeb farma k ain nimaz mein teeron pr teer kha rahy hoty thy lakin namaz torny ka jee nahi chahta tha…
Allah Jb hamari talab or shouq ko daikhy ga tou hamein mehroom nai farmay ga.
inshAllah.

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *