Mera Allah Barra Ya Mera Masla

Mera Allah Barra
Ya
Mera Masla

Ham Allah’hu”akbar ko lafzon mein tou barray achay sy adda karty hein… or kehtay hein k Allah sab sy barra hy… par ye aisay yaqeen ban k sab k dillon mein nai outra hoa hota…

Kion k jaisay he koe masla ya pareshani ban jaye tou ham aisay ghabra jatay hein k apna masla he sab sy barra lagnay lagta hy…
Or aisay mein maslay ka hal namumkin nazar aata hy…

Dil mein naumeedi or beyaqeeni ke kafiyat hoti hy or Allah’ho’akbar hy Allah dab sy barra hy yaad nai rehta…

Agar hamara dil is yaqeen ko pakarr lay tou… jaisay jaisay or jitna Allah’ho’akbar ka ihsas yaqeen ban k dik mein outarta jaata hy… waisay waisay he hamaray leay hamaray masaail or paryshanion mein oun k hal k leay naumeedi or beyaqeeni kam honay lagti hy k… chahay mera masla jitna bhe barra ho jaey par mera Allah sab sy barra hy.

Aaj is topic par apna point of view share karna hy
Or 2 points share karnay hein.

1 point aaj ke routine sy k kisi maslay ya pareshani mein dil k ihsas kia thay or phir Allah’ho’akbar k ihsas ny dill ke halat ko kaisay umeed dilla k kitna mutmain keya.
Or

1 point overall apne zindagi k kisi bhe major issue ka share karna hy k…

Jahan aap ny apnay maslay mein Allah’ho’akbar k ihsas ko pakrra or wo behtr tara sy hal ho geya.
Ya
Agar abhe masla hy or wahan aap ko Allah’ho’akbar ka ihsas miss lag raha…
Tou aaj osay Allah sab sy barra hy k ihsas sy jorr k daikhein or share karein k ab aap ko apna Allah barra lag raha hy ya apna masla barra lag raha hy.

Sanwartay Raho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *