Namaz E Asar Ka Waqt Or Aap SAWW Ka Tareeqa…

*~Namaz E Asar Ka Waqt Or Aap SAWW Ka Tareeqa~*

Namaz e asar ka waqt do misl k baad shuru hota hy or gharoub e aaftab tak rehta hy. Gharoub e aaftab sy taqreebn dairh ghanta pehly asar ki namaz ada kr li jaye. Jab souraj bohat neecha ho jaye or dhoup peeli par jaye tou asar ki namaz ka waqt makrooh ho jata hy is sy pehly pehly asar ki namaz parh li jaye.

Is namaz sy pehly sunnatein moak’kida nai hein… Aap S.A.WW sy kabhe do kabhe chaar parhni sabit hein.

Hazrat Abdullah Bin Umer r.a frmaty hein k Aap S.A.WW ny frmaya k, “Allah ta’ala rehmat nazil frmaye asar sy pehly chaar rak’atein parhny waly par” :

Asar ki namaz sy mutaliq ahadees mein bohat takeed aaei hy…
Aap S.A.WW ny frmaya k, “Jis ki asar ki namaz fout ho gi goya ous ka ghar baar lut gya”

Asar ki namaz k baad gharoub e aaftab tak koe namaz nai.
Hadees e mubarika hy k, “Asar ki namaz k baad gharoub e aaftab tak koe nai namaz parhna jaaiz nai”

Ihsas Atta Ho.


Warning: count(): Parameter must be an array or an object that implements Countable in /home/bano/public_html/working/wp-includes/class-wp-comment-query.php on line 399

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *