Maqsaday Hayaat

“Maqsaday Hayaat”

Maqsaday hayaat… jisay ham aim of life bhe kehtay hein.

Har aik ka koe na koe maqsaday hayaat hota hy… jis k hasool k leay wo din raat har mumkin koshish karta hy.

Apnay maqsaday hayaat k hasool k leay jab ham koshish kartay hein tou khud bakhud hamara har ihsas soch or amal osi maqsaday hayaat k tahet hota chala jata hy.

Phir hamara koe ihsas soch ya amal maqsaday hayaat sy alag nai hota.

Aaj apna jaaiza laina hy k ham kisi maqsaday hayaat k hasool k leay he apnay din bhar ke routine mein koshish kar rahay hein

Ya bina maqsad k fazool mein apne zindagi ke routine chala rahay hein.

Aaj aik point daina hy jis mein pehlay maqsad e hayaat wazeeh kar k batana hy.
Or os k sath 5 points mein apne din bhar ke routine ka batana hy k kaisay har ihsas soch or amal ko… apnay maqsad e hayaat k tahet kar k chalaaya.

Aik msg mein maqsaday hayaat hona kion zarori hy par apna point of view daina hy.

Sanwartay Raho.


 

Msg of MURSHID JAAN

About Todays Topic

Sab ny Mqdaday hayaat ko sab sy top par aik line mein batana hy
Kion k maqsaday hayaat sirf aik he ho sakta hy
Wo ziada nai ho saktay
Haan aik maqsad k hasool k leay ham or bihat kuch kartay hein or kar bar target k taor par bhe kartay hein par wo maqsad nai kehlatay…
Kion k maqsad e hayaat aik he hota jis k leay ham aone zi dagi ka lamha lamha laga rahay hotay or
Hamare sari routine life osi k he hasool k leay guzarti…
Agar aaj k jaaizay mein kisi ko aik maqsaday hayaat nai milay apna ya ounhon ny set na keya ho abhe tak tou bhe bataein k
Ab jab pata chala k aik maqsaday hayaat ho tou hamein kaisa laga k ham kia kar rahay aaj tak
Or agar aik sy ziada maqsad bana rakhay tou bhe share karein k aik set nai ho saka anhe tak
Or agar aik hy tou os ka bataein
………….

Saxhaai k sath apnay dil sy poch k maqsaday hayaat batana hy or sath he apne guzri routine ko daikhaty hoay apnay dil ke sachaai ko parakhna bhe hy k kia waaqai isi maqsaday hayaat k leay ham apnay din raat guzar rahay hein….???
Kion k agar aap apne poori sachaai k sath aik maqsaday hayaat k tahet zindagi guzar rahay hein tou aap k din raat ke routine is ke gawaahi dy ge jaga jaga par…
Warna aisa nai ho ga
Tou
Agar maqsaday hayaat muta’aiyan nai bhe keya tou phir abhe kar lain
Or try karein aaj os k tahet dinn guzarnay ke tou aaj he aap ko farq saaf or samnay ajaey ga.
………………..

Jin ka mqsaday hayaat oehlay sy set hy wo tou overall bhe dy saktay kion k wo kar he rahay pehlay sy aisa…
Or jin ka aja set ho tou wo aaj k he dain gy na
…………………

Jin ka mqsaday hayaat pehlay sy set hy wo tou overall bhe dy saktay kion k wo kar he rahay pehlay sy aisa…
Or jin ka aja set ho tou wo aaj k he dain gy na
Kion k oun k pass tou oehlay ka overall kuch nai hy na jo dhare karein
…………………..

Jo marzion mein parra ho beparwa ho
Os ka maqsaday hayaat set he nai hy
Wo is khushfehmi mein hy k mera koe maqsaday hayaat hy
Jab k maqsaday hayaat aik galay k pattay ke tara ke cheez hoti hy
Lagaam jaisi hoti hy.
K jisay aik bar set kar lain tou ye hamein khud bakhud khainchti hoe osi raah par ly jaati hy
Or jo nai jatay os taraf or lagaam churra jatay hein
Wo belagaam hotay h3in bemawsad hotay hein beraah hotay hein
Phir bahal kia maqsaday hayaat oun ka
…………………….

Aap ya tou har overall point k sath koe practical example dain ya phir overall mein bhe areas defin karein k is point ko kahan kahan kaisay kaisay cover karnay ke koshish karnay hein apnay mawsaday hayaat k tahet
…………………….


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *